Ghar Baithe Internet Se Paise Kaise Kamaye

Aaj har kisi ko internet se paise kamane hai. Aaj internet pe sabse jayada log yahi search karate hai ki internet se paise kaise Kamaye, ghar baithe bina kisi investment ke internet se paise kaise Kamaye jate hai. To aaj is post me hum yahi janenge.

Ghar Baithkar Internet se Paise Kaise Kamaye

New user ke man me yahi sawal aata hai ki internet se such me paise Kamaye ja sakate hai kya? Ghar baithkar kya hum paise kama sakate hai to iska answer hai haa. Aaj kayi log yese hai jo ghar baithkar internet se acchi kamayi kar lete hai. Maine khud ne internet se online earning ki hai wo bhi bina kisi investment ke.
Internet se koi bhi paise kama sakate hai sirf aapko basic internet ki janakari honi chahiye. To chaliye janate hai ki koun se way hai jinse hum paise kama sakate hai.



Online earing ke liye hum advertisement surf kar ke, survey complete karke, paise kama sakate hai lekin inme se kayi company fraud hoti hai, sabhi company fraud nahi hoti tab hume website choice karate waqt site thodi khabardari leni padati hai.

Fraud Ya Scam Site Kya Hoti Hai?

Ye kuch yesi sites hoti hai jo aapse kam to karawa leti hai but aapke paise nahi deti. Kuch yesi site hoti hai jo aapse investment karawa leti hai par aapko badale me kuch nahi deti. Aaj internet par yesi kafi fraud company aur website maujud hai to fraud site, company kaise find kare.

1. Agar aapko registration ke liye kuch paise manage e.g Rs.2000 iska matalab wo company, site fraud hai, kyon ki agar us company ko such me worker ki need hai to wo registration fees kyon managati hai.

Main aapko ek example deta hai mere ek dost ne data entry project ke liye Rs.5000 invest kiye the usse kaha gaya ki 1 page (A4 Size) Type karane par usko Rs.50 par page milega.
Par unki condition kya thi ki agar us page me kahi par bhi spelling mistake ho jaye to uske payment me katauti hogi. Aur us page ko diye kaye time me hi submit karana tha. Jab us friend ne page type Karke Company no bhej diye to usse uno ne itni galatiya nikali ki puchiye mat.
To is aap bhi kahi par paise na invest kare.




2. Internet se paise kamane ka koi short cut nahi hai. Isliye jo site jayada payment ka lalach deti hai wo actual fraud hoti hai.
3. Site ka first review le. Internet par site ke bare me acche bure sabhi review aapko dekhane ko milenge. Site ka domain age check kare.
4. Agar site par contact, support ke liye link nahi di gayi to wo site fraud hai.
Par internet par yese bhi kuch programs hai jinse hum such me paise kama sakate hai aur wo bhi bina kisi investment ke.

Bina Kisi Investment Se Paise Kaise Kamaye

1. Online Blogging
Ye sabse badiya aur secure tarika hai ghar baithe internet se paise kamane ka. Aap blogger ki help se free me blog bana sakate hai aur phir google adsense ko apply karke easily money kama sakate hai. Aaj India me yesi kayi log hai jo blogging se acchi kamayi kar rahe hai. Aapko jis topic me interest hai uska blog banakar paise kama sakate hai.





2. Survey Site Se
Ye bhi ek badiya way hai earning karane ke liye mai khud bhi is tarah ki site par kam karata hu. Aaj internet par kayi yesi site hai to logo ka kisi product, site ke bare me review lete aur uske badale me user ko paise pay karati hai.
Par internet par kuch behatarin site find karana bahut hi mushkil hai. Par mai aapko kuch site ke bare me batana chahata hu.
Ipanel: ye ek badiya site hai aur ispar aap survey complete karke paise earn kar sakate hai.
Aur bhi kuch site internet par maujud hai jaise opinion world, toluna etc.





3. YouTube Se:
Agar aapko kisi topic par tutorial banana accha lagata hai to phir iske jariye aap acchi income kar sakate hai. Aapko jis topic me interest hai uska video tutorial banakar usse YouTube par upload karde. YouTube videos ko aap monetize karke aap acchi kamayi kar sakate hai.
Iske liye aapko jayada kuch karane ki jarurat nahi hai internet se koi bhi screen recoding software apne computer me install karke aap tutorial bana sakate hai.



4. Affiliate Job:
Affiliate program yane hume kisi popular site ka product bechane ke liye us product ko promote karana padata hai.
e.g. Flipkart, Amazon, SnapDeal ye kuch reputed site hai.
Aapko sirf kya karana hai in site me affiliate link me sign up karana hai aapko ye site aapki affiliate link de deti hai. Ye site aapko 4%-10% commission deti hai.
India me aaj online shopping me bahut increase ho raha hai, ye ek accha mauka hai paise kamane ke liye. aapko in site me sign up karana hai. Phir aapko apni affiliate link mil jayegi use link ko aap facebook, whatsapp ya apne blog pe dal de. Jab bhi koi us link se product karid lega to aapko uska commission milega.




To is post me humane jana ki kaise hum survey sites, ya blog se money earn kar sakate hai. To is tarah Ghar baithakar bina kisi investment se paise kamana bahut hi aasan hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: