Computer Vs Laptop Me Difference Aur Kaun Sa Kharide

Hello, Dosto aaj mai aapko bataunga ki laptop aur computer me kya farak hota hai. Bahut se jo new log hote hai wo jab computer kharidane jata hai tab confuse ho jate hai ki computer le ya laptop. To is post me mai aapko in dono me kya farak hai ye samjhaunga jisse aap khud hi samaj jayengi ki koun se le aur koun sa na le.

Computer Vs Laptop Me Difference

Computer Ya Laptop Ka configuration Kya Hota Hai:

Computer ya laptop kharidane se pahale hume ye janana hai ki iska configuration kya hota hai. Maine niche configuration ke bare me vistar se bataya hai.



1. Keyboard, Mouse, Desktop:
Pura computer yane aapko computer kharidate samay desktop, CUP, keyboard, mouse aur sounds ye kharidana padata hai tabi hum use pura computer kahate hai.
To hume pura computer kharidate samay Rs.25000 se lekar Rs.350000 tak kharch aa sakata hai. Wo computer ke configuration pe depend karata hai.
To wahi agar hum laptop lena chahate hai to aapko ye sabh chije inbuilt mil jati hai. Laptop hume Rs.22000 se lekar Rs.50000 tak mil jata hai. Wo bhi configuration pe depend karata hai.


2. Processor:
Jab aap comuter ya laptop kharidane jayenge to aapko ye batana padata hai ki aapko processor koun sa chahiye. Processor pe apke computer ki speed denpend karati hai. Aur apke computer ya laptop ki price bhi. Aap jitna latest processor lenge utni kimat bad jayegi.
Processor Ke Kuch Example:
Latest: I3, I5, I7
Old: Dual Core, Core to Duo





3. Ram:
Ram yane apke computer ya laptop ke memory hoti hai. Jisse computer work karata hai ya bhi aap jitni jayada lenge utni computer ki speed bhi badegi aur price bhi.
Bazar Me Kuch Is Tarah Ki Ram Milati Hai:
Latest: 2 GB, 4 GB, 8 GB
Old: 512 MB, 1 GB


4. Gaming and Graphics Card
Agar aap pc ya laptop sirf gaming ke liye lena chahate hai to aapko purchase karate samay graphics card par dyan dena padata hai. Aapka graphics card jitna latest hoga utin laptop aur computer clearity hd hogi. Aapke pc aur laptop me 3D Games support kar sakengi.
Aur to aur agar aap kisi gaming, ya animation ke liye computer, laptop kharidana chahate hai to aapko grphics card ka latest version hi lena padega.




      

5. Hard Disk:
Hard disk me yane aapke computer ya laptop ki memory jise hum use karate hai. Hard disk me hum apne important data aur software ko save karate hai.
Hard disk ki capacity jitni Jayda utni uski price Jayda.
Bazar me Kuch Is Tarah ki Hard Disk Milati Hai:
Latest: 500 GB, 1 TB (1 Terabytes = 1024 GB), 2 TB
Oldest: 180 GB




6. Operating System:
Aap apne computer ya laptop me kaun si operating system use karana chahate wo bhi aapko sochana padata hai. Operating system ke 2 prakar hote hai. 32 bit aur 64 bit. Aur alag alag operating system aapko market me mil jayegi.
Latest: Windows 7, 8, 8.1, 10, unix, linux etc.
Old: Windows XP, Windows XP etc.

Computer Aur Laptop Me Basic Kya Difference Hai:

Ab aap ne configuration ke bare me puri Jankari le li hai ab hum janege ki kaise hum isme se 1 ko chunana hai kyon upar ki facility apko dono me mil jati hai.

1. Mobility:
Computer: computer ko aap kahi par bhi utkar le ja nahi sakate mere kahane ka matlab hai agar aap kahi bahar ja rahe hai to sath me computer lekar nahi ja sakate.
Laptop: Laptop ko aap kahi bhi le ja sakate hai. Agar aap kahi bahar ja rahe hai to sirf laptop ko bag me dala aur chal diye.


2. Battery:
Computer: Agar bijali ho to hi aap computer ka use kar sakate hai warana nahi
Laptop: Bina bijali ke bhi aap laptop ka use kar sakate hai. Laptop ki battery ek bar charge kar de to 4-5 ghante tak chalati hai.




3. Upgrade:
Computer: Computer Me aap kabhi bhi ram, hard disk ya koi aur facility add kar sakate hai. Agar aapko laga ki mijhe hard disk kum pad rahi hai to aap use bada sakate hai.
Laptop: Laptop me yesa nahi kar sakate laptop me sirf limited parts hi badal sakate hai.

4. Repair:
Computer: Computer ko aap kahi par bhi repaire karava sakate hai. Computer ka koi bhi part aapko easily mil jayega. Aur to aur computer repairing ke shops bhi aapko bahut sare mil jayenge.
Laptop: Laptop me agar kuch karabi aa jaye to use tik hona kuch na ke barabar hi hota hai. Kyon ki laptop ko jo parts hote hai wo bahut hi chote hote hai aur aapko wo bazar me bhi nahi mil sakate uske liye aapko laptop ke hi service center me jana padega.

     

5. Screen Size:
Computer: Computer ka jo desktop hota hai wo aapko alag alag size me mil jayega. Ab jo nayi LED TV Bazar me aayi hai use hum easily apna CPU connect kar sakate hai. Aur uska use dono tarah se kar sakate hai ek to TV dekhane ke liye aur dusare computer ke kam karane ke liye.
Laptop: Laptop ki size limited hai. Aapko bazar me limited size ke hi laptop dekhane ko milenge.

To Dosto aaj humane jana ki laptop aur computer me kya fark hota hai aur hume koun sa kharidana chaiye. Agar ab bhi aap confuse hai to aap apni requirement mujhe bata de mai aapko suggest karunga ki aapko koun sa computer ya laptop kharidana hai. Ya aapke computer, laptop ka configuration kya hona chahiye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

6 comments:

  1. Sir mobile software ke liye laptop sahi hai kya comptop plz reply sir

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Ajar,
      Agar aap ghar par rahkar work karana chahate hai to computer le aur agar aap kahi bahar jaise office,college me work karate hai to laptop le le.
      Mobile software ke liye dono tik hai sirf configuration accha select kare.

      Delete
  2. Hum kisi bhi pc me koi bhi ram aur processor laga sakte hai kya.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Wakar,
      Computer me RAM, Processor Laga sakate hai, but aapko iske liye technician ki jarurat padegi. Agar aapko iska pura knowledge hai to aap khud bhi laga sakate hai.

      Delete
  3. Sir
    Aap bta dijiye Kya Lena hai

    ReplyDelete