Blog Ke Liye About Us & Privacy Page Kaise Banaye

Blog ke liye privacy policy, aur about us page kaise banaya jata hai. Isme konsi jankari hoti hai, aur isse blog me kaise add kiya jata hai iske bare me aapko jankari milegi.

About Us, Privacy Policy Page Blog Ke Liye

Aap kisi bhi site par jakar dekhe ki us site pe aapko ye pages jarur dekhane ko milate hai about us, privacy policy, contact us. To ye page kisliye hote hai ye aapko pahale samajana hoga.
In pages ko add karane se aapki site professional lagati hai. Google adsense agar aapko approve karana hai to in page ko add karana compulsory hai.
Isse aapko blog ke jo reader hai unko aapke bare me jankari milati hai aur wo aapse contact bhi kar sakate hai.



About Us Me Kya Jankari Likhani Hai:

About us page yane jo site banata hai uski jankari hoti hai. Jaise meri is site par maine apne bare me about us page me bataya hai. Yaha pe aap apne bare me puri details ke sath bata sakate hai. Apni site ke bare me aur apne experience ke bare me bhi bata sakate hai.

About Us me kya kya hona chahiye.
Author/Admin: Ek badiy se khud ki image add kare. Khud ke bare me likhe jaise aap kaha ke rahene wale hai. Aapki educational details etc.
Site Ke Bare Me: Apni site ka introduction de, aapne site kis maksad se banayi , site pe kis tarah ki information share karate hai. Readers aapki site ko kyon visit kare iska strong point bhi aap bataye.
Services: Agar aapki site pe aap koi services provide karate hai to wo yaha pe bataye.



Experience:  Agar aapke pass blogging, educational, ye phir aur koi experience hai to wo bhi yaha pe add kare.
Social Links:  Apne site ki social links jaise facebook, twitter etc add kare.

Privacy Policy Page Me Kya Jankari Likhe:

Privacy policy ko hindi me Gopniyata kaha jata hai. Isme aapko ye likhana hota hai ki aap user ke data ki privacy ko kis prakar se maintain karate ho. Isme aako ye batana hota hai ki aapki site pe aap kya information share karate hai. Agar aap reader ke data use karate hai to wo aap kisi ke sath share karate hai ya nahi. E.g. Jab koi subscribe karata hai to aap usko site se related hi jankari share kare na ki koi aur.
Aap readers ko konsi information track karate hai (IP Address), konsi information save karate hai. Visitor ko kis parkar ke ads apni sites pe show karate ho.
Agar aapko adsense ka approval chahiye to ye page add karana compulsory hai kyon ki Google adsense aapki site check karata hai aur tabhi aapko approval deta hai.
Aap privacy Policy page online bhi bana sakate hai. serpRank is link pe jake aap online privacy page banke site me add kar sakate hai.



Agar aapko online nahi banana hai to aap khud bhi privacy policy page bana sakte hai.

Privacy Policy Page Me Kya Likhe:
1. Cookies: Cookies ek small program hota hai jo reader ki information ko save karata hai. Kya aap apni site me cookies use karate hai ya nahi.
2. Personal information: Kya aap user ki personal information ka use karate hai ya nahi.
3. Log File: Log file me reader ka ip address, browser koun sa use kar rahe hai. Aapne kis ads, links pe click kiya hai ye information hoti hai to kya aaa apni site pe log files ka use karate hai ya nahi.
To is tarah hum About Us, Privacy page bana sakte hai. Ab janate hai ki isse blog me kaise add karana hai.


Blog Me About Us, Privacy Policy Page Kaise Add Kare:

Step 1:
Blog dashboard me chale jaye. Niche Pages pe click kare aur create new page pe click karde.

New Page


Step 2:
Ab page ko name de about us aur page me kuch bhi na likhate hue publish kar de.
Publish Page


Yesa kyon karana hai agar aapne page me niche khud likha to wahi page ka address ban jata hai.
e.g. www.yoursite.com/p/page_12.html
Is prakar ka page address accha nahi lagata isliye first page ko name add kare aur usme kuch bhi na likhate hue publish karde.

Step 3:
Publish kiye use page ko edit kare. Aur ab isme apni janakari dale aur isse update kar de.
Ab page ka address khuc is tarah dikhayi dega.
e.g. www.yoursite.com/p/about-us.html


Isi parkar aapko privacy policy page ko bhi step follow karani hai. In page ko banana ke bad aapko aur ek kam karana hai to aapka menu hai usme in pages ki link add karani hai. Jisse visitor aapko in pages tak pahuch sake. In pages ko add kitana jaruri hota hai ye aaki samaj me tab aayega jab aap google adsense ke liye aaply karate hai. Ye pages agar aapki sites me add nahi kiye hai to Google AdSense aapki site ko disapprove kar dega.


Agar aapko upar di gayi kisi bhi step me kuch samaj nahi aa raha hai to aap hume niche comment ke through bata sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. privacy Policy page onlain banane ke
    liy kay jankari dena padti hai kay kuch pise dena padte hai?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Sandip,

      Privacy Policy page online banane ke liye koi charge nahi lagega ye bilkul free hai. Maine upar bataya hai us site se banava lo.

      Delete