Blog ke Liye Contact Us Page Kaise Banaye




Contact Us Form Page Kaise Banaye, Blogger के लिए Contact Form Page कैसे बनाए.Hello, Blogger agar aap adsense ke liye aaply karana chahate hai to aapko to pata hi hoga ki aapki site pe about us, contact us, privacy policy page ka hona kitna jaruri hai. Aaj mai aapko bahut hi simple way bataunga ki kaise hum apne blog me contact us page add kar sakate hai.

Blog Ke Liye Contact Us Page

Contact Us Page Kya Hai? Kyon Hai Jaruri?

Contact us: contact us page me jo question puchna chahata hai uska naam, email address, subject aur message ye chize hoti hai. Par wo hum par depend karata hai ki hume contact us page me kya kya lena hai.
Aap log puchnege ki contact us page kyon jaruri hai blog ya site ke liye. Agar humari site me contact us page na ho to kya farak padata hai. To mai aapko batana chahunga ki contact us page apki site me ho to koi bhi user, reader blog admin se directly contact kar sakata hai.

Contact us page hone se aapki site professional lagati hai. Ye ek easy way hai blog admin se contact karane ka. Aur agar aap adsense ke liye aaply karana chahate hai to aapke blog pe contact us ka page hona must hai. Agar ye page nahi hoga to adsense disapprove hone ke chances jayada hai.






Contact Us Page Kaise Add Kare?

Mai aapko easy way batane ja raha hu jisme aapko koi coding nahi karanei hai niche di gayi steps follow kare.

Step 1:
Foxyform.com ki site pe chale jaye.



Step 2:
Right corner me your option me se aapko contact us page me kya kay chahiye usko tik mark kar de. Aur agar aap kisi field ko compulsory rakhana chahate hai to uske agge required field ko bhi tik mark kar de.



Option Select kare




Step 3:
Ab Advanced setting me agar aap form ka background color, font size, font color change karana chahate hai to kar sakate hai.


Advanced Option Me se se color select kare




Step 4:
Target email address me aapko wo email address dalana hai jispar aap is form ki question receive karana chahate hai. Mera matalab hai agar koi user contact karega to aapko wo message us email id par aayega.
Niche captcha code ko sahi tarike se fill up karke create formular pe click kare.



Email Address Dale




Step 5:
Ab aapko ek html code milega use copy karle.

Code Copy Karele


Step 6:
Blogger.com pe chale jaye aur waha dashboard se page jakar new page create kare.




Step 7:
Page ko html view me open kare aur us code ko yaha par paste kare.

Code Ko Page Me Paste kare


Step 8:
Agar aap is page par comment disable karana chahate to aage page setting me jakar kar sakate hai.

Step 9:
Page ko publish kar de. Aur us page ko open karke ek bar try karle ki aapko message receive ho raha hai ya nahi.





To is tarah bilkul simple way se hum apne blog me contact us page apne site me add kar sakate hai agar isme aapko koi problem ho to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Replies
    1. @ Sumit,

      Jo code hum foxyform se copy karate hai, usko thoda bhi change nahi karana hai, aur Step 7 ko thik se dekho, code ko HTML me paste karana hai aur publish karana hai. Ye 100% working hai, Mai bhi foxyform ka hi code use karata hu is blog par.

      Delete