Best Domain Name Kaise Select Kare

How to select best domain name? Domain name kaise select kare? Pefect domain name kaise select kiya jata hai, Iske bare me is post me baat karenge.

Best Domain Name Kaise Select Kare

Jab hum blogging start karate hai tab sabse pahala kam hota hai ek accha sa domain name select karana. Kyon ki humara domain hi internet par humari identity hoti hai.

Aap apne business ka ya apna khud ka ek brand banana chahate hai to domain name select karate samay aapko kuch baato par dhyan dena padata hai.

Aam taur par log paise kamane ke liye blogging start karate hai. Lekin isme kafi samay lagata hai, blogging se such me paise kamana chahate hai to aapko bahut mehanat karani hogi. Apna khud ka ek brand banana hoga jisse aapko log internet par pahchanane lag jaye. Ek baar aap internet par popular ho gaye uske bad aapki income bhi start ho jayegi.

Isliye blogging ki aur humara pahala kadam hota hai umse hume ek best domain name select karana padata hai.

Domain Name Kya Hota Hai?

Domain name ke bare me agar aapko pata nahi to short me bata deta hu.
Example:
http://www.facebook.com
Http: hypertext transfer protocol
Www: world Wide Web
Facebook: Domain name
Com: domain extension
Isme facebook jo hai wo domain name hai aur .com domain ka extension hai.

Best Domain Name Kaise Select Kare:

1. Niche Related Domain Select Kare:

Niche ka matlab hota hai aap kis topic par blog, website banana chahate hai.
Agar aap blogging se related blog bana rahe hai to blog se related hi domain name select kare.
Yaha par aapko ye tay karana hota hai ki aap kis topic par site banana chahate hai.
Educational tutorials, blogging guide, make money, exam results, health In jaise topic par agar aap blog banane ke bare me soch rahe hai to ussi se related keywords ka istmaal karana jaruri hai.

2. Short Name Select Kare:

Domain name select karate samay ye baat dhyan me rakhe ki site ka jo name hai wo short hona chahiye. Jo logo ke dhyan me rahe.
Domain me 2-3 hi word ho to aur bhi accha hai.
Jaise google.com, facebook.com ye name hai ye bahut short hai, inme sirf 1 hi word use kiya hai jo yaad rakhane me aasan hai.

3. .com (top level domain) Select Kare:

Agar aap apne business ko worldwide promote karana chahate hai to aap .com (TLD) domain extension use kare.
Kyon ki jitani bhi popular sites hai chahe wo tech site ho, blogging guide ho wo .com hi use karati hai.

Iska fayada aapko ye hoga ki aapko worldwide traffic milegi.
Lekin agar aap sirf India ko target kar rahe hai to (.in) bhi use kar sakate hai. Yesa nahi hai ki hum India me .com use nahi kar sakate? Lekin .com hi sabse better hai.

4. Don’t use copyrighted/ expired domain:

Copyrighted domain kya hota Hai? maan lijiye ki kisi ek vakti ka Youtube par channel hai aur wo channel bahut popular hai.
Us YouTuber ki koi site nahi hai to aapko laga ki aap usi youtube channel name se domain purchase kare, to yesa aap nahi kar sakate. Isse bad me aapko pareshani ho sakati hai.
Expired Domain: Hum jo bhi domain purchase karate hai uski expiry date bhi hoti hai. Agar hum usko renew na kare to wo expire ho jata hai.
To hume is tarah ke expired domain bhi select nahi karane hai.

5. Don’t use brand name/ don’t copy others blog name:

Domain name me aap kisi brand ka naam nahi use kar sakate hai. Yesa karana aapke liye pareshani ka karan ban sakata hai.
Ye kisi dusare ke blog, site ka name copy na kare. Agar aap kisi dusare ke blog, site ka name copy karate hai to internet par apni khud ki pehchan nahi bana payenge.
Example:
Facebook.com ye world ka top most site hai. Aap iska use pane domain name me nahi kar sakate.
Yane aap “facebooktips “is tarah ka domain nahi select kar sakate.

6. Main Keyword Use Kare:

Aap jis bhi niche se related blog, site bana rahe hai uspar thodi keyword research kar le.
Keyword research karke kuch yese keyword find kare jinki monthly searches high ho.

Aur unme se 1-2 keywords ko apne domain name me add kare. Aur add karate samay ye dhyan me rakhe ki usse kuch meaning nikale.

7. Don’t use hyphen, numbers:

Kuch log kya karate hai kisi aur popular domain se related domain buy karane ki koshih karate hai. Lekin wo mil nahi pata hai to usme kuch hyphen, special characters, numbers use karake wo buy kar lete hai.
Lekin domain me is tarah ke hyphen, numbers na use kare.

8. Domain Name suggestion Tools ka use kare:

Aap khud se domain name select nahi kar pa rahe hai to aap different tools ka use kar sakate hai.
Internet par kayi yesi sites hai to hume domain name select karane me help karati hai. Waha pe jakar hume sirf apne domain realted 1-2 keywords dalane padate hai. Wo aapko bahut se acche suggestion de deta hai.
Example:
Namemesh.com

9. Trusted, Popular Site se Domain Buy Kare:

Domain name humesa trusted site se buy kare. Jo sites popular hai unhi site se domain buy kare.
Cheap domain ke chakkar me low trusted site se domain na buy kare.
Trusted & Popular sites:
Godaddy.com
Bigrock.com

10. Friends Ki Help Le:

1 se bhale 2, 2 se bahle 3.
Agar aap khud domain name select nahi kar pa rahe hai to aapke jin friends ki iski Jankari hai, unki aap help le. Aap unke sath discuss kare, unki salah le.


To ab aap samaj gaye honge ki domain name select karate samay kin baato ka dhyan rakhana hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: