Amitabh Bachchan (Big B) Ji Ki Motivational Story

Hi, Dosto aaj hum bat karenge india ke sabse badiya actor Amitabh bachchan ji ke bare me. Amitabh ji aaj ke sabse popular aur top most actors me se hai. To chaliye amitabh bachchan ji ki life ke bare me hum janate hai.

Amitabh Bachchan Ji Ki Motivational Story

Amitabh Bachchan Ki Details:

Naam: Amitabh Harivansh Bachchan
Dusare Naam: Big B
Janam: 11 October 1942
Janam Kaha Hua: Elahabad, Utter Pradesh, India.
Wife Ka Naam: Jaya Bachchan
Santan: Abhishek Bachchan, Sweta Nanda


Amitabh Bachchan Ji Ki Life:

Amitabh Bachchan ji ka janam elahabad me ek Hindu Parivar me hua. Unke Pita Dr. Harivansh Ray Bachchan Kavi the. Amitabh bachchan ji ki padhayi elahabad ke dyanprabhodani aur boys highschool me complete huyi. Amitabh bachchan ji ne 20 sal ki umar me shipping firm company ki naukari chodkar abhinay (acting) me apna carrier karane ki than li.





Carrier Ki Shurawat:

Amitabh bachchan ji ne apne carrier ki shurwat Khawja Aehamad Aabas ke nirdeshan me bani “Sath Hindustani” movie se ki.

Phir Anand (1941) naam ki film me us samay ke mashahur kalakar Rejesh Khanna ke sath kam karane ka mauka mila.

1973 me Prakash Mehara Ki film Zanzir me Police Inspector Ki bhumika me avsar mila yaha se unke carrier ne ek naya mod le liya. Is film me unko ek Angry Youngman ke rup me dikhaya gaya aur usi samay se Amitabh ji Bollywood ki Action hero ban gaye.
Iske liye unko Sarvshretra Purush Kalakar Filmfare Puraskar se navaja gaya.



1982 Me Cooli Film ke duran ek fighting seen me unhe chot lagi. Is film me Amitabh ji ne khud se stunt kiya tha. Tab unhe kafi problem ko face karana pada tha.

Amitabh ji ne Nirmata aur singer ke rup me kafi badiya kamgiri ki.
Amitabh ji ka awaz bahut hi accha tha isliye wo kafi charcha me rahe. Aage Amitabh bachchan ji ne bahut sari hits films banayi jaise Zanzeer, Mard, Deewar, Don Etc.

Amitabh Bachchan Ji Ko Mile Hue Puraskar:

1. Film Fare Award
2. Padama Bhushan
3. Padama Shree
4. Lifetime Achievement Puraskar



Amitabh Bachchan Ji Hits Films:

Film
Year
Sath Hindustani
1969
Zanjeer
1973
Deewar
1975
Zameer
1975
Sholay
1975
Trishul
1978
Don
1978
Mr. Natwarlal
1979
Kaala Patthar
1979
Dostana
1980
Ram Balram
1980
Yaraana
1981
Andha Kanoon
1983
Coolie
1983
Toofan
1989
Major Saab
1998

Image and Information Source: Wikipedia 



Amitabh Bachchan Ji Hits Dialogue Films:

1."Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahin se shuru hoti hai." - Kaaliya

2. "Rishte me to hum tumhare baap lagte hain, naam hai Shahenshah. " - Shahenshah

3."Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai" - Don

4."Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan, baap ka naam, Dinanath Chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal." - Agneepath

5."Mard ko dard nahi hota"-Mard

6."Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahi se shuru hoti hai." -Kaaliya

7."Mai aaj bhi fake hue paise nahi uthatha"- Deewar

8." Aaj Khus to Bahut Honge Tum"- Deewar

9."Aaj Mere Pass Building hai, Property Hai, Bank Balance Hai, Bangala hai, gadi hai tumare pass kya hai?"- Deewar

Agar aapke pass koi suggestion ho to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: