SEO Kya Hai ? Blogger Beginner Guide




SEO Kya Hai – What is SEO in Hindi? Agar aap blogging me naye hai to aapko seo kya hai ye pata nahi hoga to aaj hum yahi janenge ki Seo kya hota? Seo ki basic terms kya hai. Seo ke bare me har ek blogger ko pata hona jaruri hai. Kyon ki humare blog ke agar hume search engine me top rank pe lana hai to hume seo ki terms ko follow karana padata hai. Agar aap seo kya hai ye samaj jayenge to apni site ko easily search engine me la sakenge.

Seo Kya Hai Basic Terms

SEO Kya Hai?

SEO Ko Search Engine Optimization Kaha jata hai. Iska matlab hota hai ki apni site ko search engine ke result me lane ke liye hum jo techniques use karate hai unhe seo kaha jata hai. Seo yane humare blog ke liye search engine se natural traffic aani chahiye for e.g.
Agar aap google me search kare sbi me saving account kaise open karate hai.

Search engine Result

To aapko search engine me meri site ka result aapko first number pe dikhayi dega. Isse kahate hai SEO. Is tarah agar aap bhi chahate hai ki aapki bhi post search engine me top rank me aaye to aapko SEO Terms ko follow karana padata hai.

Google Ke First Page Pe Hi Result Kyon Aana Cahiye

Ab aap ye puchenge ki humari site ka result google ke first page par hi kyon lana hai. Kyon har user jo koi bhi result search karata hai. Jayada se jayada google ke 1st ya 2nd page pe click karata hai. To agar aapka result 5th ya 6th page par hai to waha pe user ke clicking ke chances bahut kum hote hai. Iske karan search engine se aapko jayada traffic nahi milati hai. Agar aapki site ka result first page par aayega to aapki site ki traffic bahut jayada badh jayegi.


SEO Ke Main 2 Types Hai:

1. On Page SEO:
ON page seo yane search engine me lane ke liye hum jo kuch blog post badalav karate hai unko on page seo techniques kaha jata hai.
On page seo me bahut si terms aati hai, jaise title optimization, image optimization, use of proper keyword, interlinking, permalink etc. In sab terms ko hume tik tarah se understand karana hota hai.

2. Off Page SEO:
Off page seo ek yesi technique hai jisse hum apne blog ki rank ko bada sakate hai. Isme hum apni site ke liye bahar se traffic late hai.
e.g Aapne kahi par comment ki aur comment ke sath apne blog ki link bhi chod di. Kisi user ne use blog link ko open kiya to aapko ek backlinks mil gayi. Isi ko off page seo kaha jata hai.
Isme bhi bahut si terms aati hai jaise backlinking, blog commenting, social media pe posting, other blog pe guest posting, etc.




SEO Se Related Terms:

1. Black Hat SEO:
Ye jo terms hai wo new blogger ko pata nahi hoti , jab bhi hum humare blog ki traffic badane ke liye kahi se traffic kharidate hai use black hat seo kaha jata hai.

2. White Hat SEO:
Blog ranking ke liye hum jo seo follow karate hai. Jo ki sabhi search engine ki policy aur terms ko follow karata hai use white hat seo kaha jata hai. Agar aap inke bare me details me janana chahate hai to niche ki post ko read kare.


3. No Follow:
Ye ek hyperlink ke liye attribute hota hai. Agar aap affiliate marketing karate hai, ya kisi poor quality site ki link apne blog me add karana chahate hai to use no follow karana hota hai ye seo ka rule hai.




4. Do Follow:
Do follow yane hum jis link ko ye attribute lagate hai, usko search engine follow kar sakata hai.


5. Backlinks:
Agar humare site ke liye kisi aur site se traffic aati hai to use backlinks kaha jata hai. Blog ki traffic increase karane ke liye backlinks bahut jaruri hoti hai. Backlinks me high quality backlinks aur low quality backlinks hoti hai .


6. Image Optimization:
Search engine optimization me image ko seo friendly banana sabase bada factor hota hai. Hume image ka size, quality in sabhi bato pe dyan dena hota hai.





7. Robots.txt:
Robots.txt files par search engine se ani wali traffic depend hoti hai. Agar hum robots.txt file ka sahi use nahi karenge to aapki site search engine me nahi aasakati. Isliye hume robots.txt file ka sahi use karana padata hai.


Iske alawa bhi seo me bahut si terms hoti hai, jaise bounce rate, keyword density, Meta tag, etc. lekin abhi aap upar di gayi terms ko sahi se understand kar le aur apne blog me inka use kare. Aapki blog ki traffic me 100% increase hoga.

Agar iske bare me koi sawal ho to aap mujhe puch sakate hai. 
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: