Computer के लिए Best Free Antivirus Software




PC Aur Laptop Ke Liye Free antivirus Software, विंडोज 7 के लिए बेस्ट एंटीवायरस. Hello, Dosto aaj mai aapko bataunga ki apne pc ya computer ke liye free me badiya antivirus software koun se hai aur ine hum kaha se download kar sakate hai.



Top Free Antivirus Software For PC


Aaj har kisi ke pass computer ya laptop hai. Aur laptop ya computer use karate samay hume kuch baato ka dyan dena padata hai, jaise computer me virus na chala aaye. Ya computer ki speed kum no ho jaye. Agar yesa hoga to aapki jo files, softwares, images hai wo corrupt ho sakati hai. Isliye hume apne computer ko virus, malwares se bachana hota hai, iskeliye use hota hai antivirus software ka. Par aaj internet 100 of antivirus hai jisme se kai free hai to kai paid hai, to inme se kaun se antivirus softwares acche hai, yahi aaj hum isi post me janenge.



Antivirus Install Na Ho To Kya Problem Ho Sakati Hai?

1. Pc me Virus aa sakata hai.
2. PC bahut slow ho jata hai, kayi files open nahi hoti hai.
3. Software tik tarah se kam nahi karate.
4. Important files, software’s corrupt ho sakate hai.
To ye problem apne pc me na ho isliye pahale hi hume ek accha sa antivirus software pc me install karana jaruri hai. Iskeliye aapke paise ya paid version lene ki koi jarurat nahi kyon ki aaj me jin software’s ke bare me batane ja raha hu wo free hai aur 100% virus remove karate hai.


1. AVG Free Antivirus:
Ye ek badiya antivirus hai, iska aapko paid aur free dono version mil jayenge. AVG PC ke liye Windows operating system, MAC Operating system and android ke liye available hai.
Facility:
Block Virus, spyware and malware
Link Protection: Isme aap Facebook, twitter par jab online honge to wo link bhi ye scan karata hai.
Windows 7, 8, 10 in operating system pe install kar sakate hai.





   



2. Avira Antivirus:
Ye software jayada logo ke liye pata nahi hai but ye bahut badiya software hai maine khud use kiya hai. Avira bhi ek badiya free antivirus software hai. Avira windows, mac, android aur ios in operating system ke liye available hai.
Ye ek award winning antivirus hai. Jo ki virus, malware aur Trojans ko remove karata hai.
Facility:
Free of cost hai.
Browser extention bhi install kar sakate hai.
Cloud Scanning bhi avaliable hai.

   



3. Forti Client Antivirus:
Forti client ek accha antivirus hai. Ye aap pc, computer ya apne tablets pe bhi use kar sakate hai. Ye bhi windows, mac, ios and android ke liye available hai.
Facility:
Real time antivirus
Web security

Simple to use






4. Avast Antivirus:
PC, MAC aur android ke liye avaliable hai. Avast antivirus bhi real time antivirus software hai.
Facility:
Virus remove karata hai.
Browser scan karata hai.
Password Security

Performance scan



5. 360 Total Internet Security:

Ye bhi ek badiya antivirus software hai jo offline as well as online protection provide karata hai. Real time protection deta hai.





6. Kaspersky Antivirus:

Kaspersky ek real time protection provide karata hai. Ye virus, malware aur spyware remove karata hai. Ye windows aur android platform ke liye available hai.



Ye to ho gayi free antivirus ki list. Inme se aapko jo bhi accha lage wo download kare. Lekin free antivirus software use karate samay ye baat dyan me rakhe in software ko kum se kum weekly ya monthly update karate rahe.

Aur apne pc ko daily scan kare taki aapka pc virus free rahe.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: