Google Chrome Top Secret Tips & Tricks

Google Chrome sabse Jayda use hone wala browser hai, kyon is aur browser se thoda hatake hai. Google chrome world ko hum ka top most browser kah sakate hai. Lekin aaj bhi kayi yese log hai, jo google chrome ke browser ke bare secrets tricks, tips hai jo nahi janate hai.

Google Chrome Top Secret Tips Tricks

Chrome browser almost sabhi operating system (Windows, MAC, Linux, Android, ) aur sabhi devices ko support karata hai.

Google Chrome Secret Tips & Tricks:

1. Use Chrome As Notepad:
Hume text related koi bhi kam karana ho to hum uske liye notepad ka use karate hai. Lekin shayad aap ye nahi janate honge ki google chrome ko hi hume notepad ki tarah istmaal kar sakate hai.


Agar aapko internet se kuch important information note down karani hai to iska use kar sakate hai.
Uske liye chrome me ek new tab open kare aur URL me
data:text/html, <html contenteditable>
Enter Kar de.

Notepad

Aapke samane ek blank white screen show hogi ab aapko jo bhi type karana usme type kare.

2. Bookmark Manger:
Humara work kayi sari website par hota hai, aur har ek website ka url yaad rakhana mumkin nahi. Isliye humari jaruarat ki website ko hum bookmark me save kar sakate hai.

Bookmark manager

Google chrome me hum easily bookmark ko manage kar sakate hai. Bookmark manger me hum apne hisab se folder bananakar usme site ko bookmark kar sakate hai. Isse hum kon si site kaha par bookmark ki gayi hai, ye jaldi samaj me aa jayega.
Aap niche image me dekh sakate hai, maine alag alag folder banakar uske site ko bookmark kar diya hai.


Kisi bhi site ko bookmark karane ke liye “CTRL + D” press karana hota hai. Humari website ko bhi aap bookmark me save kar sakate hai.
Bad me hume jab bhi website ki jarurat pade hum bookmark se us website ko open kar sakate hai.

3. Auto Fill Data:
Hume kayi bar humara name, address, mobile number, is ka dtab hume bar bar fill karana padata hai, lekin kya aapko pata hai ye kam aap sirf 2 seconds ke under kar sakate hai.
Google chrome hume yesi facility provide karata hai, jisse hum 1 seconds me web forms ko auto fill kar sakate hai.
Auto fill me data ko save karane ke liye google chrome ke
Setting me jaye – show advanced setting – passwords & Forms jaye
Enable auto fill to fill out web forms in a single click ko tik mark kar de.
Mange auto fill setting par click kare. Add new street address par click kare.

Auto fill

Ab aapna name, address, number add karake Done pe click kare. Isme aap jitane chaho utne address, details add kar sakate hai.


Ab aap jab bhi online kahi par apna name, enter karoge google chrome aapko auto fill ka suggestion dega.

4. Guest Browsing:
Guest browsing ek behatarin feature agar aapka laptop ya computer aap kisi aur dost ko dena chahate hai to yese me aap apan personal data jo bhi google chrome me hai, usko usse hide karane ke liye hum guest browsing enable kar sakate hai.
Guest browsing enable karane ke liye Settings > People > and check "Enable Guest Browsing.

Guest browsing

5. Protect from Unsafe Sites:
Google chrome apne user ko sabse acchi service provide karane ka kam karata hai, isliye ye duniya ka top browser hai, isliye ye apne user ki privacy ko secure rakhane par work karata hai.


Chrome hume unwanted sites, spamming site se bachata hai, agar aap galati se kisi unsafe site par chale jate hai to google chrome hume warn karata hai ki website unsafe hai, is website ko abhi close karde.

Protect from Unsafe sites

Islike hume chrome ki setting – show more setting – privacy – protect you and your device from dangerous sites is option on tik mark karana hai.

Isse aage jab bhi aap kisi unsafe site par chale jayoge to chrome hume warn kar dega.
Isi wajah se google chrome sabse Jayda use hone wala browser hai. Aapko ye post kaisi lagi comment me jarur bataye.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: