Atm से पैसे कैसे निकालें



एटीएम से पैसे कैसे निकालें , ATM se Paise Kaise Nikale With Picture. एटीएम से पैसे निकालने की विधि .
Aaj hum janenge ki ATM Machine Se Paise kaise nikale jate hai? bahut se logo ke man me ye sawal hota ki ATM se paise nikalane ki vidhi kya hai. To aap is post ko read kare to aapko samaj me aayega ki ATM ka Use Kaise Kiya jata hai.

ATM Se Paise Nikalane Ki Vidhi

ATM Card Kya Hota Hai?

ATM Card ek ek plastic ka card hota hai. ATM Card ka ek Secret PIN Number hota hai. PIN number kisi bhi na bataye, isse gopniy rakhe. Jiski madad se hum kahi bhi kabhi bhi 24*7 paise nikal sakate hai. Aaj kal har kisi ke pass ATM Card aa gaya hai. Ab log purane jamane ki tarah wallet me paise nahi rakhate jab bhi jarurat hoti hai Card nikala swap kiya aur nikale paise.
Agar aapko shopping karani hai tab bhi aap ATM Card ka use kar sakate hai.
ATM Card kayi prakar ke hote hai, jaise Master Card, Maestro Card, Rupay Card




ATM Se Paise Kaise Nikale

Jo naye log hai, unko pata nahi hota hai ki ATM Card ka use kaise kiya jata hai.

1. To aapko kya karana hai kisi bhi ATM Machine pe chale jaye.
2. Aapka jo ATM Card hai use ATM Machine me jo slot hota hai usme insert kar de. Aur turant Card Nikal Le.
3. Card insert karate hi aapko bhasha (language) select karani hai. Aapke hisaab se bhasha (Hindi/English) chune.
4. Apne ATM ka PIN Number (4 Digit ka) Dale
5. Ab aapko screen pe option dikhayi denge usme Banking Select kare.
6. Aapke samane bahut se options honge unme se Cash Withdrawal pe click karde.
7. Aapka jo account hai Current ya Saving wo select kare.
8. Amount enter kare (aapko jitane paise nikale hai wo rakam dale). Aur yes pe click karde.
9. Transaction ko pura hone de. Aur apni rakam collect karle.
10. Apni slip le le. Aur aakhir me Clear pe click karde.




    
   o   NEFT Aur RTGS Kya Hota Hai

ATM Se Paise Nikalate Waqt Ye Baate Rakhe Dyan Me

ATM Card use karate samay aapko kuch baate dyan me rakhani padati hai. ATM Card ko use hum limited time hi kar sakate hai, kyon ki jo Bank hai unone transaction par limit de rakhi hai.


Metro City Ke Liye Transaction Limit: (Delhi, Mumbai, Kolkata,
Chennai, Bengaluru and Hyderabad)
Dusare bank ke Atm par hum 1 month me 3 Free transaction kar sakate hai.
Aur apni bank ke ATM par 1 month me 5 free transaction kar sakate hai.
Free Transction me kya kya aata hai: PIN Change, Balance Enquiry, Mini Statement, and Balance Transfer etc.
Yane metro city me aapko total 8 free transaction milate hai, agar aap 1 month me 8 se jayada transction karoge to aapke 1 transaction ke liye Rs.20 charge legega.

  




Non-Metro City Ke Liye Transaction Limit:
Non metro ki liye total 10 free transaction hai. Bank bank ke ATM par 5 aur dusare bank ke atm par 5 yese kul milakar 10 free transaction 1 month me kar sakate hai. Jayada transction karoge to aapke 1 transaction ke liye Rs.20 charge legega.
To aaj humane sikha ki ATM se paise kaise nikale aur ATM ke 1 month me kitne transaction kar sakate hai.

Agar aapka isse related agar koi bhi sawal hai to aap comment me puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. Kya note badane ke baad ATM card ka pin kaam karega ya pahle jaise pahle pin PE transection kar sakte hai aur transection limit kya hoge

    ReplyDelete
  2. कृपया विडिओ भी बनाया कीजिए जिससे हमको समझ मे आ जाये पैसे कैसे निकाल ATM से.

    ReplyDelete