Html Site Map Kaise Add Kare Blog Me

Hello, blogger aaj hum janege ki apne site me html sitemap kaise add kare. Ise table of content bhi kaha jata hai. Ise add karane se blog ka bounce rate kum ho jata hai aur page rank increase hone me madad milati hai. 


To chaliye janate hai ki kaise ise apne blog me add kare.

Blog Me HTML Sitemap kaise add kare


Html Site Map Kya Hota Hai?

XML Sitemap: Aap ye to janate hi hoge ki hume google, yahoo me apne site ka .xml site map add karana padata hai. Ise apke blog ki traffic badati hai. xml site map search engines ke liye hota hai. Aur html sitemap user ke liye hota hai.
HTML Sitemap: Html site map ko table of content kaha jata hai isme apke site ki sari post ek hi page mi dikhayi jati hai. html site map add karane se aapke site ka look professional ban jata hai, aur to aur user ko koi bhi topic easy read karane ke liye choice karane me madad hoti hai. Iski madad se user apke blog pe easily navigate kar sakata hai.
Html site map kya hota hai aap meri site par dekh sakate hai ise dekhane ke bad aap easily samaj jayenge.


Mere Blog Ka Sitempa


Agar aap koi new post dalate hai to is sitemap me post title highlight kar deta hai. Jisse user easily samaj jayega ki kon si post new hai aur koun si post old.



         Þ   Backlinks Kya Hai?

HTML Site Map Kaise Add Kare:

Niche di gayi step follow kare:

Step 1:
Blogger.com pe chale jaye. Blog ke dashboard me jaye.



Step 2:
Dashboard se niche pages me chale jaye. Aur New page create kare.

Page Create Kare



Step 3:
Page title me aap jo chahe wo dale jaise sitemap, table of content, all post, site ke puri post etc.

Step 4:
Page body me chale jaye aur page ko html view me open kare.

Step 5:
Niche diya hua code copy kar le aur page me paste karde.




Sirf code me script src="http://www.hindimeearn.com is url ki jagah aapke site ka url dal de.
Code credit: www.tricksgalaxy.com

Step 6:
Page ki kuch setting kare jaise agar aap apne is page pe comment disable karana chahate hai to yaha se disable kare, niche ki image me dekhe.


Page ki setting kare


Step 7:
Page ka preview dekhe. Agar site map tik tarah dikhayi de raha hai to page ko publish kar de.

Aapne simple way se sitmap bana liya hai ab kya karana hai us page ko apne blog ki menu me add karle jisse user easily use dekh sake. User ka ise dekhate hi attract ho jayenge aur yaha se apne old, new post easily padh sakenge.

Agar aapko isme koi bhi problem ho to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments: