Blogger Template Ko Zip File Se XML Me Kaise Convert Kare

Jab hum apne blog ka template change karane jate hai, tab hum janate hai ki blogger template ko xml me upload karana hota hai, Kyon ki blogger template xml format me ho to hi hum upload kar sakate hai.

Blogger Template Ko Zip File Se XML Me Kaise Convert Kare

Lekin hum jaha se bhi template download karate hai, wo Zip format me hoti hai. Isliye hume zip file ko xml me convert karana padata hai.
Uske liye hume Win RAR software ki jarurat padata hai.


Win RAR Kya Hai?

Win RAR ek software hai jiski help se hum RAR, ZIP, RAR 5 files create kar sakate hai, ya phir in files ko extract bhi kar sakate hai.
Win RAR software bahut popular software hai, ye ek file compression software hai, jiski help se hum kisi bhi file ko compress kar sakate hai.
Win RAR software free hai, hum isko free me lifetime ke liye use kar sakate hai.

Blogger Template Zip File Me Kyon Hoti Hai:

Har ek blogger template zip ya phir RAR format me hoti hai. Ye ke compression method hai, jisse hum file size reduce kar sakate hai, aur ek hi file me kayi file compress kar sakate hai.

Jab hume blog pe new template upload karanai hoti hai, to pahale hume us template ko Zip se XML me convert karana padata hai. Wo kaise kiye jata hai yahi hum dekhate hai.

Template ko zip se xml format me kaise convert kare:

Step 1:
Sabse pahale aapke pass Win RAR software computer par install hona jaruri hai.
Agar aapke pass win rar software nahi hai to google par win rar dalkar search kare aur usko download karle. Win rar software ki size kuch 4-5 MB ki hai.


Step 2:
Win RAR software install karane ke bad waha se template ki zip file ko open kare. Ya direct template ki zip file par click kare wo zip file win rar me open ho jayegi.

Open template

Step 3:
Ab Extract to par click karde.
Extract to.

Step 4:
Ab aap template ko kis location par extract karana chahate hai wo location select kare jaise desktop.
Aur niche ok par click kare.

Select location

Step 5:
Ab humari files extract ho jayegi. Humane jaha par files extract ki hai wo location open kare. Ab aap us folder me template ka xml version dekh sakate hai.

See XML version

Step 6:
Blogger dashboard se template upload karate samay ab aapko template ka xml version select karana hai.

Agar aapke pass computer nahi hai to aap apne mobile se bhi ye kam kar sakate hai.
1. Mobile se zip ko xml me convert karane ke liye aapko mobile me google play store se RAR (RAR Lab) ye application install karana hoga.

2. RAR app ko install karake open kare. Isme se ab blogger template ko open kare aur usse file extract kare.

3. Zip template xml me convert ho jayegi.

To Is tarah hum simple steps se apne mobile, ya phir computer se convert kar sakate hai.


Kisi bhi step me aapko koi problem ho to aap hume comment me puch sakate hai aur humari blogger se related aur bhi post aap read kar sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

3 comments:

  1. Bahut achhi jankari

    ReplyDelete
  2. Jankri dene ke liye thanks. wordpress pe bhi xml file support karta hai kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Phaguni,
      Wordpress par XML nahi upload kar sakate.

      Delete