Blog Homepage Pe Post Limit Kaise Set Kare



Hello, Blogger Aaj hum behat hi basic but imortant topic par bat karane wale hai. Bahut se new blogger honge jo blog banane ke bad unke man me ye sawal aata hai ki blog ke homepage pe hum kaise 5, 7 post show kare to aaj mai aapko yahi iss post me batane wala hu.



Blog Homepage Limited post


Homepage Pe Limited Post Rakhane Ka Kya Fayada:

Homepage Kya Hota Hai:

Jab bhi koi user aapki site open karata hai uske saamane pahale jo page open hota hai use homepage kahate hai.

E.g. Agar koi meri site www.hindimeearn.com ko open karega tab uske samane jo page open hoga wo meri site ka homepage hoga.
Homepage aapki site ka main page hota hai. Agar aapki site ka homepage hi jayada accha nahi hai to visitor aapki site ko visit nahi karenge. Homepage pe humari latest post show hoti hai.

Homepage pe limited post rakhane se humare blog ki laoding speed bahut hi kum ho jati hai. Jise visitor ko humara blog open karane me koi bhi pareshani nahi hoti aur blog ke visitor badh jate hai. Aur dusari taraf seo ke hisaab se blog ka bounce rate kum ho jata hai. Aapke blog ki loading speed 3-4 seconds honi chahiye.





Homepage pe Limited Post Kaise Show Kare:

Mai aapko ye recommend karata hu ki aap apne blog ke homepage se kum se kum 5 aur Jayda se Jayda 7 hi post ko show kare yesa karane se aapki blog loading speed bahut hi kum ho jayegi.
Niche maine 2 tarike bataye hai aap koi bhi 1 tarika use kar sakate hai.


Way 1:
Step 1:
Blogger.com pe chale jaye apne account me login kar le.

Step 2:
Setting me => Posts and Comments Me Chale Jaye.

Step 3:
Right side me aapko posts me Show at Most ka option dikhayi dega usme aapki homepage pe kitani post show karani hai ye dalana hai.



Show at most me post kitni show karanai hai wo dale


Step 4:
Setting save kare aur blog ka homepage check karle.



Way 2:
Step 1:
Apne blogger account se niche layout option me chale jaye.

Step 2:
Layout option me jate hi aapko blog posts ka segement dikhayi dega. Niche diye gaye screen shot me dekh le.


Edit pe click kare


Step 3:
Edit par click kare. Ek popup window khul jayegi. Number of post on mainpage is option me aap homepage pe kitani post show karana chahate hai wo dalkar setting ko save kare.


Number of post me post ka number dale


Step 4:
Finally Save arrangement pe click kare. Blog ko open karake dekh le.

To in dono tariko se aap apne blog ke homepage pe kitani post show karawani hai ye set kar sakate hai. Agar aapko isme koi bhi pareshani ho to niche comment jarur kare. Aur aapko humari ye post kaisi lagi ye bhi jarur bataye.

Aur blogging se related koi bhi pareshani ho to wo bhi batana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: