Whatsapp Se Group Admin Ko Kaise Hataye


Whatsapp Se Group Admin ko Kaise Hataye, Whatsapp Group me Kaise add hona hai, Whatsapp Group ki link banana hai, is jaise kayi sawal aapke man me aate honge to is post me aapko un question ke answer milanae wale.


Whatsapp Se Group Admin Ko Kaise Hataye

Whatsapp Group banate hai to uske liye kuch niyam, rules & regulation hote hai, agar koi unko todata hai to admin usko hata sakata hai.

Group Admin Kya Hota Hai?

By default jo whatsapp group banata hai, wo admin hota hai, admin ke pass group ke sabhi rights hota hai, ki kisi ko add karana, kiski remove karana etc.
Agar aapko whatsapp Group kaise banate hai ye pata nahi hai to aap ye post read kar sakate hai.

Agar group me koi member kharab message, video, dalata hai to group admin usko turant remove kar sakata hai.

Whastsapp group me kisi member ko add kar sakta hai, ek group me 256 member hi add kar sakate hai.

Admin aur kisi member ko bhi Admin bana sakata hai, yane ek group me ek se adhik admin ho sakate hai.

Lekin agar group admin ko hi remove karana ho to kya kare? Kayi baar yesa hota hai ki group admin ko hi remove karane ke nubat aati hai, yese me group admin ko kaise remove kare iske bare me niche bataya gaya hai.

Whatsapp Group Se Admin Ko Kaise Remove Kare?

Note: Group admin ko dusara admin hi remove kar sakata hai.

Step 1:
Sabse pahale jis group admin ko remove karana hai usko open kare. Ek baat dhyan me rakhe ki aap bhi us group ke admin hone jaruri hai.

Step 2:
Group ke name pe click kare.


group name pe click kare


Step 3:
Hume group member ki list show hogi, ab usme niche hume group admin bhi show hoga. Uske name to thodi der tak select karke rakhe ab hume option dikhyi denge.

Name par touch kare

Remove ….. ke option par click karde.
Remove karde


Step 4:
To is prakar hum whatsapp group admin ko remove kar sakate hai.

Whatsapp Group Se Jude Kuch Sawal-Jawab:

1. Apne khud ke group se hi remove ho jane ke bad group admin kaise bane?
- Jab aap apne group se remove ho jate hai tab koi us group ka admin ban jata hai, to ab aapko us admin ko request karani hogi ki wo aapko dobara group me add kare.

2. Member Group ke rules follow nahi kar rahe kya kare?
- Aap unko group se remove kar sakate hai.


3. Mujhe baar baar group me add kiya ja raha hai, mujhe group me add nahi hona hai.
- Group me add karate hai aapko waha pe ek option show hota hai, “Report Spam “ agar aapko us group me nahi rahana hai to us option par click karde.

4. Kya hum kisi bhi group ke admin ban sakate hai bina group admin ki help se ?
- Nahi bina admin ki help se aap admin nahi ban sakate.

5. Group ka name, picture badalne se member ko kaise roke.
- nahi hum isko rok nahi sakate hai, hum us member ko sirf notify kar sakate hai.

Iske alawa bhi aapke man me koi sawal ho to comment me hum se jarur puch sakate hai.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

8 comments:

  1. Apne whatsapp group mai mujhe kisi ne remove ker diya hai usmai judna hai our group admin ko remove karna hai kaise hota h

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Chetan,
      Aapko us group admin ko add karane ko kaho aur admin banane ko kah do. Iske alawa koi option nahi hai.

      Delete
  2. Sir Aapka Post Kafi Badhiya Aur Usefull Hain

    ReplyDelete
  3. @Htnha,
    Agar aapko admin se remove kiya hai to ab kuch nahi ho sakata. Aap apne Coadmin ko aapko phir se admin banane ko kahiye.

    ReplyDelete
  4. Maine he group banaya hai, or maine sab admin bana diya ab mujhe sirf uska admin se hatana hai na ki group se

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Aap group se as admin remove ho jayegi, ya phir dusare admin ko aapko admin se hatane ko kahiye.

      Delete
  5. Agar group mere number SE Bana ho.aur mai ab us group Ka member Nahi Hu aur admin koi aur h to us group ko delete krna Chahta Hu to kya karu.

    ReplyDelete