SBI Me ATM Debit Card Ke Liye Online Kaise Apply Kare


SBI ne net banking ke suvidha start karake humari sabhi mushkilo ko kafi aasan kar diya hai.

SBI ATM card ke liye Online Kaise Apply Kare

Ab na to hume bank ke chakkar lagane ke jurarat hai, aur na to ghanto tak line me wait karane ka tension. SBI internet banking ki help se hum money transfer, fixed deposited, online payment kar sakate hai. sath me hi agar humar ATM kho jane par chorit hone par within 4-5 minutes ke under hum usko block kar sakate hai.

Also Read: ATM Card Kho Jane Par Block Kaise Kare

Bank me Cash deposite karane ke liye ab ghanto tak wait nahi karna padega kyon ki SBI ne CDM (Cash deposit Machine) suvidha shuru ki hai, jisse hum cash deposit kar skate hai.




SBI internet banking ki help se hum ATM Debit card ke liye bhi apply kar sakate hai, jiske bare me hum aaj janane ja rahe hai.
Waise to jab hum online saving account ke liye aaply kar rahe hote hai tabi hum ATM ke liye bhi apply kar sakate hai.

Magar kisi wajah se aapka pass ATM card nahi hai ya phir kho gaya hai to ab aapko naya ATM card ke liye bank me jane ki jarurat nahi hai.
Agar aap ATM Debit card ke liye online apply karana chahte hai to aapke pass SBI Internet Banking (INB) shuru (enable) honi jaruri hai. Agar aapke pass Internet banking nahi hai to aap wo bhi online start kar sakate hai.

SBI ATM/ Debit Card Ke Liye Online Kaise Apply Kare?

Step 1:
Online sbi ki site ko visit kare aur apne login id se internet banking ke liye log in kar le.

Step 2:
Ab aapke apne account me E-services option par click karana hai to upar ki side ko hai.
Left side me ATM Card Services pe click kare.
Ab Request ATM / Debit Card par click kar de.

e-services pe click kae

Step 3:
Next step me aapko validation ke liye OTP pucha jayega. Usme 2 option honge ek to Mobile par OTP ke jariye ya phir aapke profile password ke jariye.
Aapko jo easy lage usko select kare. Aur OTP dalkar validate kare.

OTP dale

Step 4:
Next hume apne account se related information select karani hai.
Account No./ Nice Name : Me aapka jo account no hai wo select kare.
Name On the Card : Ab ATM/ Debit card par aapko jo name chahiye wo yaha dale
Select the type of Card : Aapko koun sa card chahiye uski type select kare.
Terms & condition ko accept kare aur submit pe cliclk kare.

Details dale


Step 5:
Ab aapne ATM card ki liye online apply kar diya hai, Ab card aapko 20-25 din ke under aapke address par mil jayega jo ki post se aapko bheja jayega.
Step 6:
Jab aapka card aapko receive ho jaye tab aapko usko activate karana padata hai. Isliye liye hume bank me jane ke koi jarurat nahi hai hum card online activate kar sakate hai.

Step 7:
Phir se Internet banking ke account me login kare. E-services par click kare.
ATM card services par click kare. Ab right side me Active New Card par click kare.

card activation

Step 8:
Next window me account number select kare.
Enter ATM Card Number: Ispar aapne ATM Card ka 16 digit number dale.
Re-enter ATM card Number: Isme doabar wahi card number dale.
Ab Activate par click kare.

Card number dale

Online ATM Debit Card Se Related Kuch FAQ’s:


1. New ATM Card KE liye Kab Apply Kar Sakate Hai?
-> Following reasons hai jinki wajah se hume card ke liye apply kar sakate hai.
Agar aap pahale Ke ATM card Damage, Kharab ho gaya hai to aap usse pahale block kare aur phir new card ke liye apply kare.
Agar aapka card kahi kho gaya hai, ya chori hua hai.

2. Ek sath 2 card ko apply kar sakate hai ya nahi?
-> nahi kar sakate.

3. Mujhe card kitane din me mil jayega.
-> Wo aapke location par depend hai lekin card aapko 1 month ke under hi mil jayega. 

4."invalid acct type int cat or currency " Error aa raha hai, solution kya hai ?
-> Account type और card type गलत हो रहा है, या mismatch हो रहा है |अगर आपका जनरल यांने सेविंग अकाउंट है तो आप global debit card के लिए अप्लाई नहीं कर सकते | इसके लिए आपको दूसरा कार्ड सलेक्ट कर के देखना होगा |


Agar iske alawa bhi aapke man me koi sawal hai to aap comment me humse puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

17 comments:

  1. umesh bhai sbse accha private bank account kon h jo paypal ko support karta ho aur kya y banka account open karwane k liye y zero balance se khulwa sakte or inisial kuch rupees lagta hain aur y online open ho sakta h kya h

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Nicky ji Paypal Sirf International bank ko support karata hai. Mere hisab se to SBI ek acchi bank hai, jo acchi services provide karati hai.

      Delete
  2. Sr central bank of India me kaise apply kr skte hai
    Please Sr btaiye....

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Pavan Mishra,

      Aapke pass central bank ki internet banking service activate hai to phir usse aap apply kar sakate hai.

      Delete
  3. Sir me debit card ke liye apply kar raha hu to sir usme no accounts mapped please try again likh raha hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Vivek,
      Aap upar di gayi step thik se follow kare. Apply ho jayega. Agar phir bhi error aa raha hai, to aap SBI customer care se bat karlo.

      Delete
  4. I can't apply online sbi debit card. me pura step follow Kia Hu antim me dikha raha ha
    "invalid acct type int cat or currency"

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Sourav,
      Agar upar di gayi step follow karane par error aaraha hai to aap sbi customer care se baat karlo.

      Delete
    2. 'invalid acct type int cat or currency' muje vi error ahh rahh hai

      Delete
    3. @ Account type और card type गलत हो रहा है, या mismatch हो रहा है |अगर आपका जनरल यांने सेविंग अकाउंट है तो आप global debit card के लिए अप्लाई नहीं कर सकते |
      इसके लिए आपको दूसरा कार्ड सलेक्ट कर के देखना होगा |

      Delete
  5. Invalid acct type int cat or currency

    ReplyDelete
    Replies
    1. @aapka account type aur debit card galat select ho raha hai, debit card dusara select kariye.

      Delete
  6. invalid acct int aisa kuch aa raha hi.
    sabhi card try kar liye lekin request submitt nhi ho rahi hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Rajmal,
      Pahale PAN Card link kijiye uske bad try kariye, agar na ho to bank me jakar apply kariye.

      Delete
  7. i tried for all atm card. it shows invalid ACCT type INT CAT or currency...

    ReplyDelete
  8. Happy ho hi nhi raha hai ak ATM pahle se tha 2 saal ho gay Mila hi nhi or ab usko block bhi Kar Diya to new janret nhi ho rha

    ReplyDelete