Android Mobile Me Operating System, RAM, Processor Kya Hota Hai


Android Mobile me Ram, Processor Kya hota hai. What is mobile processor in hindi? Agar aap bhi new android buy karana chahate hai to basic terms ko jarur read kare. Operating system, RAM, aur processor kya hota hai. Ye sub aapko is post me read karane ko milenge. Android OS ek accha seminar topic bhi hai.

Android Me Operating System RAM, Processor Kya Hota Hai

Aaj har kisi ke pass android mobile hai. Par inme se kayi logo ko android mobile ke bare me puri Jankari nahi hai. Aaj hum android mobile ki basic information ke bare me janate hai.


Android Operating System Kya Hai?

Android ek operating system hai, jo September 2008 me Google ne launch kiya tha. Mobile kisi bhi company ka ho lekin usme opening system android hi hoti hai. Aaj duniya bhar me lakho log android operating system ka use kar rahe hai. Kyon ki isme sabse badiya feature hai aur isse har koi easily use kar sakata hai. Android me har wo kam kar sakate hai jo hum apne computer ya laptop me karate hai. Aaj paly store par lakho android application available hai.

Operating System versions Kya Hai?
Google apni operating system me kafi update karata rahata hai. Aur kuch naye updates apne user ke liye leke aata hai. To mobile khridate samay latest operating system hi choose kare.

Android Operating System Versions:
OS Name
Version
Release Date
Cupcake
1.5
April 27, 2009
Donut
1.6
September 15, 2009
Éclair
2.0 – 2.1
October 26, 2009
Froyo
2.2 – 2.2.3
May 20, 2010
Gingerbread
2.3 – 2.3.7
December 6, 2010
Honeycomb
3.0 – 3.2.6
February 22, 2011
Ice Cream Sandwich
4.0 – 4.0.4
October 18, 2011
Jelly Bean
4.1 – 4.3.1
July 9, 2012
Kit Kat
4.4 – 4.4.4
October 31, 2013
Lollipop
5.0 – 5.1.1
November 12, 2014
Marshmallow
6.0 – 6.0.1
October 5, 2015

Google Play Store:

Google play store ko android market bhi kaha jata hai. Ye bhi google ki hi ek service hai, google play store ka application aapke mobile me already install hota hai. Jiski madad se hum koi bhi application download kar ke install kar sakate hai. Iske liye aapko sirf ek Gmail id ki jarurat hoti hai. Play store par jo application hai wo bilkul free of cost hai. Play store pe music, video, information purpose, web designing etc. ke is tarah ke application available hai.



RAM Kya Hai?
RAM ka matlab hai random access memory. Jis tarah computer me RAM ka use hota hai usi tarah android me bhi RAM work karati hai. Aapke jo bhi application hai wo jab running hote hai wo RAM me hote hai. Isliye aapke mobile ki RAM jitani jayada hogi utana hi fast aapka mobile work karega. RAM jayada hone se mobile hanging ka problem bhi nahi aata hai.


Processor Kya Hota Hai?

Jis tarah computer me microprocessor hota hai usi tarah android me bhi processor hota hai, jiski madad se android apne application execute karata hai. Android ke liye Quad core, octa core, Intel, exynos etc processor available hai aur iski speed bhi alag alag hoti hai.

Camera:
Android mobile me aaj kafi badiya camera facility di gayi hai. Aap iski madad se high quality ke picture nikal sakate hai. Isme flash light bhi hoti hai. Android me front and back is prakar ke 2 camera avaliable hai. Camera resolution pixel me hota hai. ye 2 MP se lekar 16 MP se bhi jayada ho sakata hai.

Battery:
Battery choice karate samay bhi dyan de. Battery 2000 mAh se lekar 400 mAh tak mil jati hai.

Sim Card Size and Facility:
Mobile me kitane sim card support karate hai. Aur sim ki size kya hai mini, micro, etc dekhana padata hai.



Network Type:
Aapka mobile kis network ko support karate hai ye bhi aapko mobile karidate samay dyan me rakhe. Network type me 3G, 4G supported mobile market me available hai.
Ab aapko android mobile ki basic Jankari samaj me aa gayi hogi. Aur aap new mobile kharidate samay kon si operating system, RAM, processor lena hai ye baat bhi aapke samaj me aagaya hoga.

Agar aapko iske related koi sawal hai to comment me jarur puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Mobile m battery kitne type ki hoti h our kon kinsi

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Amreen,

      Mobile battery aur uske types ke bare me jald hi ek article likhenge.

      Delete