Android Mobile Se Double Role Wala Video Kaise Banaye

Kayi bar hum movie dekhate hai, unme actor’s ke double role hote hai. Tabhi hum sochate hai, ki aakhir ek hi isaan same time 2 role kaise play karata hoga.

Double Role Wala Video Kaise Banaye

Lekin movies banane ke liye high definition camera aur editing ke liye Sony Vegas, adobe after effect, adobe premiere pro etc. Ye sabhi software paid hote hai aur inki price kafi high hoti hai.
Kya kabhi aapne socha tha ki kash mai bhi apni yesi double role wali video bana saku.



Aaj mai aapko yese software ke bare me batane wala jisse aap free me apna double role wala video bana sakate hai.

Uske liye hume 1 bhi paisa kharch karane ki jarurat nahi hai. Aur ye video hum apne android mobile se bana sakate hai. Agar aap bhi apna khud ka double role wala video banana chahate hai, aur apne dost ko impress karana chahate hai to niche di gayi step follow kare.

Android Mobile Se Double Role Wala Video Kaise Banaye:

Ikse liye hume google play store se SplitVid – Split Video Camera is application ko install karana hai.
Iske kuch khas features hai, uske bare me pahale baat karate hai.

Features:
SplitVid Bilkul free hai.
Self-timer bhi diya gaya hai.
Screen ko adjust kar sakate hai.


To chaliye janate hai video banane ke liye hume kya karana hoga.

Step 1:
Sabse pahale google play store par chale jaye aur waha par SplitVid – Split Video Camera search kare aur apne mobile me install karle.

Step 2:
Ab application ko open kare aur open camera par click kare.

Open Camera Par click kare


Step 3:
Ab aapke samane camera open ho jayega usme aaapko screen half divided dikhegi jisme half screen clear dikhayi degi aur half thodi si blur dikhayi degi.


Step 4:
Jab hum recording start karate hai to pahale us half part me recording start ho jayegi jab wo recoding puri ho jaye to stop ke button par click kare. Ab next half part me hume recording karani hai but aapko ab apni position change karani hogi jisme lage ki aap dusare double role se bat kar rahe hai. Aap niche image dekh sakate hai.

Screen Divide ho jayegi
                               Image credit: SplitVid – Split Video Camera App

Step 5:
1 half aur 2 half screen record karane ke bad stop par click kare ab wo dono half screen automatic merge ho jayegi. Ab aapka double role wala video taiyaar hai.
Video start karake aap dekh sakate hai ki video kaise dikh rahi hai.
Isme aap screen ko apne hisaab se adjust kar sakate hai. Lekin video record karate samay aap ye dhya me rakhe ki camera jyada hile na nahi to wo video thik se nahi show hogi.
Is tarah hum apne android mobile se apna khud ka double role bana sakate hai, aur apne dosto ko send kar sakate hai.


Agar aapko upar di hui step me koi dikkat ho to aap niche comment me hume bata sakate hai.

Humare latest update pane ke liye humara Facebook page like kare aur subscribe kare.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: