UC Web Browser Me Ads, Image Kaise Show Kare

Agar aap ek website owner hai aur google adsense ka use karate hai to appke man me bhi ye sawal aaya hoga ki uc browser me adsense ke ads kaise show kare.

UC Web Browser Me Ads, Image Kaise Show Kare

UC Web Browser always ek accha browser hai, but unone apne browser me ad blocker add kar diya hai. Isse kayi logo ko fayada hota hai, to kayi logo ka nuksaan.

Ad-blocker Ke Fayade Aur Nuksaan:
Fayade:
1. Kayi site dher sari ads show karati hai, un ads se chutakara milata hai.
2. Website fast open hoti hai.


Nuksaan:
1. Agar aap kisi acchi website ko visit karate hai to uspar jo tutorial likha hota hai, jisme aapko screenshot, image se sath explain kiya gaya hota hai, wo bhi block ho jati hai. Jisse aapko wo tutorial samajane me kafi mushkil ho jati hai.

Example: ke Liye Niche di gayi image dekh sakate hai. Niche di gaye screen shot me Payment proof ke niche image show nahi ho rahi hai.
Payment proof nahi show ho raha

Lekin jab hum ad blocker ko off karate hai, tab hume niche payment proof show ho raha hai.
Payment Proof show ho raha hai

Agar aap kisi website ke kuch knowledge ya information lena chahate hai jisme tutorial hai uspar aapko ad blocker off kar dena chahiye.


UC Browser Me Ad-blocker Kaise off Kare:

Yaha pe mai aapko 2 way bataunga jisse aap ad-blocker ko off kar sakate hai.

Simple Method 1:
Step 1:
Kisi bhi site ko visit karane pe website address kea age AD name dikhayi dega uspar click kare.
Icon pe click kare

Step 2:
Uske bad Ad block Mode ko Off kar de.
Off Kare

Method 2:

Step 1:
UC browser Open kare niche three Link dikhayi degi uspar click kare.

3 Lines par click kare

Step 2:
Uske bad niche setting ke icon par click kare.

Setting pe click kare

Step 3:
Setting me Jakar Ad Block ko option niche dikhayi dega uspar click kare.

Ad block par click kare

Step 4:
Phir next step me Ad Blocer, Power ad blocker 2 option ko off karde.

Ad off Kare

UC Browser VS Google Chrome:

Mai apne personal experience se ye bata raha hu, ki Uc browser kab use karana hai aur Google chrome kab use karana hai.
Google chrome bhi ek accha aur bahut popular browser hai, Google chrome use karane par hume wo sari facility milati hai, jo hum computer par dekhate hai.
1. Agar aap koi big file download karana chahate hai to mai aapko UC browser istmal karane ki salah dunga.


2. Agar aap kisi website se kuch browse karana chahate hai, koi information read karana chahate hai to aapko google Chrome browser use karana chahiye.
Kyon google chrome me wo safi facility provide karata hai, jo hum ek computer ke jariye dekhate hai.

Agar aap adsense use karate hai, aur apne khud ke blog pe ads kaise set ki gayi hai ye dekhana chahate hai to ye step aap bhi jarur apanaye.
To is tarah hum uc web browser me ads, pictures ko show kar sakate hai.

Aapke man me koi sawal ho to aap humse puch sakate hai. Is post par apne sujaw bhi hum se share kar sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Plz admin UC me adds add karne ka post kijiye

    ReplyDelete