Gmail Pe Kisi Ko Block And Unblock Kaise Kare

Hello, Dosto aaj mai aapko bataunga ki kaise hum gmail pe kisi contact ko block ya unblock kar sakate hai.


Aaj internet ka daur hai. Har koi personal ya business ke liye email id use karata hai. Aur usme se jayadatar 95% log gmail ka hi use karate hai. Par jo new user hote hai unko gamil ka use karate hue bahut sari dikkate aati hai. Kyon ki jo new user hote hai wo apna email id kahi par bhi online de dete hai. Aur phir shuru ho jati hai pareshani roz 10-15 ke falatu mail aate rahate hai. Tab aapki samaj me nahi aata ki ab kare kya?
             Agar aapne kahi se email updates subscribe kiya hai to use to hum unsubscribe kar sakate hai, but to spammer hote hai unka kya? Internet par spammer ki sankya din ba din badati ja rahi hai. wo aapko roz 10-15 fizul ke email send karate rahate hai to inhe rokane ke liye hum unko block kar sakate hai. To chaliye janate hai ki kaise kisi ko block kar sakate hai.

Block , unblock contact on gmail

Kisi Ko Block Karane Ke Fayade Kya Hai?
Agar hum kisi ko block karate hai to wo jo bhi mail aapko send karega wo directly inbox me na jate hue spam folder me chala jata hai. Aur aapka inbox spam emails se bach jata hai.



Gmail Pe Contact Block Kaise Kare?

Step1:
Gmail pe login kar le. Gmail ko standard view me open kare. Agar aap html view me open karoge to ye tip work nahi karegi.

Step 2:
Jis contact ko aap block karana chahate hai uske receive hua email open kar le.
Jo contact block karana hai wo open kare


Step 3:
Ab kya karana hai jo email open kiya hai use email id ke name ke aage ek down arrow dikhayi dega. (Image me dekhe) Us arrow pe click kare.


Down arrow pe click kare



   o   Paytm Par Account Banakar Recharge Kaise Kare


Step 4:
Us arrow par click karate hi bahut sare option aapko dikhayi denge usme niche 6 number ka option hoga Block “Umintoo” (Aap jisko block kar rahe hai uska name hoga) uspe click kare.




Step 5:
Phir aapke samane ek pop-up windows aayegi ki aap such me isko block karana chahate hai block pe click kar de.


Block Pe click kare


Is tarah aap kisi bhi contact ko easy tarike se block kar sakate hai.




Gmail Pe Kisi Contact Ko Unblock Kaise Kare?

Agar aap kisi contact ko unblock karana chahate hai to niche di gayi step follow kare.

Step 1:
Gmail ki setting icon pe click kare.


Gmail Ki Setting pe click kare


Step 2:
Filter aur blocked address pe click kare.


Filter aur blocked address pe click kare


Step 3:
Jis contact ko unblock karana hai use select karle aur unblock pe click karde.
contact select kare


Step 4:
Ek pop-up windows khulegi usme unblock pe click karde.


unblock pe click kare


Is tarah hum block kiye gaye contact ko unblock kar sakate hai.
To hum is tarah kisi bhi contact ko easy tarah se block ya unblock kar sakate hai. Agar aapko tip pasand aayi to aap humare latest updates ke liye hume subscribe kar sakate hai jisse humare latest updates aapko email ke jariye mil jayenge. Aap hume yaha se subscribe kare. Ya humare facebook page se jud jaye jisse aapko latest updates milati rahe.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Gmeel.se kiye huha lok mobil kaise unlok kare

    ReplyDelete
  2. @Ismail,
    Gmail id aur password dalkar kar unlock kare.

    ReplyDelete