C Compiler: Compile Run C Program On Windows 7, 8 32 Bit And 64 Bit

C Language in Hindi. Aap C programming to sikhana chahate to aapko c program compile, run karane ke liye Turbo C software ki jarurat padati hai. Windows 7, 8 in operating system ke liye Turbo C software hai jiski madad se aap program run kar sakate hai.

Compile Run C Program On Windows 7

Mai is post me aapko bataunga ki kaise hum kisi bhi operating system me chahe wo windows 7, 8 inme 32 bit ya phir 64 bit hai to bhi koi problem nahi hoga. Pahale kya hota tha windows 7,8 me C program ko run karane me bahut problem aati thi par ab uske liye Turbo C software available hai ji windows 7,8 ke bikul fit hota hai.


Turbo C Download Aur Install Kaise Kare:

Step 1:
Aapko software download karane ke liye niche di gayi link pe jana hai aur software download karana hai.
Software: Setup_TurboC_7_v2.1.rar (Download Link)
Size: 4 MB




Step 2:
Software download karane ke bad software ko extract kare. Extract karane ke bad jo .exe file hai uspe double click kare. Aur software install karle.



Step 3:
Ab software install ho gaya hai ab start menu me se turbo c ko start karle.

First Program Kaise Run Kare:

Ab aapko C programming me first program likhana hai aaj hum sirf chota sa program dekhenge.
Step 1:
Turbo C software open kare. Phir menu me se file me click kare aur new file select kare.


New File


Step 2:
Ab program wirte kare maine niche jo program diya usse simple copy karle.




Step 3:
Ab program ko compile kare compile karane ke liye menu me se compile option pe click kare. Agar koi error aa raha hai to usse solve kare.


Compile Program


Step 4:
Menu me se run pe click kare. Aapko program ka output dikhayi dega.


Run Program


Program Ko Understand Karate Hai:

/*program for the print hello world*/                       
#include<stdio.h>
#include<conio.h>
Void main ()
{
printf(“/n Hello World”);
getch ();
}

Starting me jo humane /* */
iske bich me program ka jo name likha hai wo comment section hai isme hum kuch bhi likhe compiler isko ignore kar deta hai. Ye sirf humare understanding ke liye hota hai.




Uske bad #include stdio.h, aur # include conio.h
ye jo code hai isko file inclusion kaha jata hai ye files isliye jaruri hoti kyon hi hum program me printf, scanf function use karate hai uskeliye ye files compulsory hoti hai.

Void Main ()
Ye ek main function hai program me ek to main function hona jaruri hai.
Agar aap program me int main (), int main (void) use karate hai to aapko function ko zero value return karani padati hai aur uske liye hum return 0 use karate hai.
Jab hum Void Main () use karate hai tab hume getch () function ka use karana padata hai.

Printf:
Ye ek output function hai aap jo bhi is function me likhoge wo aapko program run karane ke bad display hota hai.
“/n”:
Iska use code ka output ko new line me display karane ke liye kiya jata hai.


Turbo C software ki help se aap koi bhi program run kar sakate hai. Agar aapko software install karane me koi problem aa rahi hai to comment me jarur bataye taki mai us problem ko solve kar saku.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: