Postpaid Aur Prepaid SIM Me Kya Difference Hota Hai


Postpaid aur prepaid SIM Card me kya Difference hota hai, iske bare me janate hai.
Kayi log confuse ho jate hai, ya unhe pata nahi hota hai ki prepaid, postpaid me kya fark hota hai.
Prepaid and Postpaid Difference

Abhi reliance JIO SIM card ko lekar bhi aapne kayi bar prepaid aur postpaid kar naam suna hoga to inme kya fark hota hai details me janate hai.

Prepaid SIM Kya Hota Hai:

Prepaid: Iska matlab iske name me hi diya gaya hai, prepaid yane pahale pay karana padega uske bad use kar sakate hai.

1. Prepaid SIM me hume pahale recharge karana padata hai, tabhi hum calls, internet ka istamaal kar sakate hai.

2. Jab tak humare SIM Card me balance hai tab tak hum calls, sms, internet ka use kar sakate hai, jab humara balance khatm ho jayega tab hum in services ka istmaal nahi kar sakate hai.

3. Prepaid SIM card ka istmaal college students, youngster’s karate hai.
4. Aam taur par prepaid SIM wo log use karate hai, jinko limited taur par calling, data use karana hota hai.

5. Most Important point prepaid user ko koi bhi telecom company bill send nahi karati. Agar chahe to hum USSD codes ke jariye data, call usage check kar sakate hai.

Postpaid SIM Card Kya Hota Hai:

Postpaid: Iska matlab post yane bad me paise pay karane hota hai.
1. Postpaid ka recharge nahi hota hai, iska monthly, yearly plan hota hai.

2. Postpaid sim card me agar balance nahi bhi ho to hum calls, sms, and data use kar sakate hai.


3. Postpaid data, call, sms kitana use karana hai iski limit nahi hoti hai. Lekin agar hum apne plan se jayada use karate hai to uska extra charge hume lagata hai.

4. Postpaid SIM ya Services wale user ko uske usages ke anusar monthly bills send kiya jata hai. Jisme user ne use kiya gaya data, call, sms inki Jankari details me di gayi hoti hai.

5. Postpaid SIM user ko bills ke sath deadline di jati hai, agar deadline se pahale humane bill nahi fill kiya to hume bad me extra charge dena padata hai.


6. Postpaid me Plan fix hote hai.

Key Differences between Prepaid & Postpaid:
Prepaid
Postpaid
1. Recharge pahale karana padega.
1. Recharge ki jarurat pahale nahi hoti hai.
2. Special offers, packs hote hai.
2. Fixed monthly, yearly plan hota hai.
3. User ko bill nahi aata hai.
3. User ko monthly, yearly jis tarah ka plan hai uske anusar bill send kiya jata hai.














To ab aapko prepaid aur postpaid ke bich me basic kya difference hota hai, aapko pata lag gaya hoga.
Agar aapke man me koi sawal ho to aap niche comment me humse puch sakate hai.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

10 comments:

  1. Postpaid me Kya benefit milata he

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Jitendra,
      Upar bataya hai thik se read kariye jawab mil jayega.

      Delete
  2. Kya postpad ka monthly plan prepaid se sasta hota hai, Agar special offers ko chhod de to

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Somu,
      Ha ho sakata hai.

      Delete
    2. Mera postpaid sim h,mai pichale 6 mahine se JDDD 309 ka recharge kra ra hu ,toh kya bill aayega?

      Delete
    3. @Bharat,
      Recharge kiya hai to koi problem nahi.

      Delete
  3. Agar koi use nahi karenge to bill aayega?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Nitesh,
      Postpaid hai to bill aayega.

      Delete
  4. Sir maine ek postpaid sim ko tod kr phenk diya aur ek bhi din use nhi kiya.phir bhi 1500 rs bill aaya .Aisa q?Pls sir answer me

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Suresh,
      Yesa hi hota ha, isliye aapko card band karawana hoga. Aap use karo na karo aapko bill aata rahega, jab tak aap card band nahi karwate.

      Delete