Kisi Bhi Site Ki Website Traffic, Earning Report Kaise Check Kare


Website ki traffic, earning Kaise check kare, website ki AdSense earning kaise pata kare?

Website ki earning Kaise pata kare

Most of the blogger blogging start karate hai earning karane ke liye. Blog se kayi tarah se earning hoti hai usme AdSense, affiliated marketing method hoti hai.
New blogger blog start karate hai aur pahale 4-5 month me hi blogging chod dete hai, unko lagata hai blogging se earning nahi ho sakati.

Lekin wo galat hai, kayi blogger apne blog se acchi earning kar rahe hai. Kuch blogger apne site ki earning report bhi share karate hai. Isse new blogger ko inspiration milata hai.
Agar blog naya hai, popular nahi hai to hume lagata hai ki wo earning nahi kar rahe hai. Lekin yesa nahi hota hai. Isliye aap kisi ke bhi blog, website ki traffic aur sath me earning bhi dekh sakate hai.

Kuch site hai jo hume kisi bhi site ki traffic aur earning report show karati hai. Lekin ye report exact nahi hoti hai. Ye sirf estimate earning show karati hai.
Aap jo site check kar rahe hai uspar adsense active hai to us site ki estimate earning aap dekh sakate hai.



In site se aap apne friend, competitor ki earning ka anumaan laga sakate hai, kyon ki kayi log unki earning share bhi nahi krate hai aur na hi batate hai.

How to check earning report of any Site, Blog:

1. www.statscrop.com
Humare site ki ya kisi aur ke site ki daily earning report check karane ke liye best site hai.

Waha jakar sirf site ka URL dalana hai. statscrop hume
Daily visitor:
Daily page views:
Daily bandwidth:
Daily Revenue: (Earning)
Website Wroth:
stats crop report

Ye sabh hume show karati hai. Daily revenue me hume site ki daily earning hum pata kar sakate hai.

2. http://www.siteprice.org

Another second best jo estimate earning batati hai, jo actual earning se thodi bahut upar niche hoti hai.


Site price hume
Daily unique visitor,
Daily ads revenue,
Daily page views,

site price

Monthly, Yearly ads revenue show karati hai. Sath me domain age, backlinks kitani hai in sabhi ki Jankari bhi is site par mil jati hai.

3. http://checkwebsiteprice.com

3 site hai jaha par jaha par hum website ki earning pata kar sakate hai.
Is site par bhi daily unique visitor, monthly visitor, and daily revenue, monthly ads revenue dekhane ko milega.

check site price

To in 3 sites ki help se hum kisi bhi website ki earning pata kar sakate hai. Lekin ye estimated earning hoti hai. Mostly ye site humari site ki value check karane ke liye istmaal ki jati hai. Agar aap apni website sell karana chahte hai ya buy karana chahte hai. To in sites ki help le sakate hai.

Di gayi website se hum kisi bhi blog ki earning ka andaz laga sakate hai. 
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: