Godaddy.com Se Domain Kaise Regsiter, Purchase Kare

Godaddy se Doamin kaise buy kare, godaddy domain kaise purchase kare. Hello, blogger aaj mai aapko bataunga ki apne site ke liye kaise hum saste me domain register kar sakate ha. Maine isse pahale bhi bataya hai ki domain kya hota hai



Agar aap apne blog ko site me convert karane ke liye top level domain ki jarurat hoti hai. Domain register karane ke baad apke site me jo blogspot hota hai uski jagah pe appne jo domain liya hai wo aa jayega.

Godaddy.com Se Domain Kaise Regsiter Kare

Godaddy.com ek behatarin aur popular domain selling site hai domain aur hosting kharidane ke liye. Godaddy pe agar koi offer chal rahi hai to aap Rs.99 me 1 year ke liye domain register kar sakate hai.

Aur agar koi offer nahi bhi chal raha to mai aapko RS.99 me domain kharidane ki tip de dunga.

Domain Kharidane Ke Liye Kya Kya Hona Jaruri Hai.

Domain karidane ke liye aapke pass niche di gayi chije hona jaruri hai.

1. Email Id:
Domain register karane ke liye aapke pass apna khud ka ek email id hona jaruri hai.

2. Credit/Debit Card/ ATM/ Internet Banking:
Aapko domain ke jo rakam hoti hai jo online pay karani padati hai iske liye aapke pass Credit Card,Debit Card/ ATM ya Internet Banking inme se koi bhi 1 chij honi jaruri hai.




Domain Kaise Register Kare:

Step 1:
Godaddy.com ki site pe chale jaye.

Step 2:
Agar aapke pass pahale godaddy pe account hai to sign in par clck kare aur nahi hai to Create My Account Pe click kare.

Sign In Pe Click Kare


Step 3:


Apni Puri Details Dale


Aapke samane ek form khul jayega usme apni details dal de.
Enter Your Email Address: Isme apna email id dale.
Create Your User Name: Isme aap koi bhi apni pasand ka naam dal sakate hai jase maine dala hai hindimeearn
Create Your Password: Isme koi bhi password use kare password number, alphabet aur special character hona jaruri hai. Jaise Password@123#
Create Your Call In Pin:
Isme aapko 4 digit ka koi bhi number dalana hai jaise humare atm ka pin hota hai e.g 1234, 8888 etc.
Aur I Agree Button Pe Click Kar de. Ab aapka godaddy pe account ban gaya hai. Phir sign in pe click kare aur apna user name aur password dalke ke sign in kar le.




Step 4:
Ab aap godaddy ki site pe honge waha pe aapko ek search box dikhayi dega usme aapko jo domain chahiye wo search kare.

Domain Search Kare


Step 5:
Agar aap jo chahate hai wo domain agar mil gaya hai to age aapko select ka option dikhayi dega uspe click kare.





Step 6:
Domain select karane ke bad uski price check kar le aur aage continue to cart pe click kar de.


Domain Select Kare



Step 7:
Ab aapke samane dusari ek window open ho jayegi usme aapko extra kuch chije lene ke liye kaha jayega jaise hosting, Professional email (admin@hindimeearn.com) etc.

            Þ    Free Me Professional Email Kaise Banaye

          

continue to cart pe click kare


Agar aapko isme se kuch lena hai to aapko iske extra paise dene padenge.
To isme se aapko kuch bhi nahi lena hai niche continue to cart pe click kar dena hai.

Step 8:
Ab aapke samane apke domain ki jankari hogi usme se aapko domain kitane saal ke liye register karana hai wo aap chun le. Agar aap 1 saal se Jayda select karenge to uske Jayda paise lagenge.
Ab Processed to check out pe click kar de.


1 Year Select Kae Aur Processed to Checkout Par click kare



Step 9:
Ab aapke samane ke aur window khul jayegi usme returning customer me apna user name aur password dalkar sign in kar le.




Step 10:
Ab aapke samane ek our page khul jayega usme apni puri details bhar de. Jaise Apna Pura Name, Address, Zip Code, Mobile number aur country etc.
Aur niche aap payment kis tarah karana chahate hai wo chun le Net Banking, Credit Card, Debit Card, etc.
Continue ke button pe click kar de. Apni details phir ek baar tik tarh se dekh le aur place your order pe click kar de.

Apni Billing Details dale
Payment Details Select Kare


Step 11:
Phir aapke samane payment details ki window open ho jayegi usme usme apka atm card number, uski expiray date select karke make payment pe click kar de.
Card Details dale


Step 12:
Agar aap ATM Use kar rahe hai to aapko ek OTP aayega use dalkar submit kar le.

Step 13:
Ab aapne domain register kar liye hai. Ab usko aapke blog me lagan ke liye kuch setting karani padati hai wo mai aapko agli post me bataunga.

To dosto humane domain register karana sikh liya agar isme agar aapko kuch problem ho to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. bhai jan godaddy se domain lene ke baad website kitna samaye me verifie hoti hai ? aor us website me ham apne blogs kese likhe plz help me bhai jan

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Altaf

      Domain purchase karane ke bad aapko blog me jakar setting karani hoti hai, uske bad waise to 2 hours me ho jayega lekin jayda se jayda 12 hours me aapka domain blog se jud jayega.

      Delete