Jio Ka Balance Kaise Check Kare - How to Check Jio Balance

How to check jio balance. Agar aapke Pass Reliance jio ka sim card hai aur aap uska Balance check karana chahte hai, Data balance check karana chahte hai to yaha par aapko uski Jankari mil jayegi.

Jio Ka Balance Kaise Check Karate Hai

Ab aage se hume reliance jio ka Balance check karane ki jarurat padegai. Aur ye kam hum bina USSD codes ke bhi kar sakate hai.
Reliance Jio ka balance hum bina USSD code ke bhi check kar sakate hai.
Jio ne abhi haal hi me apni Prime Membership ki date ko badhaya hai aur usko 15 April kar diya hai. Sath hi Summer Surprise offer bhi di hai. Jiske bare me aapko puri details yaha par mil jayegi.


Lekin in offers me hume daily 1GB data ki limit di gayi hai to humane kitana data use kiya hai aur kitna data remaining hai wo agar hume check karana hai to kaise karenge.

Jab 1 GB data ki daily limit khatm ho jati hai tab hume 128kbs ki speed milati hai aur ye speed bahut slow hoti hai. Isliye hume 1GB 4G data ko thik se use karana padata hai usko kaise check kare ye aap niche dekh sakate hai.

Reliance Jio Ka Balance Kaise Check Kare:

Step 1:
Sabse pahale aapke pass Reliance Jio ka MY JIO App hona jaruri hai. Agar aapke pass my jio app nahi hai to usko play store se download kare.

Step 2:
My Jio App ko download karane ke bad install karle. Ab apne mobile ka data connection on kare. Aur my jio app open kare.


Step 3:
Open karane ke bad app ke main screen pe my jio ke aage open pe click kare.

open app


Step 4:
Uske bad Sign in With Sim option par click kare.
sign in with sim


Step 5:
Ab aap apne account me log in ho gaye hai ab aapko wahi par ek option show hoga jisme aapko apna jio ka mobile number, balance show hoga. Yaha par aapko aapka jo main balance hai wo show hota hai.

Your Jio Number


Step 6:
Daily data usage limit ko check karane ke liye aapko do PLAN benefits aur Balance ye 2 option show honge.
Usme balance par click kare ab aapko daily data usage dikhayi dega.
Usage limit


To is tarah hum my jio aap se apne jio ka mobile number aur data balance check kar sakate hai.


Agar aap apne jio number ke liye recharge karawana chahate hai aur uske liye offer check karna chahate hai to wo bhi aap yaha se hi kar sakate hai.
Uske liye aapko upar bataya gaya hia waise hi step follow karani hai, aur phir Recharge par click karana hai.

Recharge par click karate hi aapko plan show honge jisme Jio Prime, Plans, Top-up, Booster, Extras is tarah ke option show honge. Aapko jis prakar ka plan chahiye wo aap yaha se hi chun sakate hai.
Jio traffic plan


Payment karane ke liye aap Net banking, credit, debit card ka istmaal kar sakate hai.

Iske alawa aapke man me JIO ke bare me koi sawal ho to aap niche comment me puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. kiya jio me 10 ka rechrge bhi ho skta h sir plzzz tell me now

    ReplyDelete
  2. 10ka recharj to kar liya per phone nahi jata h,aisa q

    ReplyDelete
    Replies
    1. @shayad ab 10 ka recharge band ho gaya hai.

      Delete