MS Excel Auto Fill, Average, Min, Max Basic Formulae


Dosto isse pahali post me humane Microsoft excel ki basic information li, ki excel kya hai, iska use kisliye kiya jata hai. Worksheet kya hoti hai. To aaj hum excel ke kuch basic formula ke bare me jankari lenge. Is post me aapko aapke jo question hai jaise excel ke formulae hindi me, excel auto fill, sum, average, product, min, max function in sabke answer yaha pe mil jayenge.

Excel Formulas Hindi Me

Excel Me Use Hone Wale Formulae?

Agar aapko cell address, cell range ke bare me nahi janate hai to phir pahale excel ke basic tutorial read kare jisse aapko excel ka basic samaj me aaye.
Ms excel bahut hi badiya software hai isme ek se badakar ek badiya features diye gaye hai unme se ek hai auto fill.




1. Auto Fill: Auto fill ek yesi facility hai excel kya karata hai ki agar humane pahale si koi formula use kiya hai aur hum use auto fill karate hai to hume wo formula dobara use karane ki jarurat nahi hoti.
Main kuch examples aapko dikhata hu jiske jariye auto fill kya hai aap easily understand kar sakate hai.
1. Man lijiye maine kisi month ka name type kiya hai kisi cell me mai cell ke corner pe click karake use niche khichata hu to uske niche jo month hai automatically fill up hote jayenge.


Auto Fill First Example


2. Agar ek cell me maine 2 type kiya uske niche 4 type kiya aur auto fill kiya to waha pe 2 ka series ban jayega.


Auto Fill Second Example



   



2. SUM (Addition) Formula:
Agar aapko kahi pe addition karani hai to aap sum formula use kar sakate hai.
Formula: =sum (cell address first number ka, cell address second number ka)
OR = sum (cell range)
Example 1:
Agar hume addition karani ha 2 number ki to
55
45
=sum (c1:c2)
Aur Enter kar dena hai aapko aapka answer mil jayega.


Sum Ka First Example


Example 2:
Agar aapko ek sath multiple cell ki addition karani hai to aapko wo cell range select karani padati hai.
Aapko niche image me jo example hai usse samaj aayega.


Sum Second Example



3. Multiplication:
Agar aap kisi cell ka multiplication karana chahate hai to aapko simple ek formula use karana hai.
Formula: =Product (number1, number 2, number 3)

Multiplication Formula Example


4. Maximum:
Agar aapko kisi number me sabse bada number find karana hai to aap maximum function ka use kar sakate hai.
Formula: =max(cell range)


Maximum Formula With Example






5. Minimum:
Agar humare pass bahut sare record hai aur unme se humako subse kum number wala record find karana hai yane minimum jiski kimat hai wo find karana hai to hum minimum function ka use karate hai.

Formula: =min(cell range)

6. Average:
Kisi bhi field ki agar hume average nikalana hai to phir average function ka use kar sakate hai. Average function ka use karke hum kisi bhi field ka percentage nikal sakate hai.
Formula: =average(cell range)


Average Formula With Example



7. Length:
Agar aap kisi ke name ki length count karana chahate hai to length function se kar sakate hai.
Formula: =len(cell address)




8. Upper:
Agar hum kisi name ki case change karana chahate hai, yane agar kisi name ko capital letter me convert karana hai to upper function use kare.
Formula: =Upper(cell address)

Ye to ho gaye kuch basic formulae waise to excel me aur bahut sare formulae hai jaise if, count etc.

Aapko ye post kaise lagi ye jarur bataye. Aur agar kahi par dikkat ho to comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

9 comments:

  1. bahut acche se samjhaya thnk u iske aage ke formule bhi samjhaiye please

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Manish,
      Thanks, jarur hum aage ke forumule batayenge.

      Delete
  2. @Sandip,
    Upar sum ka jo formula diya hai, usi prakar cell range select kare ho jayega.

    ReplyDelete
  3. sir ham division kaise nikale

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Ajay,
      Simple division ka sign yane / laga de, divison ho jayegi.

      Delete
  4. Interview me excel ka puche jane wala sawal

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Jald hi EXCEL Interview question in Hindi ye article publish kar denge.

      Delete
  5. Agar kisi work ki value same hai to konsa formula lagega

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Iske liye aap conditional formatting use kare.

      Delete