DJ Song Banane Ke Liye Free Software

Dj song banane ke software, apne naam ka dj song kaise banaye. Aaj Dj Song Hume bahut sunanage ko milate hai, aur bahut si website par Dj song mix kiye gaye hote hai, jisme mixer ka naam, aur uski details hoti hai.

DJ Song Banane Ke Liye Free Software

Agar aapke bhi dj song mixing sikhani hai to aapko uske liye software ki jarurat hoti hai. Aur ye mixing software humko purchase karane padate hai, lekin aaj hum yaha pe kuch free aur best Dj mixing software ke bare me janenge. Jisse aap mixing sikh sakate hai.

Bahut se logo ko Dj song banane ka shauk hota hai, lekin uske liye koun se software use hote hai ye unko pata nahi hota isliye khas un logo ke liye ye post banayi gayi hai.

Free DJ mixing Software’s:

1. Virtual Dj:

Virtual Dj

Virtual Dj ek best aur free dj mixing software hai, jiski help se hum Songs ko edit, mix aur record kar sakate hai.
Iska latest version aapko niche di gayi link se mil jayega. Aur ye windows ke liye available hai.
Iska interface use karane me bahut hi aasan hai, jisko new user bhi easy se samaj jayega.


Virtual dj ki help se hum live mixing bhi kar sakate hai.

Download Link: http://www.virtualdj.com/download/index.html

2. FL Studio:
FL Studio

FL Studio bhi best mixing software hai. Use karane me bahut hi aasan hai.
Windows operating system par install kar sakate hai. Iska free trial version available hai, jo aap mixing sikhane ke liye use kar sakate hai.
Aapko FL Studio ka pura course Youtube par mil jayega jisse aap starting se dj mixing sikh sakate hai.
Aur agar aap business purpose ke liye iska use karana chahate hai to aapko ye purchase karana padega.


FL Studio ko aap brothesoft.com ya phir filehippo.com in site se download kar sakate hai.

3. Mixx

Mixx

Ye ke free aur open source dj mixing software hai. Learning purpose ke liye isse best software nahi ho sakata.
Mixx software ko sikhane ke liye aap mix team ka forum join kar sakate hai.

Download Link: http://www.mixxx.org/download/

4. Ultramixer:

Ultramixer

Ultra mixer bhi bahut accha aur free mixing software hai. Isme hum live video, Visuals, Slideshows, text add kar sakate hai.
Sath me isme live camera ka bhi istmaal kar sakate hai.
5. Zulu Dj Software:

Zulu Dj Software

Simple Mp3 mixing ke liye sabse best software hai. Iske liye hum kisi bhi MP3 ki mix kar sakate hai. Ye software NCH software team dwara banaya gaya hai.
Live mixing bhi kar sakate hai. All mp3 format ko ko support karata hai.
Extra plugin ka use kar sakate hai. Loops add kar sakate hai.

Download Link: http://www.nch.com.au/dj/index.html


To ye kuch best aur free Dj mixing software’s hai, jo aap download karke apne pc me install kar sakate hai aur free me use kar sakate hai.
Agar aapko Dj mixing sikhani hai to uske liye aapko Youtube par isse related kafi acche video mil jayenge jaha se aap mixing sikh sakate hai. Aur app bhi ek acche dj mixer ban sakate hai.
Koi question ho to comment me jarur puche.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: