Blog Ke Liye Beautiful Heading Kaise Use Kare





Hello, Dosto Aaj Mai aapko ek behatarin trick batane ja raha hu apne blog me beautiful heading kaise add kare. Beautiful heading use karane se reader ka post pe attraction bad jata hai aur isse site ka bounce rate kum ho jata hai.
Blog me heading use karana seo ki liye bhi jaruri hota hai aur heading use karane se reader ka attraction bhi bad jata hai. Isliye hume apne har post me heading tags ka use karana jaruri hai.

Stylish Heading Kaise Use Kare

Headings Kya Hoti Hai?

Aapko pahale ye samajana hoga ki headings tags kya hoti hai. Agar aapko HTML ka thoda sa knowledge hai to aapko headings tags kya hoti hai ye malum hoga.
Mai aapko ye bataunga ki headings kul 6 prakar ki hoti hai. h1, h2, h3, h4, h5 and h6 etc. Maine iske bare me article likha hua hai wo aap read kar sakate hai.

Blog Me Beautiful Headings Kaise Use kare

Mai aaj yaha pe kuch CSS coding ke jariye heading ko animated aur beautiful kaise banate hai ye bataunga. Yesa karane se jo readers hai unka attraction bad jata hai. Unko post read karane me aur bhi maza aata hai to chaliye headings ko kaise attractive banaye ye janate hai.
Maine Three types ki heading ko attractive banane ke liye code diya hai.




Aapko jo heading add karani hai uska code copy kar le.

Heading Style 1:
Heading 1 Code:


Heading Style 2:

Heading 2 Code:




Heading Style 3

Heading 3 Code:



Ye code blog me kaise add karate hai ye dekhate hai.

   o   Black Hat Seo VS White Hat Seo



Step 1:
Code copy karle aur use notepad me paste kare. Phir aap heading ko jo naam dena chahate hai wo add kare. Aur phir us code ko copy karle.


Code Me Heading Add Kare


Step 2:
Us code ko blog me jake html view me paste karde.


Code Ko HTML View Me Paste Kare


Step 3:
Ab compose mode open karke dekh le ki heading tik tarah se dikh rahi hai ya nahi.


Compose Mode Me Dekhe


Agar aap is code ko edit karana chahte hai to mai aapko batata hu ki kaise hum ise edit kar sakate hai. Mai aapko style 1 ke code ko kaise edit karana hai ye janate hai.
Style="background-color:#004489;
Is code me background color diya gaya hai aap apne hisaab se isse edit kar sakate hai. Iskeliye aapko #FF0000 yesa hexadecimal code use karana hai.
Background-image: url('http://3.bp.blogspot.com/-4yvmBPt5qCE/VlzX_btjufI/AAAAAAAABO0/FT_
J8B5fOF8/s1600/N1.png');
Ise edit karake aap jo image hai use edit kar sakate hai. Jis image ko aap use karana chahate hai uska url yaha pe paste karde.
Border: 2px  dashed #FFF; color: #FCFCFC;
Aap iske jariye border ki width kum jayada kar sakate hai. Aur border ka color bhi change kar sakate hai.
Font-size: 18px



Iske jariye hum font ki size yane jo heading hai uski size kum jayada kar sakate hai.
To is tarah hum jaise chahaye waise code ko edit kar sakate hai. Agar aapko koi coding samaj nahi aa rahi hai to aap hume niche comment me puch sakate hai.

Is tarah hum kisi bhi heading ko css code se attractive bana sakate hai.
Agar aapko humari ye post acchi lagi ho to dosto ke sath share jarur kare. Aur agar aapke pass bhi koi, tips ya post hai aur aap humare sath share karana chahate hai to guest post ke jariye share kar sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

6 comments:

  1. sir me apse ek sawal puchhna chahta hu jise me bahut din me confused hu.

    blogger new creat post pe uper jo
    HEADING
    SUBHEADING
    MINOR HEADING
    NORMAL

    yeh option he.is sare option ko new post likhne me kaha kaha use kre..plz details me batayiye sir.help me

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Gaurav,

      Heading - e.g. Isme aapki main post se realted jo title hota hai isko use kar sakate hai.

      Subheading aur minor heading - Jo dusare sub points hote hai, usko use kar sakate hai. Aap upar post me dekh sakate hai, jo red color me hai wo uske example hai.

      Delete
  2. sir apse ek aur sawal he

    mene heading chacker use kia aur usme
    h1 heading not found on this website
    and mere sare post ke title h2 me show ho rha h.

    sir title ko h1 me kaise show karu.sir plz help me.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Gourab,

      Sabhi blogger template me H1 heading not found hi show karata hai, agar aap Seo check karate hai to, agar aap isko remove karana chahate hai to template me head ke niche opeaning title tag aur closing title tag me Blog title likh kar save karde.

      Delete
  3. Sir sirf css Code pest karne ke baad heading ka use kaha or kaise kare
    kyuki.maine apne template me css code pest kr diya hai

    uska use kaha or kaise kare ye nhi malum

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Hindiv,
      Post likhate samay edit html me add karana hai.

      Delete