How to Deposit and Withdrawal in Dream11

Dream11 Fantasy Cricket website par deposit and withdrawal kaise kiya jata hai. Iske liye hume kya account verify karana jaruri hai, Kya hume Dream11 ke customer care, ya helpline number mil sakata hai in jaise kayi sawal dream11 new user ke dimag me aate hai. Un sabka answer aapko is post me mil jayega.

Dream11 Deposit and Withdrawal




What is Dream11?

Agar aap new user hai aur aap dream11 ke bare me janana chahte hai to puri details me yaha se read kare.

I have gifted you ₹200 to start playing on Dream11. 
2. Use my invite code COMPU30LM
3. Get ₹200 बोनस 
Aapko dream11 me team selection me problem hai, team kaise select ki jati hai iske bare me pata nahi hai to uske liye ye post read kare.

Dream11 Account Balance Kya hota Hai:
Dream11 par three types ka balance hota hai jo aap niche dekh sakate hai.

Dream11 Balance


Unutilized:
Aapne jo amount dream11 me deposit ki hai wo yaha par show hogi. Isse hum cash league join kar sakate hai, lekin ye withdraw nahi kar sakate.

Your Winnings:
Yaha par aapne dream11 par jitani bhi amount win ki hai, wo yaha show hogi. Ye money aap kabhi bhi withdraw kar sakate hai. Ya isse aap cash league bhi join kar sakate hai.


Cash Bonus:
Friends ko refer kar ke aapne jo bhi amount earn ki hai, wo yaha show hogi, ye amount aap withdraw nahi kar sakate hai, isse sirf public league join kar sakate hai.

How to Deposit Money on Dream11:

Step 1:
Dream11 account me sign in kare.

Step 2:
Right side me jaha par aapka balance show hota hai uske samane jo + ka sign hai uspe click kare.
Plus sign


Step 3:
Uske bad ek pop up khulega jisme aapko kitni amount deposit karani hai wo enter kare aur Add Cash par click kar de.
Enter amount


Step 4:
Payment mode me aapko 4 option hai.
Wallet: Aap Paytm ya OLA Money wallet se bhi deposit kar sakate hai.
Ya phir aap Credit Card, Debit Card, Net banking in 3 no me se kisi se bhi deposit kar sakate hai.

Payment method select kare


Payment method select kare apni details enter kare aur final payment kar de.
Aapke dream11 account me cash deposit ho jayegi jo aapko Unutilized Balance me show hogi. Ye amount non – refundable aur non –transferable hogi.
Isse aap sirf cash league join kar sakate hai.

How to Withdraw Money on Dream11:

Dream11 se agar aap withdraw karana chahte hai to sabse pahale aapko apna account verify karana hoga. Verification ki process aapko youtube par mil jayegi, jaha se aap wo dekh le. Verification ke liye aapke pass bank passbook, Pan Card hona jaruri hai. Wo hume upload karana hota hai.
Aapka account verify hone ke bad aap dream11 se amount withdraw kar sakate hai.
Minimum withdraw amount Rs.200 hai to maximum 2 Lakh hai, ek din me ye limit hai.
Agar aap dream11 pe 1 league me Rs.10000 se extra jit jate hai to 30.9% tax cut hoga aur reaming amount aapko mil jayegi.

Step 1:
Account balance pe click kare.

Step 2:
Your Winning ke niche withdraw par click kare. Jitani amount withdraw karani hai wo amount dale aur withdraw kar le.


Withdraw karane ke bad aapko withdrawal amount 3-4 din me aapke bank account me mil jayegi.

Dream11 Customer Care/ Helpline Number:

Sab log dream11 customer care ya phir helpline number ke bare me puchate hai search karate hai, lekin dream11 pe customer care ya helpline number available nahi hai:


To phir hum dream11 se contact kaise kare, koi problem ho to unko kaise bataye to uske liye aapko mail karana hoga aur dream11 ka mail id hai helpdesk@dream11.com yaha se aap unse contact kar sakate hai.

Dream11 se related koi sawal ho to aap niche comment me puch sakate hai.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

52 comments:

  1. Enter. sir agar kohie dream11 ma 1 sa zayda account banaya ga to kya hoga balance withdraw kar sakta hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Mudasir,
      1 se jyada account nahi bana sakate hai kyon ki 1 pan card se 1 hi account banega. Ha aap dusare pan card se account bana sakate hai.

      Delete
  2. Mera paisa abhi tak withdraw nahi hua hai 10 din ho gye hai kya ho sakta hai karan

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Anandeep,
      Aap dream11 ko mail karo reason pata chal jayega.

      Delete
  3. Paytm payments bank ka account h.. toh kya paise isme withdraw ho sahkta h.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Sannu,
      Iske bare me kuch confirm nahi kah sakate.

      Delete
  4. Sir mere pass account nahi our pan card bhi nahi to paise nahi milege kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Shubham,
      Bina pan card aur bank account ke paise nahi nikal sakate.

      Delete
  5. Mere pass account h ,lekin pancard nhi hai to kaise withdrawal kre amount??

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Akj sport,
      PAN Card compulsory hai uske bina withdrawal nahi ho sakata.

      Delete
    2. Hello sir mera bank account link nahi ho Pa raha hai kripya Meri help ki Jaaye Mere account mein se paise withdrawal nahi ho Pa rahe hain please help me

      Delete
    3. @Bank account name aur dream 11 ka account same name se hona chahiye.

      Delete
  6. Hello,
    Meine bank account details add kiya but kounsa bank ka add kiya abhi yaad nahi he!!
    kaise check kar sakte he?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Jeeva_4U
      Contact dream11 support team.

      Delete
  7. dream support team se contact kiya unhone bola 5 din me aa jayege. lekin 20 days ho gye ni aaye

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Avinash,
      Humne withdrawal kiya tha to 4 days me aagaya tha. Aapke pass wait karane ke alawa koi option nahi hai.

      Delete
  8. dream support contact kiya account me withdrawal money nhi aayi islie.. to vapas refund krne ka msg aya tha.. pr refund b ni aaya?
    abhi aur money withdraw krni h muje pr kese kru acount me ni aa rhe

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Avinash,
      Dream11 aapne jis name se account create kiya hai, usi name se bank account bhi hona jaruri hai. agar yesa hai aur phir bhi money withdrawal nahi ho raha hai to aap dream11 forum me bhi sawal puch sakate hai https://forum.dream11.com/

      Delete
  9. mera 50000 inam laga to me har din 10000 widhraw kar sakata hu ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Bhadresh,
      Ji ha ek ek din me 10000 ya phir ek sath 50 hazar nikal sakate hai.

      Delete
  10. sir fairplay kya hota gai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @fairplay yane kisi bhi prakar se aap dream11 me bonus pane ke liye galat tarika istmaal nahi kar sakate.

      Delete
  11. Sir mene bank account details pura submit kiya hai lekin koi reply Nahi aya

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Unka reply nahi aata hai, aapka account verify ho jayega, 3,4 din me.

      Delete
  12. Sir Maine pancard dosre ka use Kiya hai but account number apna Dala hai Kiya paisa account Mai jayega aur account number summit ho jayega please help me

    ReplyDelete
  13. Sir aaj ka withdraw kra hua paymnt turant aagya but kal ka paymnt ni aaya aisa ab to turant aata h withdraw baala paymnt

    ReplyDelete
  14. Mera 700 hundred winning amount he phir b withdraw nahi ho raha he

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Uske liye pahale account verify karo, withdrawal ho jayega.

      Delete
  15. Sir Maine Bank detail me cancel cheque upload kr Diya h usase mera bank a/c verification Ho jayega kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. @A/C verify nahi hoga, bank passbook upload karo.

      Delete
  16. No withdraw are allowed on this apl as per google policy. Give me solution fast.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Pragnesh,
      Google play se app download nahi hoga, Dream11 ki site se download karo yo jayega.

      Delete
  17. Sir bank account no. Punjab national Bank Ka valid hai na agar main Mony jeet jaun to PNB mein transfer ho Jayega na

    ReplyDelete
  18. Mera balance hundred rupees tha aur 15 rs winning the usme se 15 se to contest join kiya lkn galti se add cash m 100 rs aur ho gaye ab withdrawal kaise honge.... AC bhi h aur pancard bhi h plz suggestion de

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Ek baar paise add karane par usko withdrawal nahi kar sakate. Us paiso se match khelo agar jit jaate hai, to usko bank me withdrawal kar sakate hai.

      Delete
  19. mera dream11 ka balance 0 rupay hai. muje usame paise add karane hai. kaise karu. mera pan card nahi hai. paise add ho sakte hai kya.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Pankaj,
      Paise add kar sakate ho,lekin withdrawal ke liye aapko account verify karna hoga, jiske liye pan card jaruri hai.

      Delete
  20. Sir mane 1500 rs withdraw lagaye but withdrawal cancel dikha raha hai esa kyo .... Withdraw kyo nhi huya jab ki mane account verification ho chuka hai ....Plz tell me sir

    ReplyDelete
    Replies
    1. @My Balance -> My Recent Transaction me jakar check karo withdrawal kyon fail ho gaya hai. Shayad aapne Fair Play Violation kiya hai, is wajah se cancel kiya gaya hai.

      Delete
  21. Mai ne 800 ke jaga 8000 kar diye muje mere paise return milege kya

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Dream11 support team ko contact karo aur kaho galti se 8000 deposit ho gaye hai.

      Delete
  22. Sir, Mene account no. Mera add Kiya Hu Lekin pan card kisi dusre ka add Kiya Hu paise aa jayenge sir

    ReplyDelete
  23. Sir pancard nhi h to kya kre rs. Withdraw nhi honge kya

    ReplyDelete
  24. Mera paisa abhi tak withdraw nahi hua hai 7 din ho gye hai 5000 ha Ji replay my

    ReplyDelete
    Replies
    1. @bank holidays ki wajah se late ho gaya hoga. ek baar dream11 ko email kariye.

      Delete
  25. How to withdraw balance deposited amount which I added to join the contest. But it's showing you can't withdraw


    ReplyDelete
  26. @Aap Deposit Kiye Hue Paise Withdraw nahi kar sakate. Usko Win Karke hi Withdrawal kiya ja sakata hai.

    ReplyDelete