Board University Ka Online Result Kaise Check Kare

Aap me se kayi log 10th, 12th, BCA, B.com, B.sc, M.sc, MCA, B.A., M.com is tarah ke eduction kisi na kisi university me le rahe hai. To aaj hum janate hai, ki kisi bhi board, university ka result kaise check kiya jata hai.

Board University Result Kaise Dekhe
Board University Result Kaise Dekhe

Aaj Internet ki growth day by day increase ho rahi hai. Sabhi ke pass smartphone, laptop, computer aa gaye hai. Aur usme 99% logo ke pass internet hai.
Hum ab kisi bhi board, university ka result hum online check kar sakate hai. Isse Pahale University, board ka result traditional way se declare hota tha. Lekin aaj sabhi university, board modern ho gaye hai, sabhi board, university ka work online ho chuka hai.
Lekin abhi bhi kayi sate student hai, jine online result check karana pata nahi hai. To ye post khas un logo ke liye hai.

Kisi Bhi Board, University Ka Result Kaise Check Kare:

1. 10th, 12th Board Ka Result Kaise Check Kare:

Sabse first aap ko kis chiz ka result check karana hai, wo select kare.
Man lijiye aapko SSC, HSC Maharashtra board ka result check karana hai. Jis din result ki date declare ki gayi hai, us din se aage aap result check kar sakate hai.
Google me direct aapko jis chiz ka result chahiye wo search kare “ Maharashtra Board SSC result of 2018”  ab google me aapko official website mil jayegi. Jo maharesult.nic.in ab waha jakar apna Seat Number, Mother Name Dale aur apna result check kare.


Her ek state ke apni apni alag alag website hoti hai, aapko jis bhi board ka result janana hai, usko google me search karana hai.

2. Kisi University Ka Result Kaise Check Kare:

Agar aap graduation, jaise B.A., B.com, B.sc ya phir Post Graduation M.sc., M.com, M.A. is tarah ke result check karana hai to kaise check kare dekhate hai.

Step 1:
Sabse pahlae to aapko apni university ka name malum hona chahiye.
Google.com open karana hai, usme apni university ka name dalana hai, for example SRTMU Nanded,  is tarah univestiy name search karana hai.

Step 2:
Google me aapko university ki official website mil jayegi. University site ka name kuch is tarah hota hai, universityname.ac.in

Step 3:
University ki website open karane ke bad result link aapko open karani hai.

Step 4:
Result link open karane ke bad apni faculty select kare. Jaise B.A., M.A. is tarah select kare. Phir apna seat number dale aur result check kare.

University jo result display karati hai, wo alag alag way se display karati hai. Jo Maine niche bataya hai.

1. Kayi university direct online result show karati hai, yane apna seat number dalkar hum online result check kar sakte hai.

2. Kayi universities pdf files me faculty ke aunsar result show karati hai, yane hume faculty ki pdf file download karani padati hai, aur usme humara seat number find karana hota hai.

3. Third way hai, faculty, aur class ke anusar result ko .txt file me diya jata hai. Jisko hume download karana padata hai, aur humarea seat number find karana hai.
To ab aapko samaj aa gaya hoga ki kisi Bhi University, board ka result check kiya jata hai.


Kisi bhi exam ka result check karana behat hi aasan hota hai, sirf hume us exam name, exam event, ko google par search karana hota hai. Kisi bhi basic internet user ke liye ye aasan tarika hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: