Chrome Me Webpage, Blog Post Ko PDF Me Kaise Save Kare

Hum kisi website, blog ko visit karate hai, tab hume wo behat pasand aata hai, ya humare kam ka hota hai, tab hum usse save karane ke bare me sochate hai, to is post me hum janenge ki kisi bhi webpage ko as a pdf kaise save kiya jata hai.

File Ko Pdf Me Kaise Save Kare

Hum kisi bh webpage ko pdf format me save kar sakate hai, chahe wo notes ho humare kam ki kuch articles.

Iski jarurat student ko khas taur par padati hai, unke jo online notes hote hai, unko hum webpage ke jariye pdf format me save kar sakate hai.

Webpage Ko PDF Format ME Kaise Save Kare:

Step 1:
Aapko jo webpage save karana hai, uska address google chrome me dale aur enter kar de.
Step 2:
Website open hone ke bad Ctrl+P press kare.

Step 3:
Ab humare samane print ki window open hogi. Umse right side me destination ka option hoga uske niche change pe click kare.

Change Pe click kare

Step 4:
Change pe click karane ke bad waha se Save as PDF select kare. Aur save pe click kar de. Ab aapko jis location pe page save karana hai waha pe save kar de.

Save Pe click kare

Agar aap chaho to Page ka layout- Portrait, Landscape
Margin- default, none, custom etc.
Paper size- A1, A2, A3, A4, A5, Letter in size me bhi change kar sakate hai.
To is parkar hum kisi bhi blog post, ya website ko pdf format me save kar sakate hai.

Computer Se Related Humari Dusari Post :
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: