Visa Kya Hota Hai? Visa Kitane Prakar Ka Hota Hai?

Aap sub log ye to janate honge ki visa ka istamal hume dusare desh me jane ke liye hota hai. Agar kisi ko humare desh me aana hai tab uske pass humare desh ka visa hona jaruri hota hai. To aaj hum janenge ki visa kaha se banaya ja sakata hai? Visa kitane prakar ka hota hai.

visa kya hota hai


Visa Kya Hai? Visa Ki Jarurat Kaha Hoti Hai?

Maine upar hi bataye ki visa ki jarurat hume dusare country me jane ke liye hoti hai. Lekin yesa nahi hai ki sabhi deshome jane ke liye visa ki jarurat hoti hai. Kuch yesi bhi desh hai jaha jane ke liye hume visa ki jarurat nahi hoti hai.


Visa ek certificate hota hai jispe depend hota hai ki aapko kitne din ki permission di gayi hai desh me rahane ke liye. Agar aap kisi badi country me jane chahate hai jaise America to aapke pass America ka visa hona jaruri hai.

Visa Kaise Banavaye:

Agar aapko visa banana hai to iske liye aap internet par jis country ka visa banana hai wo search kare, aapko uski puri details mil jayegai. Kyon ki harek country ke visa ki website alag-alag hai.
Agar aap America ke liye aaply karana chahate hai to internet par search kare “Visa For America”. Aapko website link mil jayegai.
Dusara Way: Aap visa kisi travel agency se banava sakate hai. Ya kisi agenet se bhi banava sakate hai.




Visa Kitane Prakar Ka Hota Hai?

Visa ke alag alag prakar hoti hai. Uska time period alag hota hai.

1. Student Visa:
Student visa un logo ke liye hota hai jise dusare desh me padhayi ke liye jana chahate hai. Ya kisi course ko complete karana chahate hai. Iske liye aapko education ka proof dena hota hai. Student visa ka time period education ke time pe depend hota hai.





2. Business Visa:
Business visa un logo ke liye hota hai jo aapna business kisi dusare desh me karana chahate hai. To un logo ke liye business visa hota hai. Business visa ke liye aapko apne business ka proof aur uske related document provide karane padate hai.


3. Tourist Visa:
Tourist visa ye har kisi ko mil sakata hai. Tourist visa un logo ke liye hai jo kisi dusare desh me trip ke liye ya desh dekhane ke liye jana chahata hai. Aapko ye visa kisi bhi travel agency se mil jata hai.


4. Medical Visa:
Ye visa un logo ki diya jata hai to apne kisi bimari ka illaz dusare desh me karavana chahate hai. Is visa ko banane ke liye hume aapne desh ke jo hospitals hai unki taraf se medical certificate hona jaruri hota hai. Us certificate me aapki bimari ke bare me aur uska illaz kaha hoga uski details hogi.


5. Employment Visa:
Ye visa un logo ke liye hota hai jo kisi dusare desh me naukari karana chahate hai. Chahe wo government job ho ya private job. Uske liye aapko government ya company ki taraf se job ka proof lana padega. Is tarah ke visa ka period aapke job pe depend karata hai.





6. Research Visa:
Agar koi professional, ya professor kisi topic par research karane ke liye dusare desh me jana chahate hai to unko is type ke visa ki jarurat hoti hai.


7. X (Entry) Visa:
Agar koi dusare desh me jakar waha bus jata hai, aur usi desh ka nagarik ban jata hai. Agar usne bacche, ya realative phir se apne desh me vapis aana chahate to unko X entry visa diya jata hai.


8. Journalist Visa:
Agar aap journalist, photographer, ya movie banane wale jo log hote hai unko journalist visa diya jata hai.





To dosto aaj humane jana ki visa kya hota hai aur visa ke kitane prakar hote hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Replies
    1. @Satrughna,
      Multientry visa matlab aapke visa ki jab tak validity hai tab tak aap kitani bhi baar aa-ja sakate hai.

      Delete