HTML Tutorial in Hindi :Tags with example

HTML Tutorial in Hindi :Tags with example. Hello, dosto ye html ki meri dusari post hai. Isme aaj hum sikhenge ki html me heading, paragraph, break, horizontal tags kya hoti hai unka use kaise kiya jata hai.

HTML basic tags with example

Html Basics Tags:

1. Heading: 

Html me heading tag ka behat hi mahatwa hai. Html me total six prakar ke tag hote hai.
H1, h2, h3, h4, h5 and h6. Jab hum he tags use karate hai to browser iske upar niche kuch space automatically chod deta hai.


Html heading tags isliye important hai kyon ki jab aap heading ka use karte hai to search ko aapka url index karane me aasani hoti hai.
Heading ka use karane se page bhi attractive ho jata hai. H1 sabse badi aur h6 sabse choti heading hoti hai.

Example 1:
<html>
<title> Heading Tags Example </title>
<head> Following are heading used in html </head>
<body>
<h1> Ye H1 heading hai. </h1>
<h2> Ye H2 heading hai. </h2>
<h3> Ye H3 heading hai. </h3>
<h4> Ye H4 heading hai. </h4>
<h4> Ye H5 heading hai. </h5>
<h6> Ye H6 heading hai. </h6>
</body>
<html>

Output:
HTML heading tags with example


Also Read:
      




2. Paragraph, horizontal line & Break Tags:

Paragraph: Paragraph ka use karane ke liye <p> aur </p> ka use kiya jata hai. Hum kitne bhi paragraph tag use kar sakate hai jaise <p1>,<p2>, <p3>……etc.
Break: Agar hum html me new line ko type karana chate hai to hume <br> break tag ka use karna padata hai. <br> ko closing tag ki jarurat nahi hoti. Xhtml me aapko <br/> use karana hota hai.
Horizontal line : Agar aap apne webpage me horizontal line dikhana chahate hai to aapko <hr> tag ka use karana padata hai. Horizantal tag ko bhi closing tag ki jarurat nahi hoti hai.

Example 2:
<html>
<title>  Tags Example </title>
<head> Following are Paragraph, Horizantal line, break  used in html </head>
<body>
<p> Paragraph hai break line ke sath </p> <br>
<p1> Paragraph1 use kiya hai. </p1>
<hr> Horizantal line ke sath
</body>
</html>
</html>

Output:
Paragraph with example

Agar aapko bhi ye try karana hai to coding ko copy karke notepad me paste kare aur use save kare kisi bhi naam se par ye dyan rakhe ki save as type all select kare aur file extention .html rakhe.



3. Preserve formatting:

<pre> tag ka use hota hai preserve yane aap note pad me jo bhi type karenge waise hi aapko web Brower me dikhayi dega. For example hume kuch equation type karane hai. Jaise ki { (a+b) & (a-b) } kuch is tarah ka to hume <pre> tag ka use karana padega.


Example 3 : 
<html>
<title>  Preserved Tags Example </title>
<head> Preserved tag ka use </head>
<body>
<p> Ye Equation hai preserved tag ke sath
<pre> { (a+b) & (a-b) } </pre>
</p> <br>
<body>
</html>
</html>

Output:
Pre Tag in Html

4. Html Comments:

Html me comments likhne ke liye
Syntax: <! - - Hamari Comment -->
Html comments yene iska use hota hai author ka naam display karne ke liye, program ka naam likhne ke liye. Comments ka use sirf source code me hota hai wo aapko output me dikhayi nahi degi. Niche di gayi example se aap ye easily understand kar sakate hai.

Example 4:
<html>
<title>  Comment Ka example </title> <! - - Ya Html ka title Hai - ->
<head>Commets Ke bare me Janate Hai </head>
<body> 
<p> Umesh Chavan </p> <! - - Ye mera naam hai-- >
<br>
<body>
</html>

Output : Niche Ouput me sirf aapko 
Commets Ke bare me Janate Hai
Umesh Chavan

Comments in html


Itna hi dikhayi dega lekin humne coding me jo likha tha jaise <! - - Ye mera naam hai-- > ise browser ignore kar deta hai ye sirf source code ko understand karane ke liye banaya gaya hai.




Humane is tutorial me html ki kuch basic tags ke bare me jana aur unka example bhi try kiye. Agar aapko upar ke kisi bhi point me koi problem ho to comment karana na bhule.

Aasha karata hu ki aapko ye post acchi lagi hogi aur  ise apne friends ke sath share karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. मैं आपकी वेबसाइट को बहुत ही ज्यादा पसंद करता हूं, ऐसी वेबसाइट किसी की नहीं मिली अभी तक। और आपके ऑर्टिकल पढ़ने के बाद मैंने भीं ब्लॉग लिखाना शुरू किया हैं, क्या आप मेरी वेबसाइट देख कर बता सकते हैं। क्या मैं सही काम कर रहा हूं प्लीज़ मेरी मदद करें।

    Display Attraction

    ReplyDelete