SBI Me Internet Banking Kaise Activate Kare, sbi online banking ke liye apply kaise kare. Hi, Dosto aaj mai aapko batane wala hu ki aap kaise sbi intenet banking ke liye registration kar sakte hai wo bhi bina bank ka chakkar lagaye.
Agar di gayi step follow karenge
to apka internet banking ka khata open ho jayega. Internet banking ke jariye
aap online shopping kar sakate hai, apne kisi dost ko paise send kar sakte hai.
Online payment kar sakate hai, fixed deposite kar sakte hai. Internet banking
aur bhi bahut sare uses hai.
Internet banking ke wajah se aapka
bahut sara time batchta hai aapko koi bhi transaction karne ke liye bank me
jane ki jarurat nahi hai.
Internet banking ka
registration karne ke liye aapko niche di gayi chijo ki jarurat hogi :
1. Account Number
2. CIF Number (Bank
Passbook pe hota hai)
3. Branch Code (Bank
Passbook pe hota hai))
4. ATM Card
5. Registered Mobile
Number (Sbi Account Ke sath jo register hai wo)
Di
Gayi Step Follow Kare:
Step 1:
Niche Di gayi link pe jaye https://www.onlinesbi.com
Hamesha URL check kare hi kya wo Https:
ke Sath suru hota hai ya nahi security purpose ke liye. STATE BANK OF INDIA [IN] https: Means it will secure.
Step 2: Uske Bad Personal banking
me New user registration pe click kare uske bad aapke samne ek pop up window
open hogi use ok pe click karna hai ( Use Pop up window me ye message hoga ki
agar apne bank se internet banking ka
kit liya hai to is link ka prayog na kare).
Step 3: Apni puri information fill
up kar le jaise.
Account
Number,
CIF
Number,
Branch
Code,
Country,
Registered
Mobile Number,
Facility
required (Select Full Transaction Rights),
Captcha Enter
karke submit pe click kar de.
Step 4: Aapke register mobile
number pe OTP (One Time Password) ayega use enter karke confirm pe click kar de.
Step 5: Uske bad aapke samne 2
option honge
1. You
have ATM Card (Online Registration without Branch Visit)
2. You
don’t have ATM Card (Activation by Branch Visit)
Hume 1 wala select karna hai
hamare pass ATM card hai iski wajah se aapko bank me jane ki jarurat nahi hai.
Aur agar aapke pass ATM Card nahi
hai to aapko apne bank me jakar internet ke liye bank me jana hoga.
Step 6: Apko apne ATM Card se Rs.1
rupay ka transaction karna hoga.
Uske liye apni card ki details
dale jaise card number, card par ka naam, expiray date, apne Card ka PIN aur
Captcha code dal ke submit pe click kar de.
Step 7: Aage aapko billing
information dikhayi degi Pay pe click kar de.
Step 8: Apka Temperory user name
taiyar hai use kahi likh le ya copy kar le (apke mobile number par bhi message
aayega.)
Uske bad New Login password dale
use dobara dal ke confirm kar le aur submit pe click kar de.
Step 9: Aapne Internet Banking ke
liye successfully registration kar liya. Leking ye user name aur password
temperory hai. 20-25 minutes ke bad usi user name aur password se login kar le.
Step 10. Login karne ke bad waha
pe aapko apna user name aur password create karna hai jo aapka permanent hoga.
Isliye user name aur password soch ke dale. Password me alphanumberic character
hone chahiye jaise HindiMe@93 Password case sensitive hota hai dyan rakhe.
Step 11. Uske bad Profile me jake
aapko profile password create karna hoga profile password aur login password
different hota hai.
Uske bad security question select
karke uska answer fill up kar le.
Jab aap password bhul jayenge to
ye question recovery ke liye use honge.
Aapne Sucessfully Registration Kar
Liya Wo bhi bina bank me jakar .
Agar Upar di gayi koi bhi step me
aapko koi difficulty ho to comment me puchna na bhule.
Aur hamare latest updates ke liye
subscribe karna na bhule.
Sir hm profile password bhul gaye h jiske karan hm aur account nhi add kr pa rhe h branch se v contact kiye bola link nhi mil rhaa h mai kya karu please sir batiye ya dubara isi accout pr net banking bna sakta hu
ReplyDelete@ Virendra Aap Niche di gayi Step Follow Kare:
DeleteClick Profile -> Forgot Profile Password -> Ab yaha pe aapko question pucha jayega jo humane profile password dalate samay set kiya tha.
Wo question select kare uska answer dale -> Submit pe click kare.
Ab aapko new profile password set karane ko kaha jayega. New profile password set kar de.Uske sath hi aapko hint question bhi pucha jayega usko bhi select karake uska answer bhi dalana hoga.
Sir main login password bhul gay hu please tell me kya karu
ReplyDelete@ Vivek,
DeleteUske Liye aapko forgot password par click karana hoga. Ap aapko apne account ki details puchi jayegi wo fill karde. Aapke mobile par ek OTP bheja jayega. Us OTP ko enter karde. Aur apan naya password set kare.
Iske bare me jald hi post likhane wala hu.
Hello sar humne net banking aply kiya tha temparwai userid aya tha usko humne form dwoload karke bank me jma kar diya tha manegar bolte hai wohi user id hai login karne pe ivailid bta rha hai kya kre sar nya user id bnane ke liye dusra koi opsan nhee aata hai ki atm se bana le sar please bta do please saer jee bta do jaldi hum saudi arvia me hai sar pleade kuch upay btaiye sar
ReplyDelete@ Santosh Ji,
DeleteMaine bhi pahale bank me jakar try kiya tha but every time invalid user id batata tha. Isliye maine jo upar step di hai usi se maine internet banking activate kar li thi.
Aap bhi apne ATM card se internet banking activate kar sakte hai sirf upar di gayi step ko thik se follow kare.
sir ek uncle ka internet banking chalu karwana hai but chalu ni ho rha hai.
ReplyDeleteusername
password
dalne ke bad invalid ata hai.
unka atm card bhi pehle se block kiya gya hai.
kya mujhe branch me jana hoga?
batiyen plz
@Sudeep,
Deleteek bar browser ki history, cache delte karo phir se try karo agar phir bhi invalid user name or password bata raha hai to branch me jana padega.
mera new atm card aa gya hai aur purana atm card bhi hai.
ReplyDeleteus naye atm ko kaise use karenge aur us atm ka pin kaise dalenge
@Sudeep,
DeleteATM ka Pin By post aayega. Agar 15-20 din me na aaye to branch me jakar pata kare.
gya tha unhone bola online ya sms se generate hoga
ReplyDelete@Sudeep,
DeleteATM machine par jakar generate kare. Ho jayega sirf sath me register mobile number hona jaruri hai.
Sir m atm card ki details fill kr rha hu to next page open ni ho rha
ReplyDelete@Avinash,
DeleteGoogle chrome browser use kare, aur usme POP-UP Ko allow kare, ho jayega.
Sir mene net banking chalu karli or mere mobile par username ki jagah 8 no.aaye or password ki jagah bhi uske bad mene us user I'd ko khola to uski jagah usne strong user I'd banane ko bola to o to success ho gya par jab password strong dala to to wah success nhi huwa
ReplyDeleteAb us user I'd se account open nhi ho RHA he uske bad mene forgot my password par jakar bhi jankari bhari par wah invalid user I'd bta rha an kya karna padega sir
@ Google chrome browser me history, cache delete kariye. Uske bad jo temporary user name aur password hai usse login kariye. Upar batayi step ko waise hi follow kare.
Deletethis pst is veryfull for us.
ReplyDeleteSIR MERA NETEBANKIG SEVING A/C ME HAI AB MAIN CURENT A/C OPEN KRAYA HUN AUR MAIN CHATA HUN CURENT A/C ME NETEBANKING LENA MAGAR YE MESSEGE ARAHAHAI -YOU ARE ALREADY REGITERD FOR INTERNET BANKING FACILITY TO GET USERNAME AND DUPLICATE PASSWORD,
ReplyDeletePLEASE CONTACT YOUR HOME BRANCH. AB MAI KYA KARU JABKE BRANCH KI TARAF SE KOI HEP NAHI
@IFAZ,
DeleteDobara se netbanking ke liye application kariye.