Blog Me Notification Bar Aur Subscribe Pop up Widget Kaise Add Kare

Blogger Aaj hum baat karenge get site control ke bare me. Is site se free me hum subscribe pop up widget, chat widget, notification bar, follow and share widget add kar sakate hai.


Apne Blog Ke Liye Widget



Maine jab internet pe search kiya ki mujhe apne blog ke liye ek notification bar ki jarurat thi jo humara jo hot post hai wo upar sticky notification dikhaye. Tab mujhe ek yesi behatarin site mili wahi mai aapke sath share kar raha hu.


Get Site Control Kya Hai?

Get site control ek behatarin site hai jispe aapko 7 types ke free widget milenge.
1. Survey:
Agar aap apne site pe survey shuru karana chahate hai, to aap yaha se survey ka widget add kar sakate hai. Aur apne hissab se question aur uske answer ko edit kar sakae hai. Widget ka apne hisaab se color, text bhi change kar sakate hai.


2. Contact:
Ye sabse behatarin widget hai apne visitor ko admin se contact karane ke liye.
Contact widget apne hisaab se kahi bhi laga sakate hai. Side ke right, left, bottom ya phir center me pop up ke sath. Apne hisaab se edit kar sakate hai.
Jab user aapse contact karega to aapke register email id pe aapko wo message dikhayi dega.
Aap demo dekh sakate hai.






3. Promo Bar/Notification Bar:
Ye ek behatarin widget hai apne visitor ko kisi post par attract karane ke liye. Agar aap kisi post ko apne blog pe upar sticky dikhana chahate hai jo ki blog pe aane wale har ek visitor ko her ek page pe dikhayi degi.
Isme aap pop up bhi add kar sakate hai.


4. Subscribe Widget:
Agar aap apne blog pe pop up subscribe widget add karana chahate hai to is site pe aapko wo mil jata hai. Yaha se widget add karane ka ek fayada ye hai ki agar hum third party ka widget add karate hai to apne site ki speed kum ho jati hai. But is site se widget add karane se apni site ki speed me koi farak nahi padega.




5. Follow:
Blog pe social follow widget add karana hai jaise facebook, youtube, google+, tumbler, twitter etc to yaha se add kar sakate hai. Aur is button ko apne hisaab se right, left, bottom, top kahi par bhi add kar sakate hai.

6. Share:
Same follow button jaise hi share button add kar sakate hai. Iski khasiyaat ye hai ki isme whats app share button bhi diya gaya hai. Bahut se blogger yahi search karate rahate hai ki whatsapp button blog me kaise add karate hai.




7. Chat:
Agar aap apne blog pe visitor ke liye live chat add karna chahate hai to is widget ki madad se add kar sakate hai. Aur agar aap offline bhi honge to baad me reply de sakate hai.
Ye to ho gaye widgets ab janate hai in widgets ko blog me kaise add karate hai. Blog me add karane ka kafi easy method hai.

Step 1:
Getsitecontrol Pe chale Jaye.

Step 2:
Sign up pe click karke account bana le. Account banate samay apni site ka URL jarur dale.




Step 3:
Get site pe login karane ke baad aapko ek code mil jata hai. Use copy kar le.

Code Copy Kare


Step 4:
Blogger.com pe chale jaye. Phir template ko edit html mode me open kare. Apni template ka pahale backup le le.
Template me Control+F Press kare Aur </body> find kare. Aur is code ko body ke upar paste karde.

Body Ke Upar Code Paste Kare


Step 5:
Phir get control ke account me chale jaye aapko jo widget chahiye wo widget create karle.

Widget Create kare


Step 6:
Phir widget ki setting kar le. Aur use save karde.

Setting Kare


Step 7:
Get control ke Dashboard se widget activate karde.
Is tarah aapko jitne widget chahiye unko create karane activate kar de. Aap inme se koi bhi widget ek sath activate kar sakate hai.

Agar aapko is post se related koi bhi dikkat aa rahi ho to niche comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

7 comments:

  1. bhut achi jankari share ki hai bro

    ReplyDelete
  2. Sir ye widget uc browser me nhi dikhata hai kyu maine get Site control se widget add kiye hai lekin sirf Crome browser me dikhata hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Hindiv,
      UC Browser iski script ko block kar deta hai. Isliye UC browser me nahi show hoga.

      Delete
  3. Sir मैं getsitecontrol के widget widget ko हटाना चाहता हु कैसे हटाए

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Mr Manish,
      Template ko Edit html karo aur waha CTRL+F key se code search karo aur usko remove kardo.

      Delete
  4. Ok, sir thanks अपना कीमती समय दे कर आपने कमेंट का जबाब दिया

    ReplyDelete