Google Chrome Browser Me Homepage Kaise Set Kare

Bahut se Log internet ka istmaal karane ke liye google chrome browser ka use karate hai. Google chrome me homepage kaise set kiya jata hai aaj hum janate hai.

Google Chrome Me HomePage Kaise set Kare

Google chrome browser me agar aap homepage set karana chahate hai to is post ko follow kare aur aapko jo homepage chahiye wo select kare.

Homepage Kya Hota Hai:

Agar aapko homepage kya hota hai ye pata nahi hai to chaliye janate hai, homepage yane hum jab bhi browser open karate hai tab humare samane jo page hota hai usko homepage kaha jata hai.


Hum jo chahe wo homepage select kar sakate hai, lekin search engine ko homepage select karane se humko hi help hoti hai.

Google Chrome Me Search Engine Ko Homepage Kaise Set Kare:

Step 1:
Sabse pahale google chrome browser ko open karo.

Step 2:
Ab google chrome browser me right corner me jo three dots hai uspar click kare.

Step 3:
Ab aapke samane behat se option honge usme setting pe click kare.

Setting Pe click kare

Step 4:
Humare samane google chrome ki setting open ho jayengi usme hume search ka option show hoga.
Step 5:
Search option me jo drop down menu hai uspe click kare aur aapko jo chahiye wo homepage set kare.

Set search engine

Agar drop down menu me search engine ka name nahi hai to aage jo option hai manage search engines…. Pe click kare.

Ab hume jo homepage set karana hai uska url (address) dale. Ab aapne jo url dala hai wo aapko drop down list me show hoga usko select karle.


To is tarah simple steps ko follow karake hum google chrome browser me kisi bhi webpage ko homepage set kar sakate hai.
Agar iske bare me aapko koi dikkat ho to aap comment me hume jarur bataye.

Also Read:

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Firfox me bhi batatye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Kamlesh,
      Firefox ke bare me jald hi post karunga.

      Delete