Photoshop Me Image Ka Background Kaise Change Kare

Photoshop sabse popular image editing software hai, Photoshop me kisi bhi image ka background kaise change kiya jata hai, janate hai.
Photoshop me kisi bhi image ka background change karana behat hi assan kaam hai, bus iske liye aapko photoshop ka basic knowledge hona jaruri hai.
Agar aapko Photoshop ka koi bhi knowledge nahi hai to aap sirf niche di gayi step ko follow kare.



Hum yaha par adobe phtoshop 7 ka use kar rahe hai, lekin jo steps hai, wo sabhi photoshop ke version me yahi hogi chahe aap CS3, CS4 use kar rahe ho.

Photoshop Me Image Ka Background Kaise Change Kare

Hume yaha par magnetic lasso tool ka istamal karana hai. Magnetic lasso tool kyon use hota hai ye mai pahale hum janate hai.

Magnetic Lasso Tool:
Is tool ka istmal image ko select karane ke liye hota hai. Ye magnet ki tarah work karata hai, yane jaha jaha par same color hai ye tool usko automatic select karata hai.

Step 1:
Sabse pahale aapko jis photo ka background change karana hai, usko Photoshop me open kare.

Step 2:
Ab tool menu me se magnetic lasso tool ko select kare.

Magnetic Lasso Tool

Step 3:
Magnetic lasso tool ki help se image ko select karle jiska background change karana hai.
Image ko select kare magnetic tool se

Step 4:
Ab image ko jaha se select karana shuru kiya tha wahi par end karana hai, to puri image select ho jayegi.

Image select kare

Step 5:
Ab upar menu option me se select pe click kare. Aur waha se Inverse pe click kare. Isse image ko chodkar uska background select ho jayega.


Step 6:
Paint bucket tool select kare phir aap jo color background me dena chahate hai wo select kare.
Aur image ke background me jakar fill karde.

Fill Bucket

Image select karate waqt jo jayada parts aaya hai, usko is color se remove kar de taki image ki quality aur better ho sakte usme clearity aa sake.
To is tarah simple steps ko follow karake hum kisi bhi image ka background change kar sakate hai.
Agar aap chahe to step 6 me jo paint bucket tool ke bajay gradient tool se bhi color ko fill kar sakate hai.

To ab aapko acche se samaj gaye honge ki kisi image ka background adobe Photoshop me kaise change kiya jata hai.
Agar aapko isme koi problem ho to aap niche comment me puch sakate hai.
Photoshop se related humari aur bhi post aap read kar sakate hai.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. बढ़िया जानकारी दी है आपने सर. मैं आपके ब्लॉग पर आना पसंद करती हूँ.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ धन्यवाद रूपा जी आपके फीडबैक के लिए :)

      Delete