Windows 7 Welcome Screen Message Add Karane Ki Trick

Windows 7 Pe Welcome Screen Pe Hum Message Kaise Likh sakate hai, iski trick aaj mai aapko batane ja raha hu.

Welcome Message On windows 7


Aapne kahi par dosoto ke computer me, Windows 7 start karane ke bad kuch message dekha hoga.

Windows 7 me yesi facility hai, jise hum welcome message likh sakate hai, jo hume computer start karane ke bad show hoga. Jo log on screen hoti hai, usse pahale ye message hume dikhayi dega.

Is message hum kuch bhi jaise welcome message, apna khud ka name, warning message kuch bhi dal sakate hai, iske liye hume sirf windows 7 ki registry setting ke change karana padata hai.
To chaliye dekhate hai, ki kaise welcome message add kiya jata hai.

Windows 7 Me Welcome Message Kaise Add Kare:

Step 1:
Sabse pahale start button pe click kare. Phir Search box me regedit likhakar enter press kare.
Regedit Search Kare


Step 2:
Ab Aapke samane registry editor ki window khul jayegi jise aapko niche diye gaye path ko follow karana hai.
Note: Registry value sahi se edit kijiye nahi to operating system me problem ho sakati hai.
Registry Editor


HKEY_lOCAL_MACHINE\Software\Microsoft\Windows\CurrentVersion\Policies\System

Is path ko aapko follow karana hai, to aapke samane niche ki tarah ek window open ho jayegi.

Step 3:
Ab legalnoticesection pe double click kare. Aur text box me aapko jo message ko title chahiye wo Title box dale de.
Example: Welcome Umesh

Title Dale


Step 4:
Ab phir niche legalnoticetext pe double click kare. Aur Aapka message value data field me dal de.
Example:
Have a Nice Day……….


Value Data Dale



Ab ok pe click karde.  Apne computer ko ek baar restart karde. Computer start hone ke bad ab aapko wahi message show hoga jo aapne upar dala hua tha.
To is prakar hum windows 7 me registry ko edit karake hume jo message show karana hai, wo show kar sakate hai.



To apako ye trick kaisi lagi comment me jarur bataye. Aur agar aapko ye trick pasand aayi ho to apne friend ke sath facebook pe jarur share kare.

Humare Latest updates pane ke liye subscribe kare aur humara Facebook page like kare.

Also Read:
Computer Aur Internet Se Jude Technical Word
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: