Computer, PC, Laptop Hang Hone Pe Kya Kare

Aaj kal har kisi ke pass computer (PC), laptop hai. Aur kabhi kabhi aap ka computer hang ho jata hai, slow work karata hai, bich bich me screen blue ho jati hai, tab hume samaj me nahi aata ki kya kare. To iss post me mai aapko yahi bataunga ki computer hang ho jane par kya karana chahiye.

Computer Hang Hone Pe Kya Kare

Har kisi ke pass computer aa gaya hai. Koi ghar pe use karata hai to koi office me par kam karate samay kabhi kabhi computer hang ho jata hai, aur jin logo ko computer ki puri knowledge nahi hai wo soch me pad jate hai ki ab kya kare? Iss problem ko kaise solve kare? To chaliye janate hai.




Computer Hang Hone Par Solution:

1. Sabse Accha Solution Task Manager:
Hum jab computer par kam kar rahe hote hai tab hum ek sath kayi kam karate hai jaise ek tab me song sun rahe hai, dusari aur type kar rahe hai aur tisari tab me kuch files downloading ke liye lagayi hai, par acchnak se computer hang ho jata hai mouse kam nahi karane lagata hai, koi bhi program close nahi ho raha hai, program is not responding iss tarah ka message dikhayi deta hai. yaha tak ki aapka computer log off ya restart bhi nahi hota tab kya karana hai.
Keyboard se “Ctrl+Alt+Del” in keys ko ek sath dabana hai tab aapke samane kuch option aayenge kuch is tarah
Lock This Computer
Switch User
Log Off
Change Password…
Start Task Manager
Aap start task manager pe click kare to aapke samane niche di gayi image ki tarah options honge.


Task Manager


Ab aapka jo program not responding ka message de raha hai uspe click kare mai yaha pe google chrome select karata hu aur bad me end task pe click kare is tarah ek ek karake sabhi program close kare. Ab dekhe ki aapka pc tik tarah se work kar raha hai ya nahi.
Agar ab bhi work nahi kar raha to phir se task manager open kare aur switch user pe click kare aur right corner me aapko red button dikhayi dega uske samane ke arrow pe click karke computer restart kare.



2. Screen Blue Hone Par:
Aksar maine dekha hai ki jo log computer use karate hai unko is problem ko face karana padata hai, computer start karane par sirf screen blue dikhayi deti hai aur blink hoti hai, bad me no signal ka message dikhai deta hai.

Solution 1:
Sabse pahale aapke pc ka power supply ka jo cable hai wo check kare ki wo tik tarah se plug in to kiya hai ya nahi. Ya phir kahi pe cable break to nahi hua hai. Agar break hua hai to aapko power supply ka cable change karana padega.




Solution 2:
Agar power supply tik tarah se aa raha aur phir bhi screen blink ho rahi hai to phir aapko computer ki RAM nikalani padegi aur use tik tarah se clean kare uspe jo dul lagi hai usse saf kare. Aur phir se ram slot pe bitha de. Phir computer start karke check kare. Agar computer tik tarah se work kar raha hai to tik. Nahi to phir se RAM
Nikale aur RAM ke liye another slot diya gaya hota hai uss dusare slot pe RAM fit karde.
Computer start karke dekhe aapka computer tik se work karega.

3. Computer Slow Work Kar Raha Hai
Agar computer slow work kar raha hai to aapko computer me se temporary files ko delete karana padata hai. Computer me jo cookies, perfected files hoti hai usko delete karana hota hai.




Computer Hang Na Ho Iske Liye Kya Kare

Agar aap chahate hai ki aapka computer hang na ho, slow work na kare to phir uske liye niche di gayi tips ko follow kare.
1. Computer me antivirus software jarur install kare.
2. Regularly temporary files, cookies, ko delete kare.
3. Computer me C Cleaner software jarur install kare.
4. Apne PC ko dul se dur rakhe, computer ko jitna saf rakhe utna behatar hai.
Agar aap in tips ko follow karate hai to phir aapka computer hang nahi ho sakata. Aur agar computer hang na ho iske liye aapko jo tips di gayi hai usse follow kare. Aur aapko ye post kaisi lagi comment me jarur bataye.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

21 comments:

  1. Hello sir mera laptop bura hang ho gaya hai bilkup work ni kar raha 1 din se na band ho raha hai na kuch response de ra hai kuch b karne par nahi ho raha . Pls sir help me . Pls .....

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Instam,
      Usko aap format kardo. Phir ekdam thik se work karega.
      Laptop/computer format kaise kare.

      Delete
  2. Sir mela laptop off ho gya hai wo on nhi ho rha hai kya karun

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Meem,
      Laptop ko charging ko lagakar dekho ki on hota hai ya nahi, agar nahi to phir aapko usko service center ko lekar jana hoga.

      Delete
  3. sir menw computer format kiya ab sound ki problem he

    menw driver install kiye fir bhi sound nahi aa rahi kya karu?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Sandip,
      Shayad aapne driver thik se install nahi kiye hai aap check kare ki driver install ho gaye hai ya nahi uske liye aap ye post read kare.

      Delete
  4. Sir mera leptop Chalte chalte Mouse kam Karna band kardeta hai or nhi hi key board kam karta kiya Karna chahye

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Himnshu,
      USB driver ko update karo.

      Delete
  5. Sir mera laptop bahut slow kam krta hai

    ReplyDelete
  6. Sir mera pc on hota hai aor window bhi lika ata par kus nahi hota eska sollusation kya hai

    ReplyDelete
  7. Screen blue ho gai shut down bhi nhi ho rha btay kya kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Driver update kariye aur RAM ek baar saaf karke dobara se lagaye.

      Delete
  8. Sir mai jaise hi laptop ko net se connect krta hoon to wo hang hone lagta hain ur koi bhi kaam nhi ho pata computer 2 baar formet karwaa chuka hoon
    Antiverus bhi hain uske baad bhi btaye kya kru jisse online kaam kr saku

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Himanshu,
      C Cleaner install kariye.

      Delete
    2. C cleaner se hang hona bnd hojaaega

      Delete
  9. sir jab mai pc chalata hu to mera pc bahut jada hang karta hai aur kabhi kabhi to kuch dikhaie nahi deta hai ki9ya karu samajh nahi aata hai sir kuch bataiye

    ReplyDelete
  10. @Usme RAM increase kariye aur sath me Temporary Files Delete kariye.

    ReplyDelete
  11. sir mery laptop ki screen on nhi ho rhi kia krun ?

    ReplyDelete
  12. bht achi information hy laptop k bary me

    ReplyDelete