Cheap Domain & Hosting Registration Sites

Sabse cheap, sasti hosting, hosting kaha se kharide.Yaha tak $1 Per month me hosting milegi. Jab bhi hum website banate hai tab uske bad baat aati hai, domain aur hosting hum soch me pad jate hai ki cheap (saste) me domain aur hosting kaha se mil sakati hai.

Cheap Domain Hosting Registar

Website banane ke baad sabse first kam hota hai top level domain register karana. Internet par aaj bahut si site hai jaha se hum domain aur hosting kafi kum paiso me karide sakate hai. Sabse pahale jo newbies hai jo ki bilkul unknown hai domain aur hosting se unke liye domain aur hosting kya hai ye hum janate hai.


Domain Kya Hota Hai?
Domain name yane humare site ka address hota hai. Internet se humari site open karane ke liye ek unique address hota hai usme domain name aur top level domain code hota hai. Isliye hume site ke liye domain purchase karana padata hai.
Example:
Yoursite.com, yoursite.in, yoursite.org etc.

Hosting Kya Hoti Hai?
Ab hum ye janate hai ki hosting kya hoti hai. Agar aapki site wordpress par banana chahate hai to aapko domain ke sath hosting ki bhi jarurat padati hai.
Internet par humari site ke post, images, ko save, display karane ke liye jo space lagata hai, usko hosting kaha jata hai.
Ek server hota hai jiska kuch hissa hum apni site ke liye rent (bhade) pe lete hai, usko hosting kaha jata hai. Uske liye alag alag plan hote hai monthly, yearly etc.
Hosting plan space aur speed ispar depend hota hai.

Cheap Domain Kaha Se Le:

Maine kuch site ki list di hai jaha se aapko kafi saste me domain aur hosting mil jati hai.

Site ke name se hi pata chal jata hai ki yaha se domain bahut hi saste damo me mil jata hai. Yaha pe aapko sabhi top level domain jaise .com, .net, .org, .us, .info, .co etc mil jata hai.
.com domain aapko
1 year – Rs. 719
2 Year – Rs. 713
3 Year - Rs. 706
Mil jata hai. Aur .us domain sirf Rs.60 me mil jayega.



Yaha pe bahut acchi offer chal rahi hai yaha pe aapko .com aur .in domain sirf $0.99 (RS.65) / First Year ke liye mil raha hai. Isse sasta aapko kahi nahi mil sakata.
Other Domain aapko
.me -$9.99 /year
.info -$0.99 /year
.org-$2.99 /year
.us- $10.99 /year

Godaddy ek award winning website hai. Iski advertisement bhi hum daily T.V. per bhi dekate hai. Is site par aapko 24*7 support milata hai. Godaddy par bahut acchi offers hoti hai jisme aaj aapko Rs.125 me .com domain mil raha hai. To wahi best coupons offers bhi hoti hai jiski help se hum Rs.99 me .com domain le sakate hai

Big rock bhi ek acchi site hai jaha se hum cheap damo me domain purchase kar sakate hai. Special offers me hum .com domain Rs.99/ year ke liye register kar sakate hai.
Ye to ho gayi domain name register karane ke liye cheapest sites.

Hosting Kaha Se Le:

Webhosting lene ke liye subse acchi to sites hai wo hai godaddy aur hostgator to chaliye inke plan ke bare me janate hai. Hosting lete samay hume disk space, bandwidth, up time in sub ke bare me sochana padata hai.

Mai yaha pe wordpress hosting ke bare me baat kar raha hu.
Basic Plan – Rs.99/Month
Isme aapko 1 website, 10 GB space, 25000 monthly visitor mil jate hai.
Deluxe Plan – Rs.309/Month
1 website, 15 GB space, 100000 monthly visitor, SEO Plugin
Ultimate Plan – Rs.549/Month
2 website, 30 GB space, 400000 monthly visitor, SEO Plugin, Malware scan removal
Developer Plan – Rs.959/Month
5 website, 50 GB space, 800000 monthly visitor, SEO Plugin, Malware scan removal

Godaddy Hosting Plan
2. Hostlelo.In
India ki sabse cheap aur best hosting site hai jaha par hume per month ko sirf $0.5/per month me hosting mil jati hai. Plan aap niche dekh skate hai. 
Best hosting hai,kyon ki maine personally ye use ki hai. Agar aap newbie hai to ye best choice hai.
hostlelo plan



Is site pe aapko three plans milate hai humare site ke visitor ke anusar hum hosting ka plan select kar sakate hai.
Hatcling Plan - $5.56/Month
Single domain, 1 click installation, Shared SSL Certificate
Baby Plan - $7.96/Month (Recommend)
Unlimited domain, 1 click installation, Shared SSL Certificate
Business Plan - $11.96/Month
Unlimited domain, 1 click installation, Premium Support, Private SSL & IP

Hostgator Hosting Plan



To in 2 site me se aap kahi se bhi hosting le sakate hai waise to internet par bahut sari websites available hai lekin ye jo do sites hai wo kafi popular, customer ko support provide karane wali sites hai.
Is post me humane jana ki hum kaise cheaply domain aur hosting purchase kar sakate hai. Aapko ye post kaisi lagi comment me jarur bataye. Aur kahi koi problem ho to wo bhi jarur bataye.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Sir Maine bhi ek blog banaya hai lekin mere blog par traffic nahi ata kya karu ? (mai bhi aurangabad, maharashtra se hu)

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Hindi techno guide,
      Aap facebook page par message kare.

      Delete