Blogger Me Meta Tag Description,Custom Robots Header Tag Kaise Add Kare

Blog Me Meta tag  description aur custom robots header tag kaise add kare.


Hello, Dosto Aasha karta hu ki aapne blog bana liye hoga main apni pichali post me bataya tha ki blog kaise banate hai. Blog to bana liya ab kya ?


Meta tag, custom robots header tag setting

Bahut se new blogger apna blog banate hi use google pe search karne lagat hai lekin pura address dalne ki bad hi aapka blog khul jata hai. Aapka blog google search engine me nahi dikhayi deta yesa kyon hota hai ?
Firstly aap ye samaj le ki blogging ek free platform hai. Blogger.com pe daily lakho blog banate rahat hai. Agar Google har ek new blog ko search engine me dikhane lagega to Jo quality wale blog,sites hai unka kya ? 

                   Yahi karan hai ki google new blog ko index nahi karta. To ab aap ye puchenge ki hamara blog google me aane ke liye hame kya karna hoga to mai aaj uski ke bare me batane wala hu.
Agar aapko lakho blog me se apne blog ko different banana hai to chaliye di gayi steps one by one follow kare. Jiseki madat se aapke blog google me index ho jaye.




SEO Kya Hai?

SEO yane Search Engine Optimization hai yane apne blog ya site ko search engine me lane ke liye kuch setting karni padati hai. Apne Blog ki Traffic badane ke liye apne blog ko optimize karna padta hai.

Blog Banane Ki Bad Ki Basic SEO Settings:

    1.  Blog Description Add Kar Le :

Isme aap aapka blog kis topic ke related hai ye Jankari 500 character tak likh sakate hai. Ise add karne se aapka blog kis topic se related hai ye samajne me aasani hoti hai.
Blog description add karne ke liye :

Blogger Dashboard me jaye => Setting => Basic => Description ke samane edit pe click kar de aur apne blog ka description dal de.


Setting me Basic pe click kar de



Also Read:






    
   2.  Meta Tags Description :

Yaha aap 150 character tak aapke blog ka description likh sakte hai. Yape aap ko main keyword use karne hote hai jis se aapka blog search engine me bhi aaye aur logo ko samaj me aaye ki aapka blog kis chij se related hai.
Maine Blog description aur Meta tag description same hi rakha hai.

“Yapa se aap online earning ke tarike skih sakate hai wo bhi hindi me. Bloggin tips, internet ki Jankari, Free recharge ke tips.”




Aap bhi same rakhe.

Meta tag description add karne ke liye Setting me jaye => Search preferences pe jaye aur => Enable Search description pe click kar de.
Aur apne blog ka description 150 character tak add kar de aur save pe click kar de.


    
    3.    Custom Robots header tag :
Blogger Dashboard Se Setting => Search Preferences =>Custom Robots header tag ka aage edit pe click kane ke baad aapke samne 30 option ayene


Custom Robots Header Tag


Homepage: 10 options
Archive and Search Pages: 10 options
Defaults for Posts and pages : 10 options

Ye Setting Karne se pahale kuch bate samaje le waha pe aapko 10 option hai

1.    All : yane aapke site pe sabhi content ko google index kar dega.

2.    No Index : Search engine aapke post ko index nahi karega aur search engine me show bhi nahi karega.

3.    No follow : Apki link ko follow nahi karega.

4.    None: Same Work hai no index aur no follow ki tarah

5.    No archive: Aap jo tag likhate hai use search engine index nahi karega.

6.    No snippet: search engine me aapke post ki snippet show nahi karega.

7.    Noodp: Post ki Meta data aur title, snippet ko index nahi karega.

8.    Notranslate: jab aap ise activate karane ke bad jab aapka post search engine me index hogi to uske samane translate ka option nahi hoga.

9.    No image index: search engine image ko index nahi karega

10. Unavaliable_after:  Agar aap apni post ko search engine se gayab karna chahate hai kuch samay bad to aapko yah ape wo date aur time set karna hota hai.





Agar aapko abhi bhi kuch samaj nahi aa raha to maine jo niche screen 
shot me setting ki hai wahi setting aap kar le.


Custom robots tags ki setting kar le



Ye sabh setting karne ke bad aapke site ko search engine me index hone ke liye kafi madat milegai.

Asha karata hu ki aapko meri ye post acchi lagi hogi agar kisi bhi step me koi problem ho to comment karna na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: