Paytm Use Kare Bina Internet Ke Offline Payment & Paise Transfer Ke Liye

Aaj 1000 aur 500 ke old notes band hone ke karana logo ko payments karane me bahut dikkat ho rahi hai.

Use Paytm For Offline Payments


To wahi dusari aur paytm apne services extend kar rahi hai, aur apne user ko nayi nayi services offer kar rahi hai. Ab kayi shops me paytm ke through payments li ja rahi hai.


Lekin kayi jagaho par ya har kisi ke pass internet na hone ke wajah se kuch log paytm ka use nahi kar pa rahe hai. Lekin is par bhi paytm ne upay nikal liya hai, ab paytm se hum bina internet ke kisi ko bhi payment kar sakate hai.
To chaliye janate hai, ki kaise offline paytm se payment ki ja sakati hai.

Requirements:
1. Aapke pass paytm ka account hona jaruri hai, uske sath aapka mobile number register hona jaruri hai.

Also Read:

2. Aapka jo registered mobile number hai, usse pahale hume offline payment ke liye register karana hoga.

Paytm Se Bina Internet Ke Payment Kaise Kare:

Step 1:
Apne registered mobile number se toll free number 1800-1800-1234 par call karana hai.


Step 2:
Call karane ke bad hume paytm se offline payment karane ke liye PIN set karana hoga.

Step 3:
Call karane ke bad aapke ek recorded message sunayi dega. “Aapne abhi tak pin nahi banaya hai Humari taraf se iske sandharb me jald hi call ki jayegi.”

Step 4:
Paytm ki taraf se aapko call aayegi aur aapko PIN set karane ko pucha jayega.

Also Read:

Offline Payment Kaise Kare:

1. Ek bar humane apna PIN set kar diya hai, uske bad jab bhi hume kahi par offline payment karana hai, uske liye toll free number 1800-1800-1234 call karana hai.

2. Call karane ke bad Jisko paise bhejane hai, payment karani hai, uska mobile number dale.

3. Iske bad amount dale jo bhi aap send karana chahate hai.

4. Uske bad apna PIN dale jo humane set kiya hai.

Finally is tarah hum offline payment kar sakange. Is tarah ab har koi paytm ke jariye payments kar sakata hai.
Agar aap chahe to aapke paytm wallet me jo paise hai usko apne bank account me bhi transfer kar sakate hai, lekin uske liye hume internet ki jarurat hogi.


Also Read:

To agar aapko ye post acchi lagi ho to apne friend’s ke sath jarur share kare.
Latest updates pane ke liye subscribe kare aur humara facebook page jarur like kare.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

3 comments:

  1. sir ap google profile me
    blog about us page kaise add kiya hai.
    plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Riajul,

      Professional, Responsive author box hai, jisme maine apne about us page ki link add ki hai aur mera bare me kuch jankari aur social link provide kiye hai. Iske liye hume apni template me coding karani padati hai.

      Delete