Blog ke liye
privacy policy, aur about us page kaise banaya jata hai. Isme konsi jankari hoti
hai, aur isse blog me kaise add kiya jata hai iske bare me aapko jankari
milegi.
Aap kisi bhi
site par jakar dekhe ki us site pe aapko ye pages jarur dekhane ko milate hai
about us, privacy policy, contact us. To ye page kisliye hote hai ye aapko
pahale samajana hoga.
In pages ko add
karane se aapki site professional lagati hai. Google adsense agar aapko approve
karana hai to in page ko add karana compulsory hai.
Isse aapko blog
ke jo reader hai unko aapke bare me jankari milati hai aur wo aapse contact bhi
kar sakate hai.
About Us Me Kya Jankari Likhani Hai:
About us page
yane jo site banata hai uski jankari hoti hai. Jaise meri is site par maine
apne bare me about us page me bataya hai. Yaha pe aap apne bare me puri details
ke sath bata sakate hai. Apni site ke bare me aur apne experience ke bare me
bhi bata sakate hai.
About Us me kya kya hona chahiye.
Author/Admin: Ek
badiy se khud ki image add kare. Khud ke bare me likhe jaise aap kaha ke rahene
wale hai. Aapki educational details etc.
Site Ke Bare
Me: Apni site ka introduction de, aapne site kis maksad se banayi , site pe kis
tarah ki information share karate hai. Readers aapki site ko kyon visit kare iska
strong point bhi aap bataye.
Services: Agar
aapki site pe aap koi services provide karate hai to wo yaha pe bataye.
Experience: Agar aapke pass blogging, educational, ye
phir aur koi experience hai to wo bhi yaha pe add kare.
Privacy Policy Page Me Kya Jankari Likhe:
Privacy policy
ko hindi me Gopniyata kaha jata hai. Isme aapko ye likhana hota hai ki aap user
ke data ki privacy ko kis prakar se maintain karate ho. Isme aako ye batana
hota hai ki aapki site pe aap kya information share karate hai. Agar aap reader
ke data use karate hai to wo aap kisi ke sath share karate hai ya nahi. E.g.
Jab koi subscribe karata hai to aap usko site se related hi jankari share kare
na ki koi aur.
Aap readers ko
konsi information track karate hai (IP Address), konsi information save karate
hai. Visitor ko kis parkar ke ads apni sites pe show karate ho.
Agar aapko
adsense ka approval chahiye to ye page add karana compulsory hai kyon ki Google
adsense aapki site check karata hai aur tabhi aapko approval deta hai.
Aap privacy
Policy page online bhi bana sakate hai. serpRank
is link pe jake aap online privacy page banke site me add kar sakate hai.
Agar aapko
online nahi banana hai to aap khud bhi privacy policy page bana sakte hai.
Privacy Policy Page Me Kya Likhe:
1. Cookies:
Cookies ek small program hota hai jo reader ki information ko save karata hai.
Kya aap apni site me cookies use karate hai ya nahi.
2. Personal information:
Kya aap user ki personal information ka use karate hai ya nahi.
3. Log File:
Log file me reader ka ip address, browser koun sa use kar rahe hai. Aapne kis
ads, links pe click kiya hai ye information hoti hai to kya aaa apni site pe
log files ka use karate hai ya nahi.
To is tarah hum
About Us, Privacy page bana sakte hai. Ab janate hai ki isse blog me kaise add
karana hai.
Blog Me About Us, Privacy Policy Page Kaise Add Kare:
Step 1:
Blog dashboard
me chale jaye. Niche Pages pe click
kare aur create new page pe click
karde.
Step 2:
Ab page ko name
de about us aur page me kuch bhi na likhate hue publish kar de.
Yesa kyon
karana hai agar aapne page me niche khud likha to wahi page ka address ban jata
hai.
e.g. www.yoursite.com/p/page_12.html
Is prakar ka
page address accha nahi lagata isliye first page ko name add kare aur usme kuch
bhi na likhate hue publish karde.
Step 3:
Publish kiye
use page ko edit kare. Aur ab isme apni janakari dale aur isse update kar de.
Ab page ka
address khuc is tarah dikhayi dega.
e.g. www.yoursite.com/p/about-us.html
Isi parkar
aapko privacy policy page ko bhi step follow karani hai. In page ko banana ke
bad aapko aur ek kam karana hai to aapka menu hai usme in pages ki link add
karani hai. Jisse visitor aapko in pages tak pahuch sake. In pages ko add
kitana jaruri hota hai ye aaki samaj me tab aayega jab aap google adsense ke
liye aaply karate hai. Ye pages agar aapki sites me add nahi kiye hai to Google
AdSense aapki site ko disapprove kar dega.
Agar aapko upar
di gayi kisi bhi step me kuch samaj nahi aa raha hai to aap hume niche comment
ke through bata sakate hai.
privacy Policy page onlain banane ke
ReplyDeleteliy kay jankari dena padti hai kay kuch pise dena padte hai?
@ Sandip,
DeletePrivacy Policy page online banane ke liye koi charge nahi lagega ye bilkul free hai. Maine upar bataya hai us site se banava lo.