Software Kaise Banaye-सॉफ्टवेअर कैसे बनाए


Computer Software Kaise Banaye, Software kaise banate hai ? Software kaise banaye ? Software banane ka tarika hindi me yaha par aapko read karane ko milega. Jab hum computer ka use karate hum tab hume bahut sare software ki jarurat padati hai, tabhi humare dimag me dher sare sawal aate hi, ki aakhir software kaise banata hai, game banane ka tarika kya hai, how to make software, application kaise banaye. Yese kayi aur bhi sawal hai, to in sawalo ke jawab aaj apako is post me mil jayenge.
Software Banane Ka Tarika

Software kaise banata hai, iski Jankari jyada tar BCA, MCA, Computer Science karane wale technical logo ko hoti hai.
Software kaise banaye jata hai, aaj hum iske bare me pure details se janenge.

Software Kaise Banate Hai:

Software Kya Hota Hai?
Sabse pahale hume ye janana hoga ki aakhir software kya hota hai.
“Software is nothing but collection of programs and lines of codes, which is used to perform a specific task.”
Software yane coding hoti hai, jisme 100-100000 lines tak ka code ho sakta hai, wo software par depend karata hai. Software kisi khas maksad yak am ko pura karane ke liye banaya jata hai.
Software alag alag platform ke liye hota hai, yane android mobile ke liye alag, windows, MAC, IOS, UNIX ke liye alag.

Software Banane Ke liye Most Important Chiz:

Agar aap software banana chahte hai, to uske liye aapko koi na koi programming language sikhani hogi. Jaise C, C++, VB.NET, ASP.NET, JAVA, etc.
Mai aapko short me programming language ke bare me bata deta hu. Lekin agar aapko software banana hai to aapko in language ko deeply me sikhane hoga.

C Language:
C language ye ek procedure oriented programming language hai, jiska prayog windows, UNIX, Linux jaise operating system banane ke liye kiya jata hai.
C language ke bare me aur janakari ke liye humara C language ka hindi tutorial yaha se read kare.

C++ :
C++ ye ek object oriented programming language hai. Jisse hum kayi tarah ki programs, computer games, operating system bana sakate hai.

JAVA:
Java bhi ek object oriented programming language hai, jiski help se hum bahut sare program create kar skate hai, khas taur par java ka prayog game banane ke liye hota hai.

VB.NET:
Agar aap koi bhi computer ka software banane ke bare me soch rahe hai to aapko VB.net sikhana padega. Ye ek yesa platform hai jaha se hum windows ke liye software bana sakate hai.
Isse sikhane ke liye aapko visual studio name ka software install karana hota hai, jo ki Microsoft ka hi hai.

Web Designing/ Development:
Agar aapko web designing me interest hai to aapko PHP, HTML, CSS, Java Script, ye languages sikhani hogi.


Software Banane Se Humara Kya Fayada Hoga:

Ab aap soch rahe honge ki software banane se humara kya fayada hoga to mai ye bhi aapko bata deta hu.
Isko understand karane ke liye mai aapko ek example de raha hu.
Hum apne computer me antivirus software ka use karate hai. Jisme se 80% se Jayda log paid (paise dekar kharidana ) antivirus ka use karate hai.
Example:
Net Protector Anti-Virus Pro 2016 - 1 PC, 1 Year -Price: 600
Quick Heal Anti-Virus Pro 1 PC, 1 YEAR (CD) - Price: 999




To kuch antivirus software hai jo Jayda taur par india me use kiye jate hai. ab aap sochiye ki ek antivirus software ki kimat lagbhag 500-1000 rupay hai.
To pure india me kitane log iska istamal katate honge aur in companies ki kamayi kitni hogi.
Lekin is tarah ke software banana kisi 1 insaan ke bus ki baat nahi hai. uske bare me niche bataya hai.

Software Banane Ke liye Kitane Logo Ke jarurat Hogi:

Waise agar aapko coding aati hai, aap programming me talented hai to phir aap small software akele hi bana sakate hai.
For example:
Notepad, Calculator, small games, kisi company ke liye management ka software, college ke liye library management ka software etc.
Lekin agar aap software banakar acche paise kamane ke bare me soch rahe hai to phir aapko programmer’s ki team banana hogi.

Team me her ek member ka alag alag role hota hai, jaise koi code development ka kam karata hai , to koi front end pe software ke design ke dekhata hai.
Software database manage karane ke liye alag team member kam karata hai.
Software fully create karane ke baad usse test karane ke liye software testing ki alag hi team hoti hai. jispar testing ki alag alga method ka apply kiya jata hai, aur usko validate kiya jata hai.
Team me her ek member ka apna apna alag role hota hai.


To is process ke through ek software banata hai, aur us software ke jariye hum paise kama sakate hai.
To ab aapko puri tarah se samaj aaya hoga ki aakhir me software kaise banata hai.
Aur agar ab bhi aapke man me koi sawal hai to aap comment me jarur puch sakate hai.
Computer, Internet, Blogging, Make Money Se realted kisi bhi problem ke liye humara facebook group jarur join kare.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

20 comments:

  1. Dear Sir,
    How to make a software? please tell me .

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Preeti soni,
      To make software we want to learn java, C, C++, VB.NET such programming languages.

      Delete
  2. Sir Mobile Par Web Site Ka Aap Banane Ke Liye Kya Kare Plz Bataye

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Pramod ji,
      Free me banana hai to aap appsgear ka use kar sakate hai uske liye ye post read kare.

      Delete
  3. thank you sir asi jankari dene ke liye sir mujhe computer bhot hi acha lagta h isme software game video cartoon making etc ye sabhi sihkna h so you help me now sir

    ReplyDelete
  4. Sir windows base software banana liye vb ke alawa aur koan Sa programing language use kar skate hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Sajay,
      Windows Application, software create karane ke liye VB.net, VB.6, c, C++ in programming language ka use hota hai.

      Delete
  5. C, C++, JAVA, VB.NET, etc language kaise or kaha sikhe

    ReplyDelete
  6. kya aap muje wo India mai wo company bata sakta hai jinhe software engineer ki jarurat hai, Aur wo kud software build karti ho.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Ha agar aapko programming language ki samaj hai to TCS, Wipro in jaise company ke me ja sakate hai.

      Delete
  7. Mobile root karne proses bataiye na
    Mera Mobile Micromax canvas q416 hai

    ReplyDelete
  8. Sir mujhe web design seekhana hai but mere pass Paise nahi hai keya koi online class hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Vijay,
      Ji ha Youtube.com, tutorialpoints, w3schools par free me sikh sakate hai.

      Delete

  9. Thank you For Sharing This Information…
    And also give to me important knowledge.

    ReplyDelete
  10. Sir free main kohibhi language course kar sak te hain keya.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Ji ha, Youtube se free me kar sakate hai.

      Delete
  11. sir mainne toa visual basic course kiya hain tao mainne bhi ak softwere banaya houa hain to keyse es softwere ko install kare .this softwere name is calculator

    ReplyDelete