Blog Me HTML/ Java Script Widget Kaise Add Kare

Blog banane ke bad bahut sari settings aur hume karani hoti hai jaise new template upload karana, phir usko apne hisaab se setting karana ye sab.

Add Html Java Script Widget to Blogger

Lekin jo new blogger hote hai unko jyadatar coding ke bare me pata nahi hota hai, lekin blogger ek yesa platform hai jo har koi is banakar operate kar sake. Agar aapko coding nahi bhi aati hai tab bhi aap blog bana sakate hai.


To blog me Html /java script widget ka bhi bahut importance hai, kyon ki hum isme already created code paste karana hota hai. Jiski help se hum blog design kar sakate hai.

Html/ Java Script Widget Kya Hota Hai?

Html ye is language hai jo webpage design karane ki liye use hoti hai. To wahi java script ki help se hum coding, calculation ye sab webpage me add kar sakate hai.
Html/ Java script isliye hota hai ki hum isme koi bhi code add kar sakate hai. Jiska use hume blog me hota hai. Iske liye hume koi coding karane ki jarurat nahi hoti hai.

HTML/ Java Script Widget Me Kya-Kya Add Kar Sakate Hai?

1. Iska main use hota hai adsense ke ads lagane ke liye. Agar aap google adsense use karate hai to us code ko hume sirf isme paste karana hota hai.

2. Aap kisi bhi site ki ads apne blog pe lagana chahate hai uska code hume html/java script widget me add karana padata hai.




4. Agar aap apne blog pe kisi affiliated marketing ke link, add karana chahte hai to hum isme add kar sakate hai.


6. Subscribe by widget add kar sakate hai.
To chaliye ab janate hai ki ise blog me kaise add kiya jata hai.

Add HTML/ Java Script Widget To Blog:

Step 1:
Blogger dashboard me chale jaye. Phir niche Layout pe click kare.

Step 2:
Ab layout me right side me Add Gadget pe click kare.

Step 3:
Ek popup window open hogi ab HTML/ Java Script Pe click kare.

Add Html Java script

Step 4:
Hume ab iski setting karani hai.
Title: Aapko jo bhi title dalana hai aap yaha dale. Agar aap koi title nahi bhi dena chahate to usko blank rahane de.
Content: Yaha pe aapka jo bhi code hai wo paste karana hai.

configure kare

Example ke taur pe dekhe.
Title: Join Now
Content:
<center>
<!-- Begin BidVertiser code -->
<SCRIPT SRC="http://bdv.bidvertiser.com/BidVertiser.dbm?pid=722373%26bid=1791848" TYPE="text/javascript"></SCRIPT>
<!-- End BidVertiser code -->
</center>
Save pe click kare.

Step 5:
Blog ki setting ko save karde.

Ab aapne html/java script code add kar diya hai. Apne blog ko open karake dekhe ki aapne jo code kiya hai wo live blog pe show ho raha hai ya nahi.
To is tarah hum is widget me email subscription, Facebook like box, ads, alexa rank ye sab kuch add kar sakate hai.

Aasha hai ki ab aapko html/java script widget ke bare me puri janakari mil gayi hogi.

Phir bhi koi dikkat ho to aap hume comment puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: