How to Find and Remove Broken Links

Agar aap ek website owner hai ya webmaster hai to aapko broken links ke bare me pata hona jaruri hai.

How to Find and Remove Broken Links

Hume apne blog, website ki broken links ko check karake unko remove karana padata hai, iske liye kuch tools, website ka use kiya jata hai, jiske bare me hum yaha charcha karenge.

Broken Links Kya Hai:

Broken links ko dead links bhi kaha jata hai. Jab blog ki kisi bhi link par click karane par wo link open nahi hoti hai usko broken links kaha jata hai.
Ye wo links hoti hai jo humari site par work nahi karati hai, iska reason hota hai, galat URL ko add karana ya phir add ki hui hyperlink delete ya remove ho jana.
Hum apne blog post me internet links as well as external links bhi add karate hai. Lekin kabhi kabhi external, internal links me add ki gayi post delete ya remove ho jati hai, ya phir uska URL change kiya jata hai. To jo purani wali link hoti wo dead ho jati jisko broken links kaha jata hai.
Jiski wajah se humare site par 404 error show hone lagata hai.

Broken Links Kyon Create Hoti Hai:
Broken Links Kyon Crate hoti hai:

1. Comment Me Galat Web Address Dalana:

Jab koi user kisi website par comment karata hai tab jiske pass website nahi hoti hai wo website field me kuch bhi likh deta hai aur waha par broken link ban jati ahi.

2. URL Change Kar Dena:
Kayi bar hum apne blog post ki permalink change kar dete hai lekin humane duare post me us post ki internal link add ki hoti hai iski wajah se bhi broken links ban jati hai.

Broken Links Kyon Fix Kare:

1. User ko frustrate karati hai. User pareshan ho jata hai , aur humari site ko visit nahi karata.
2. Isse page rank par bhi bad effect padata hai.

How to Find and Fix Broken Links:

To chaliye janate hai ki broken link kaise find kare aur unko fix kare.

Step 1:
www.brokenlinkchecker.com is website par chale jaye phir waha par jakar apne blog, website ka URL enter kare. Uske bad Captcha code enter kare aur find broken link now par click karde.

Find par click kare


Step 2:
Kuch der wait kare wo site humare blog ki puri links ko scan karenge aur niche hume show karenge. Humari site par jitni bhi broken links hogi wo hume show hogi. Niche image me aap dekh sakate hai.


Click on SRC



Step 3:
Broken links ko fix karane ke liye broken links kaha aur kis page me occur ho gayi hai wo aap URL aur SRC par click karake check kar sakate hai.
URL par click karane par hume wo url show hoga jisme broken link hai.

Step 4:
Ab apne blog ko open kare us post ko open kara jaha broken link hai aur usko thik karake blog post ko update karde.
Ek ek karake sabhi broken links ko isi tarah fix karle.


To is tarah hum apne blog par jo broken links hai unko fix kar sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Kon sa tool sabse better hai brokeb link ko check karne ke liye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Lakshman,
      Upar website batayi hai wo best hai.

      Delete