Mp3 Music Songs Ki Website Kaise Banaye

Hello Dosto Agar aap apni khud ki Mp3 song ki website banane ke bare me soch rahe hai to iske bare me aapke man me kayi sawal honge. Ki aakhir kis platform par song wali website banayi jati hai. Isse website owner ko kya fyada hota hoga.

How to create own Mp3 song website

In jaise aur kayi sawal aapke man me honge jiske bare me hum niche bat karane wale hai.


Mp3 Music Website Kis Platform Par Banayi Jati Hai:

Web developer aam taur par website built karane ke liye WordPress, blogger, in jaise platform use karate hai. Lekin Music ki website banane ke liye hum wordpress, blogger jaise platform ka use nahi kar sakate.
Aaj jitani bhi popular mp3 songs ki website hai unme se kayi website wapka platform hai.

What is Wapka?

Wapka ek yesa platform hai jaha par user free me wapsite/website caret kar sakata hai. Wapka par website banane ke liye kisi bhi professional knowledge ya programming language ki jarurat nahi hai. Aur na hi extra server space ki.
Wapka ki help se hum mobile ke liye website bana sakate hai wo bhi mobile se. Wapka ki help se log paise bhi kamate hai, jiske bare me hum niche bat karane wale hai.

Wapka ki madad se hum video website, mp3 song website, forum create kar sakate hai.

How to Crate Mp3 Song Website on Wapka?

Agar aap wapka par apni khud ki mp3 song wali website banana chahte hai to uske liye aapko niche diya hua tutorial follow karana hai.

Step 1:
Pahale apne mobile ya phir computer me http://u.wapka.com/wap/en/signup
Is URL ko open kar le. Ab waha pe hume apna account create karna hai.


Step 2:
Passport (Email): Yaha par apna email id dale.
Password: Yaha par aap koi bhi password dale aur usko yaad rakhe.
Confirm Password: dobara password dalkar confirm kar le.
Site Name:
Box me ab aapko site ka name dalana hoga jo aap banane wale hai. Aur aage
.Wapka.mobi
.Wapka.me
.Wap-ka.com
Isme se ek domain select kare.
Aur sign up par click karde.
Example: djsachin.wapka.mobi

Wapka signup


Step 3:
Aapke mail par wapka ki taraf se mail aayega jisme ek link hogi use open karake hum verify karana hai.

Step 4:
Wapka par aapka account aur website ban gayi hai lekin ab sirf website ban gayi hai. wapka account me log in kare aur niche aapko Site list me aapki site ka naam dikhayi dega. Waha par manage par click karake aap apni website ki setting kar sakate hai.
Sample ke taur par maine wapka site banayi hai jo aap niche dekh sakate hai.


My wapka site


Wapka Site par Song Download, Upload Ki Setting, Design Kaise Kare:

Website banane ke bad aapko uske design ke liye alag alag code add karana padata hai.

Code Kon sa hota hai:

Mp3 Song category code
Footer, Header Code
Download link ka code
Music file List
How to add Icon to category in wapka

Ye sabhi codes aapko google par search karane hai wo aapko waha par free me mil jayenge.
Agar aap chaho to apni wapka site ke liye custom domain bhi laga sakate ho.

Wapka site se Earning Kaise Hogi?

Sabhi log janate hai ki kisi bhi website ki earning advertisement aur affiliated marketing se hi hoti hai.
Wapka par bhi same usi prakar Advertisement ke jariye earning hoti hai. As well as is par alag alag banner bhi lagakar wapka site wale owner earning karate hai.

Note:
Koi bhi professional mp3 website par songs upload karane ke liye ek to wo songs aapke khud ke hone chahiye. Ya phir aapko wo song legally buy karane honge uske bad hi aap website par upload kar sakate hai. Otherwise hum kisi dusari site songs download karake apni site par upload nahi kar sakate.

Agar is post se related aapke man me koi sawal ho to aap comment me hum se puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

17 comments:

  1. Hme copyright song kahan se buy karne honge

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Sameer,
      without copyright song amazon, infibeams par buy kar sakate hai.

      Delete
  2. Replies
    1. @ Internet Gyan World,
      Ha filhaal to free hai.

      Delete
  3. sir without copyright movies song kaise upload kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Arham,
      Song aapko khud purchase karane honge tabhi aap usko upload kar sakate hai.

      Delete
  4. Meri websait nahi ban rahi apna nambar bhej do mujhe pliz

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Hariom,
      u.wapka.com se banaye ho jayega.

      Delete
  5. Sir apna ryal website ni bana sakte hin isme jahan ki wapka na rahe

    ReplyDelete
  6. hlo bro free main kaise dowl kar ke apni site pe dale jo copyryt na aye oske bare bate kuj

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Daily Update,
      Yesa koi website nahi hai jaha se copyright free song download kar sake..

      Delete
  7. Sir Wapka site ab shayed close ho chuka hai. wo kabhi nahi hota hai
    Aap kisi dusari aisi site bataye jo ki puri tarah se openly ho aur wo kabhi close na ho, Nahi to site banane se koi fayeda nahi hoga, Kahi Hum New Site create kar le aur wo baad me Close ho gaya to tab to sab ke sab Bekar chala jayega

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ha wo thik hai, isliye aap wordpress par site banaye

      Delete
  8. Kya Aap Blogger ke bare kuch bata sakte hai...
    uspe Humne Ek New Website ko create kiya hai
    So Please Blogger ke bare me kuch bataiye ki kaise Aage ki taraf Develop Kare
    Uploading And Desighn Kaise karenge...
    Iske Baare me kuch bataiye......

    ReplyDelete
    Replies
    1. @sir uske liye aapko youtube par jakar video dekhane padenge. Kyon ki blogging me bahut se topics hai, jaise seo(on page, off page), Backlinks, keyword research etc.

      Delete
  9. Good info is easy ways .thanks a loat.

    ReplyDelete