Screen Recorder: Youtube Ke Liye Mobile Se Video Kaise Banaye

Agar aap ek YouTuber hai aur apne mobile se YouTube ke liye best quality ke video record karana chahate hai to aapko ye post jarur read karani chahiye.

 Youtube Ke Liye Mobile Se Video Kaise Banaye

Kayi sare log aaj YouTube par channel banakar acchi kamayi karane me lage hue hai.
Agar aap bhi is tarah apna ek channel banana chahate hai, aur usse acchi earning karana chahate hai to ye kam apne mobile se bhi kar sakate hai. Aaj hum sab ke pass accha smartphone available hai, aur isse hum kayi acchi video bana sakate hai. Iske liye hume jarurat hoti hai, ek acche screen recorder software ki.



Google play store par kayi sare screen recorder hume mil jate hai, lekin unme se sabhi acche hote hai, yesa nahi aaj mai aapko ek best screen recorder application ke bare me batane ja raha hu jisse hum apne mobile ki screen HD format me record kar sakate hai.



Android Mobile Ki Screen Kasie Record Kare:

A Z screen Recorder Application:

Features:
1. Best screen recorder application hai.

2. Mobile root karane ki koi jarurat nahi.

3. Recording ke Liye koi time limit nahi hai, jitana chahe utna long video record kar sakate hai.

4. Free hai, watermark nahi aata hai.



5. Isme hume ads bhi show nahi hogi.

6. Record screen in HD or Full HD format.

7. Video record karate samay touch bhi record hoga jisse video dekhane walo ko samaj me aayega ki hum kis option par click kar rahe hai.

8. Video edit bhi kar sakate hai, ukse liye hume alag se plugin add karana hoga.

9. Audio bhi record kar sakate hai.

Step 1:
Google play store open kare aur waha A Z scree Recorder – No Root search kare.


Step 2:
Application ko download karke install karle.

Step 3:
Hume play store se A Z screen recorder ka plugin bhi download karana hoga wo bhi download karle.

Step 4:
Mobile se A Z screen recorder ko start kare ab setting me jakar aap uski setting kar sakate hai.
E.g. Scree resolution, Audio recording etc.
Setting


Step 5:
Jab hum A Z screen recorder start karate hai tab mobile ke screen par sider bar se bhi hum isko operate kar sakate hai. Video record karane ke liye jo video ka sign hai uspar click karana hai.
Start video

Step 6:
Jab aapka video record ho jaye tab recording stop karane ke liye mobile ka jo notification bar hai, waha se hum recording pause, stop kar sakate hai.

Notification Bar

Step 7:
Recording complete ho jane ke bad hum isko edit kar sakate hai,
Editing me hum video par text add kar sakate hai, Sticker add kar sakate hai, video crop kar sakate hai, audio edit, add kar sakate hai.

Edit Video

Is tarah hum apne mobile se behatarin video bana sakate hai.

Agar aapko is post se related koi sawal ho to aap hume comment me puch sakate ahi.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Bro AZ Recoder app me video editing ke liye konsi app download karni padti hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Umesh,
      Iske AZ Record Plugin ka app play store le lena padega.

      Delete