Sbi Ka Saving Account (Khata) Kaise Banaye Jane Step By Step Hindi Me

Aaj Hum dekengi ki hum kaise ghar baitakar apna saving account open kar sakate hai.

SBI ka saving account kaise banate hai jane hindi me

State Bank of India Bharat ki sabse popular bank hai. Sbi apne customer ko badiya se badiya services provide karane ka kam karati hai.

Agar aapko apna saving account banana hai to aapko pahale niche di gayi document jarurat hogi.


   
   1. Recent passport size ke 2 photo
   2. PAN card (compulsory nahi hai )
   3. Proof of address (Ration Card, Aadhaar Card, Voting Card, Phone bill, light bill)
   4. Proof of identity (Aadhaar card, voting card, driving license etc.)





Saving Account Kholne ke liye Hume Steps Complete Karani Hai:
     1. Online Form fill up karana hai.
    2. Form ki printout lekar use di gayi document jodke bank me jama karana hai.
    3. Bank me jama karne ke bad 7-8 din me aapka account number aa jata hai use account number pe aapko kum se kum Rs.500 deposite karane hai bank me jakar. Aur bank se apna passbook bhi lena hai.
    4. 4-5 din me aapka ATM Card by post se aapke ghar aapne jo address diya hai uspe aa jayega.
    5. ATM Card ke sath aako uska pin bhi aa jayega nahi aaya hai to aap apne bank me jakar waha se le sakate hai.



Saving Account Kaise Banaye Jane Step By Step:

Step 1:
Online Sbi ki site pe chale jaye
STATE BANK OF INDIA [IN]https://oaa.onlinesbi.com/
Uska URL check karana na bhule security ke liye.


Step 2:
 “Apply Sb Account” Pe Jaye Niche ‘ For Resident Individual select kare’ Aur aage se ‘regular sb account’ pe click kar de.

Regular SB Account pe Click kare

     Step 3:
     Aage ‘Apply Now’ Pe click Kare.

Apply Now pe click kare


    Step 4:
‘   Start New’ Pe click kar de.

Start New Pe click kar de.

    Step 5:
     Personal Details Ka Page aapke samane hoga Usme Aapko
     Customer Type: yaha se Public/Staff/senizor citizen/minor select kare. Mai Public Kar raha hu.
     Name: Aapka Naam Dale
     Father/guardian Name: Apne Father Ka Pura Naam Dale
     Date of Birth: Apni DOB Dale.
     Nationality, Mother’s Meiden Name : Maa Ka naam dale , Marital Status: Aap Shadi shuda hai ya nahi select kare.
     UID : Unique identification Yane apna Aadhaar Card Number Dale.



Personal Details Bhar Le




     Step 6:
    Correspondence Address and Permanent Address:
     Yaha pe aapko apna pura address dalana hai. Mobile Number aur pin code bhi dalana hai aur niche di gayi Captcha code ko box me dalkar Processed pe click kare.

Fill Your Address

    Step 7:
     Aapke samane ek pop up window khul jayegi (usme likha hoga ki aap apni details verify kar le) use ok kare.


Click OK

     Step 8:
     Ok karane ke bad niche TCRN (Temporary Customer Reference No) e.g AC641245 dikhayi dega use likh le. Aapke mobile pe bhi message aa jayega. Save and Processed pe click kar de.
TCRN Note Kar Le


    Step 9:

    Additional Details Wherever Applicable:
    Religion: Apan Dharam Select Kare.
    Educational Qualification: Aapki padayi select kare.
    Category: Yaha Se Apni Sub Caste Select kare.
    Occupation Type : Aap kya kam karate hai wo select kare.

    Montly Income : apna mahine ke income dale Rs. Me


Additional Details Bhar Le



    Step 10:


    IT PAN or Form 60/61 :
    Agar aapke pass Pan card hai to pan card select kare aur uski details bar de.
    Agar aapke pass pan card nahi hai to form 60/61 pe click kare.
    Usme aapka naam, address bhar de.
    Particular of Transaction – a. Opeaning of Me Saving Account
                                               b. Issue of Debit Card Me Visa Debit Card Bhar le.


Amount of transaction Me : Aap kitani amount jama karana chate hai account open karate samay wo dale

Niche Aap Address verification ke liye kaun se document jama karane wale hai wo dale. Save and processed pe click kare.


SBI IT PAN/ Form 60/61



    Step 11:


    Identification Details:
    Id Type: Yaha Se 1 id card (Voting card, aadhar card etc.) select kare.
    No : id card ka number dale.
    Issued at/by : Aapka id card kaha nikala ya kisne nikala ye dale.
    Issue Date : Aapka id kab issue hua uski date dale.

    Proof of identity: Yaha par bhi upar ki tarah details dale.
    Details of other Accounts in our bank: Agar aapka pahale se hi sbi ki kisi brach me account ho to uski details dale.
     Save and Processed pe click kar de.


SBI Identification Details Bhar Le



   Step 12:


     Account Type & Services Required:
     Type of Account: Yaha se aap aapko kya- kya chayiye select kare with Debit Card without check book etc.
     Details of Application: Yaha pe apna TCRN dale
     Branch Code: Aap jis bank me aapna account open karana chahate hai uska branch code dale. Agar aapko malum nahi hai to branch locator pe click kare.
     Serviecs Required: Jo service chahiye use tik mar kare.
     ATM cum debit card, Internet Banking, Sms alerts on mobile no, processed pe click kar de.
Account Type and Account Services


Uske bad aapke samane TARN number aayega use likh le aapke mobile no par bhi message aa jayega.



    Step 13:
     Nominate
     Agar aap apke account ke liye kisi ko nominee banana chahate hai to yaha se select karke bana sakate hai. Save and processed pe click kare.
SBI Nominate



    Step 14:


     Print out Ke liye Application Download Kare:
     Aapka account create ho gaya hai Download Completed Application pe click kare aur TARN number and Date of birth dalkar apne application ka pdf file download kar le.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

12 comments:

  1. Sir bank me form submit karne ke bad account no. Kaise aayga mean bank me jakr lana padega ya mobile par aayga

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Vineet,

      Account number hume bank me jake lena padata hai.

      Delete
  2. Sir me apna banking account banane ki kosis kar raha hun par sabmit karne ke baad bhi try again letter aa raha h

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Suraj,

      Agar aap mobile se account bana rahe hai to mobile ke bajay computer se try kare.

      Aur usme latest browser jaise chrome se sbi ki website opne kare aapka problem solve ho jayega.

      Delete
  3. Sir uski zarurat bhi to hoti he na jiske thuru new account open kr rhe he or signature uska account number kese hoga

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Sarfraz,
      Form ki printout lene ke bad Introducer ka option hoga usme aapko us waqti ka account number aur signature lena jaruri hai.

      Delete
  4. very supr news sir, form 64 ki compulsary rahti hai to wo kaha se download kare without bank ke

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Rohit,
      Aap kis form ki baat kar rahe hai.

      Delete
  5. Sir agar account bank se hi open kare to kab tak khul jata hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Vijay,
      Bank ke work load me depend hai, maximum 1 week me open ho jata hai. Yane agar aaj aap form fill karke document ke sath submit karate hai to 1 week ke bad aapko account number mil jayega.

      Delete
  6. Kouse she app she ghar bhaite account bna shakte hair

    ReplyDelete