10 Tips Blog Ki Speed Fast Karane Ke Liye

10 Tips Blog Ki Speed Fast Karane Ke Liye, Blog ka page loading time kaise increase kare,loading speed kaise badha sakate hai iske bare me baat karenge.
Blogger mai aaj aapko ek sabse behatarin tips dene wala hu. Apne blog ke loading speed ko kaise kum karate hai. Blog speed ka direct effect hota hai search engine aur user ke bounce rate pe.
To chliye vistar se janate hai ki page ki speed kya hoti hai.

Page Loding Aur Speed Ko Kaise Reduce kare

Blog Ki Speed/ Loading Time Kya Hota Hai?

Blog speed: yane aapki site ko open hone ko kitna time lagata hai.
Page speed ka apke income, visitor aur search engine ranking par direct effect padata hai. Agar aapke blog ka loading time 3 second se jayada hai to wo aapke liye problem hai.


           Example ke taur par samje ki aapke blog ka loading time 3 seconds se jayada hai aur aapki income $400 dollars hai monthly. Aur agar wahi time 3 seconds se kum karate hai to aapki income $600 se adik ho jayegi.
         Agar aapka page laoding time Jayda hai to user aapki site ko chod ke chale jate hai. India me jayada tar log 2g internet use karate hai to agar aapka page loading time Jayda hai to user ko aapki site open karane me kafi time lag jata hai.
“Apke blog ka loading time jitna kum utni earning, visitor aur traffic Jayda.”


Blog Ki Page Speed/ Loading Time Kya Hota Hai?

Mai aapko kuch tips dunga jise follow karane se aapke blog ka loading time kum ho jayega. Ye step follow karane se pahale apne blog ki google page speed tester ki madad se speed check kar le.
Uske bad di gayi tips aaply karke dekhe apke blog ka time 100% reduce ho jayega.

Google Page Speed Test Kare


Tip 1: Use SEO Friendly, Responsive Blogger Template:
Blog banate samay ye dyan me rakhana jaruri hota hai ki aap template kon si use kar rahe hai, kyon ki blog ki speed apke template par depend hoti hai isliye seo friendly, resoponsive template use kare.






Tip 2: Homepage Pe Limited Post Show Kare:
Humare site ki speed site ki homepage par bhi depend hoti hai. Iske liye blogger dashboard> Settings> Post and comment > aur show at most me aap kitni post show karana chahate hai wo dal de. Mai aapko recommend karunga ki aap homepage pe 5,7 post hi show kare, ise aapke blog ki speed me kafi farak pad jayega.

Homepage pe 5-7 post hi dikhaye



Tip 3: Unwanted Widget Ko Remove Kar De:
Apne blog pe jo-jo unwanted yane jo kam ke nahi hai use widget ko remove, delete kare.

Tip 4: Popup Window Ka Use Na Kare:
Kayi blogger kya karate hai blog ke home page pe subscribe by mail, ya phir facebook popup box add kar dete hai ise aapka blog ki loading speed bad jati hai. Aap apne home page pe yesi kisi bhi popup box ka use na kare aur agar karana hi chahate hai to use pahale uski speed check kare.





Tip 5: Remove Unwanted Css Style and Java Script Code:
Aapke blog template me yese bahut se css aur java script code hote hai jiska hume koi bhi kam nahi hota use hum remove kar sakate hai iske liye aapko coding ki Jankari hona jaruri hai.

Þ Website Me Copyright Content Kaise Check Kare

Tip 6: Don’t Use External Java Script Widget:
Kayi sari blogging site pe aapke bahut sare widget milege jo blog ke designing ke liye to acche lagate hai but ise blog ki loading me kafi farak pad jata hai.



Tip 7: Reduce Image Size:
Image size ye ek sabse badiya factor hota hai blog loading speed me, aap jitni Jayda kum size (height, width )ki image use karenge utni apne blog ki speed kum ho jayegi. Isliye mai aapko recommend karata hu ki image ko upload karane se pahale use resize jarur kare. Aap image ko paint, ya photoshop ki madad se resize kar sakate hai. Blog me seo friendly image kaise use kare ?



Tip 8: Don’t use Extra Images:
Apne blog post me jitni kum image use kar sakate ho utni blog ki speed reduce ho jayegi. Aur image upload karane se pahale use compress kare yane uski size ko reduce kare. Images ka format .jpg, .png is dono me se ek use kare.



Tip 9: Don’t Use Much Advertisement:
New blogger jayada earning karane ke liye kafi advertisement use karate hai unhe lagata hai yesa karane se unki earning Jayda ho jayegi but wo galat hai. Jayda advertisement use karane se blog loading speed Jayda ho jati hai aur ise user bhi apki site ko chod ke chale jata hai kyon ki unhe jo Jankari jaruri hoti hai wo to nahi mailati but bahut sari ads dekhane ko mil jati hai.

 Þ Stylish Popular post widget kaise add kare

Tip 10: Don’t Use Banners:
Agar aap blog pe affiliate earning karate hai aur aapko banners lagane ki jarurat padati hai to banner ki size ko reduce kare aur Jayda bade banners use na kare.
In sub tips ko follow karane ke bad aap google speed tester me apni site check kare aur dekhe ki kitna farak padata hai.


Aapke site ki page loding time 4-5 seconds hona jaruri hai.
Page Ki Speed Check Karane ke liye aap pingdom website speed test bhi use kar sakate hai. Maine ye sari tips apne site ke liye aaply ki hui hai meri site ke speed 3.77 seconds hai. Aur perf.garde 90/100 hai.


Pindgdom Webiste page tester


To chaliye dosto in tips ko follow karane ke bad aapke blog ki kitni speed hai mujhe comment me jarur batana aur agar iske alava aapke pass koi tip hai to wo bhi suggest kare.


Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

3 comments:

  1. this post very helpful for me thanks brother

    ReplyDelete
  2. Sir Blog post ke font ka Size bada kaise kare मै जो theme use करता हूं उसमे word बहुत छोटा है

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Manish,
      Blogger template me font-size search karke increase karo.

      Delete