PAN Card Kya Hai? Pan Card Kaise Banaye

Pan card yane Permanent Account Number Hota Hai. Pan card ek important document hai. Jiska use kayi jagah pe hota hai jaise bank me account open karane ke liye, agar aap income tax bharate hai to waha par.

PAN Card Kya Hai

Agar aap ke man me niche diye gaye sawal uthate hai to aapko is post me inka answer mil jayega.
1. Pan card kya hai,
2. Pan card ka use kya hai? Aur isse hum kaise banavaye.
3. Pan card koun banava sakata hai?
4. Pan Card banvane ke liye koun se document required hai.




Pan Card Kya Hai? Aur Kyon Jaruri Hai

Maine pahale hi bataya ki Pan yane Permanent Account Number Hota Hai Jise Income Tax department issure karata hai. Ye India Ka Important government document mana jata hai.
Pan card dikhane me apne ATM Card jaisa hota hai jispar aapka photo, pura naam aur signature hota hai.
Pan Card Ka ek unique number hota hai jo 10 digit ka alphanumeric number hota hai. E.g. AAYH1111AO

Pan Card Kyon Hai Jaruri?

Pan card ko ek government id proof mana jata hai. Iska main kam hai income tax barane ke liye iska use hota hai. Agar aapki yearly income taxable hai to aapko income tax bharana padata hai.
Pan card ka use bank me bade transaction karane ke liye hota hai. Agar aapko RS.50000 ke upar transaction karana hai to aapke pass pan card hona jaruri hai.






Pan Card Koun Bana Sakata Hai?

India ka koi bhi nagarik pan card banava sakata hai. Iske liye age ki koi limit nahi hai. Aur aap koi karobar ya nokari karate hai ya nahi iska pan card se koi lena dena nahi hai.




Pan Card Banane Ke Liye Koun Se Document Required Hai?

Pan card banana ke liye aapke pass niche diye gaye 3 document ki jarurat hoti hai.

1. Recently nikale huye 2 color passport size photo
2. Identity Proof (Jisme Date of Birth Ho):
Isme se koi bhi 1 doument chalega.
 a) School leaving certificate
b) SSC Board Ka Marksheet
c) Passport
d) Voter Id
e) Aadhar Card
f) Driving License
g) Ration Card
3. Address Proof:
Isme se koi bhi 1 doument:
a) Bank Passbook
b) Light Bill
c) Phone Bill
d) Voter Id




Pan Card Ke Liye Kaise Apply Kare?

Agar aap ko internet ki jankari hai to aap pan card ke liye online aaply kar sakate hai. Iske liye aapko pan card ki website https://www.onlineservices.nsdl.com/ par jakar apply kar sakate hai.  Iske liye website par jo instruction di gayi unhe tik tarah se follow kare.

Form kaise fill kiya jata hai iske bare me jald hi hum post likhane wale hai.



Pan Card Banavane Ke Liye Fees Kitani Lagegi?

Pan card banana ke liye income tex department aapse Rs.105 leta hai. Aur agar aap khud se online apply karate hai to aapko application ki print out nikalkar pan suvidha center ya tin center par bhejani hoti hai. Jiske liye aapko post ka kharch kuch Rs.50-100 legega. Agar aapko online nahi aaply karana hai to aap kisi pan card agent se pan card banava sakate hai. Wo uski fees Rs.200-250 lega.




Pan Card Kab Milega Aur Kaha ?
Pan card ko aaply karane ke bad 15-20 din me pan card aapke address pe post se aa jayega.

Pan Card Gum Ho Jaye To Kya Karana Hai?
Agar aap ka pan card gum ya chori  ho jaye to aapko uski shikayat najdiki police station me karvani hai aur to aur aapko nsdl ke office me bhi iski report karani hai.

To dosto aaj humane jana ki pan card kya hota hai, ise kaise banvaye aur iske liye koun koun se document ki jarurat hogi. Agar aapko pan card ke bare me koi bhi jankari chahiye to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

10 comments:

  1. Chattishgatl me kha tin no. Milega plz center name btae

    ReplyDelete
  2. @ Lohit aap nsdl ki website pe jake waha se coustomor care ka number le aur unse puche ke aapke ilake me tin center kaha par hai.

    ReplyDelete
  3. me lalsingh hu aour mera ATM nahi mila hai aour mere 10000 hajar rupaye jama had to me kya karu

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Lalsingh,

      Agar aapka ATM kho gaya hai to bank me jake usko block kardo, ya phir online usko block karde.

      Delete
  4. sir, pancard kitne age se banta hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Pinku,

      18 Saal se upar age wala koi bhi pan card banawa sakata hai.

      Delete
  5. SIR PEN CARD ONLINE HONE KE BAD FINALPRENT PHOTO LAGKE KAHA JAMA KARE

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Vijay,

      Aapko pan application kis address par send karana hai, NSDL ki website par address diya hai waha se address le le.

      Delete
  6. Sir kya ham 18 se phle nhi banwa skte hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Predeep,
      Aapka age 18+ hona jaruri hai.

      Delete